Chin Hair Removal in Hindi – Unchaahe Baalo Se Chehre Ko Bachaye

Mahilaye humesha khubsurat dikhna chahti hai. Jiske liye wah tarah-tarah ke chemical yukt facial creams ko market se kharid kar istemal karti hai. Khaskar tab jab chehre par unwanted hairs aa jate hai jo unke chehre ki khubsurti par daag sa ban jate hai, aur wo anek prakar ke tarike aajmati hai.

Unchaahe baal mahilao ke liye humesha se ek samasya bane huye hai. Purusho ki tarah mahilao ke chehre par par, lips ke upper aur thodi par baal ugg aate hai. Kuch mahilao mai inki sankhya adhik hoti hai. Jis wajah se unka aatm-vishvas kam hote lagta hai.

Mahilaye apni sundarta ko lekar bahut samvedanshil hoti hai aur wah chehre par aise baalo ka aana bardasht nahi kar pati hai. Chehre par ugne wale yeh unchahe baal anya loogo ka dhyan aapki aur khichte hai. Chehre par chanak baal bad jaane ki samasya ko Hirsutism kahte hai. Jo hormones ke asantulan ki wajah se hota hai, kyoki sharir mai estrogen ki matra hi chehre par baalo ki badat ko tay kate hai.

Unchahe baal chehre par dhabbe ke saman hote hai, aur agar yeh baal thodi par hai to inhe hatana hi sahi hai, kyoki isse akarshan kam hota hai. Thodi par ugg aaye inn unchahte baalo ko hatene ke liye hum aapko kuch gherelu tips de rahe hai, aaiye jante hai Chin Hair Removal in Hindi.

 

Chin Hair Removal in Hindi: Janiye Thodi Ke Baal Hatane Ke Gharelu Nuskhe

 

 chin hair removal in hindi

 

Chin Hair Causes: Janiye Iske Karan

Chehre par baalo ke kai karan ho sakte hai, aaiye jante hai kuch mukhya Chin Hair Causes

 

Hormonal

Hormones ki aniyamitata ke karan mahilao mai baal aane lagte hai. Sharir mai Testosterone hormones ke adhik sakriy ho jane par chehre, lips ke upper aur thodi par baal aane lagte hai.

 

Vanshanugat

Yeh ek vanshanugat samasya bhi ho sakti hai. Yadi pariwar mai aapki mata ko bhi chehre par baal aane ki samasya hai to yeh beti mai hone ki aashanka bhi rahti hai.

 

Aniyamit Jivahshelly

Bhojan mai poshak tatvo ki kami, vitamin, fiber aur protein yukt padartho ka sevan na karne se bhi unchaahe baalo ki samasya ho sakti hai.

 

Polycystic Ovary

Polycystic ovary syndrome mai ovary mai choti-choti gathane ho jati hai. Jisse hormones ki sakriyta par prabhav padta hai aur chehre par baalo ka vikas hota hai.

Chehre par baal aane ke aur bhi kai karan hota hai jaise masik dharm ka band ho jana, Steroids cream ke istemal tatha Cushing syndrome se bhi jude hote hai.

 

You May Also Like:- Hair Removal Tips in Hindi: Anchahe Baalo Ko Hatane Ke Upaye

 

Facial Hair Removal: Janiye Kuch Gharelu Nuskhe

Yaha hum aapko kuch gharelu Facial Hair Removal ke tarike bata rahe hai, jinke istemal se aapka chehra pahle se aur bhi khubsurat to banayega hi sath hi aapki thodi par ugg rahe baalo ko samapt kar dega.

 

Haldi Ka Istemal

Haldi mai guno ki bharmar hoti hai aur khaskar sondarya-vardhak dun to kut-kut kar bhare hote hai. Iska istemal chehre ko sundar banana aur unchahe baalo ko hatane ke liye kiya jata hai. Yeh puri tarah se anti-bacterial gun hote hai jo inn baalo ko hatane ke liye kargar sabhit hote hai. Iske liye haldi ko pani ya dudh mai milakar istemal karte hai. Thodi ke baalo ko hatane ke liye haldi sabse uttam gharelu upchar hai.

1-2 chammach haldo ko dudh ya pani mai milakar paste bana le au rise pure chehre par khaskar jaha unnchahe baal hai waha par acchi tarah se lagaye. Baal agar adhik mote hai to isme thoda sa besan ya chawal ka aata mil lijiye aur dhire-dhire massage kare. Phir sukh jaane par ise halke haatho se khira le. Aisa karne se aapke thodi tatha anya sthano par ugg aaye unchaahe baal saaf ho jayenge aur kisi bhi prakar ki taklif bhi nahi hogi.

 

Tamatar aur Besan

Tamatar ke ras mai 2 chammach besan milakar paste bana le. Iss mishran ko thodi par lagaye aur 15 minute tak laga rahne de. Iss pack ko upper se nikalna shuru kare jaise hi aap pack ko nikalna shuru karenge aap dekhenge ki pack ke sath thodi ke baal bhi nikal aayenge.

Iske alawa besan mai haldi aur dahi milakar lagane se chehre par bahut accha nikhar aata hai aur yeh puri tarah prakratik hota hai.

 

Nimbu aur Chini

Chini aur nimbu milakar unchaahe baalo par scrub karne ka bahut hi accha tarika hai. Nimbu bhi ek bahut hi accha astringent hota hai. Yeh twacha ko komal aur mulayam banana ke sath-sath uski rangat mai bhi nikhar lata hai.

2 chammach nimbu ke ras mai 2 chammach sugar aur thoda sa pani milaye. Ise acchi tarak se baalo wale sthan par lagaye aur 15 se 20 minute tak laga rahne de. Acchi tarah sukh jane par ise pani se dho le. Saptah mai 2 se 3 baar iska istemal kare

Iske alawa nimbu ka ras, shahad aur sugar ko saman matra mai le aur unhe halka sa garm karke chehre par lagaye. Sukh jaane ke baad iss mishran ko apne chehre se utarne par aap dekhenge ki iske saath baal bhi nikal gaye hai aur koi dard bhi nahi huya.

 

facial hair removal

 

Tulsi Ke Patte aur Pyaz

Pyaz khane ka swad badane ke sath-sath, unchahe baalo ko hatane ke liye bhi bahut hi kargar sabit hota hai khaskar tab jab isse tulsi ke patto ke sath milakar lagaya jaye.

10-12 tulsi ke patte aur pyaz le. Pyaz ke beech se transparent membrane ko hatakar alag kar le aur isme tulsi ke patto ko masalkar iss paste ko 15 se 20 minute ke liye unchaahe baalo par laga rahne dijiye. Sukh jaane par ise thande paani se dho le. Saptaah mai 3 se 4 baar aisa karne se unchahe baalo se mukti milti hai.

 

Oatmeal Pack

Mutthi bhar oats ko ubaale aur phir thanda karke rakh de. Thanda ho jane par isme nimbu ka ras aur chini milaye. Ise acchi tarah milaye aur thodi ke baalo par ise lagaye.

Iske alawa thodi ke baalo ko hatane ke liye nimbu ke ras mai jau ka pani milakar lagaye.

 

Aaloo aur Mung Daal

Aaloo ka ras balo ke rang ko chehre ke according banata hai aur mung ki daal baalo ko remove karne mai madad karti hai. Iss wax ka istemal chahre se lekar hath-pair ke baalo ko hatane mai upyog kiya jata hai.

1 cup aaloo aur mung dal mai 1 chammach shahd aur 4 chammach nimbu ka ras milakar paste taiyaar kare. Mung ki daal ko raat bhar bhigo kar use thoda dardara pis le aur aaloo ka ras bhi nikaal de. Patle kapde se inn dono ke raso ko chaan kar, usme shahad aur nimbu ka ras milaye. 15-20 minute tak ise lagane ke baad thande pani se dho le.

 

Kaccha Papita

Kaccha papita 2 chammach aur usme ½ chammach haldi milaye aur acchi tarah paste bana le. Iss paste ko thodi ke baalo par lagaye aur 15 minute tak aise hi rahne de aur sukhne ke baad ise paani se dho le. Saptaah mai 2 baar aisa karne se unchaahe baalo se chutkara mil sakta hai.

 

You May Also Like:- Green Papaya Benefits: Papita Swasth ke Liye Faydemand

 

Ande Ka Mask

Ande ke safed bhaag ko ekatra kar usme 1 chammach sugar aur aadha chammach makka ka aata milaye. Inn sabhiko tab tak acche se milaye jab tak yeh paste na ban jaye. Iss paste ko chehre par ugne waale baalo par lagaye. Kuch der sukh jaane de aur aap payenge ki aapke chehre par mask ban gaya hai. Iss mask ko dhire-dhire nikale. Aap dekhenge ki mask ke sath baal bhi nikal aaye hai.

 

Methi

Mahilao ki anek swasth samasyo ko dur karne ke liye methi bahut hi upyogi aushdhi hai. Ise rojana raat ke samay mai bhigokar rakh de aur subah pani ke sath sevan kare. Twacha ke baar hatane ke liye iska scrubs mask ke roop mai bhi istemal kiya jata hai. Ise banana ke liye methi aur kale mung ki barabar matra ko pani ke sath milaye aur piskar paste bana le. Iss paste ko chehre par lagaye aur sukhne ke liye chod de. Sukhne ke baad ise naram kapde se paste ko chehre se nikale.

Aaj humne aapko Chin Hair Removal in Hindi se sambandhit kuch aise gharelu nuskhe bataye hai, jinhe apnakar aap aasani se inse mukti pa sakti hai sath hi inn upcharo ki madad se apne chehre ko aur bhi komal aur khubsurat bana sakte hai. Aap bhi inn gharelu nuskho ko apne dainik jivan mai apnakar bahut saare fayde le sakte hai. Yeh keval aapke chehre hi nahi balki pure sharir mai hone waale unwanted hairs se bhi aapko mukti dila sakta hai. To ghabraye nahi aur inka istemal kar apne chehre, hath-pair aadi ko sindar banaye.

Loading...

You may also like...