Chocolate Day, Valentine week ke 3rd day banaya jata hai. Yeh 9 feb ko celebrate kiya jata hai. Iss din pyar karne wale ek dusre ko chocolate bhet karte hai. Vaise to log apne partner ki pasand ki koi bhi chocolate gift karte hai, lekin jyadatar log heart shape ki chocolate dena pasand karte hai.
Chocolate ek aesi chiz hai jo har kisi ko pasand aati hai. Isliye jise bhi aap iss din khus karna chahte hai use chocolate tohfe mai de. Aur yakin maniye wo vyakti bahut khus ho jayega.
Aesa jaruri nahi hai ki lovers hi iss din ek dusre ko chocolate de. Dost bhi ek dusre ko chocolate day sakte hai, husband bhi apni wife ko chocolate de sakta hai. Bacche bhi apne parents ko ise de sakte hai. Kyoki pyar ki paribhasa keval lovers tak hi simit nahi hai. Pyar sabhi ke liye hai.
Chocolate Day 2017: Jane Iss Din Se Judi Kuch Rochak Bate
Rishte mai Mithas Ghole Chocolate
Chocolate aapke rishte mai mithas gholti hai. Jab baat ho izhar karne ki to chocolate dena to banta hai. Yeh kai marz ki dawa hai. Yeh rutho ko manane ka kaam to karti hi hai sath hi sath kisi ke chehre par smile lane mai bhi faydemand hai.
- Aap har kisi ko jisne aapki life ko khusnuma bana diya hai unhe chocolate day sakte hai, we ise deserve karte hai.
- Yadi aap apne parents ko chocolate gift kar rahe hai to dark chocolate de.
- Dark chocolate mai potassium aur copper moujud hota hai. Jo hriday sambandhi rogo ko rokne mai sahayak hai.
Chocolate Se Baate Khusiya
Chocolate se aap har kisi ke sath apni khusiya baat sakte hai. Aur chocolate day hi kya har din jab bhi aapko lage ki khan eke bad kuch mitha ho jaye tab puri family ke sath baith kar aap chocolate kha sakte hai.
Gift Ke Liye Sabse Badhiya Vikalp
Aaj ke samay mai jab bhi aapko gift karna hai uska sabse badhiya vikalp hai. Chahe chocolate day ho ya valentine day, aapko bajar mai bahut badhiya badhiya packing mai chocolate milti hai.
Kya Tha Chocolate Ka Itihas
Chocolate banana ki mukhya samagri yane ki koko ki khoj America ke varsha vano mai ki gayi thi. Iss baat ko lagbhag 2000 varsh ho chuke hai. Iske ped ki phaliyo mai jo beej rehte hai usi se chocolate banai jati hai. Aapko jankar aascharya hoga ki chocolate pehle khane ki nahi balki pine ki chiz hua karti thi. Aur ise banana wale log America aur Mexico se the.
1528 ke samay mai spain ne Mexico par kabja kiya tha aur usi douran waha ke raja ne chocolate banane ke yantra aur coco ke beej le liye aur unhe spain le gaya. Iske bad spain mai chocolate raiso ka fashionable pey padarth tha.
Iske bad yeh chocolate pehle Italy mai aur phir dhire dhire France mai famous ho gayi. Aur France ke logo ke anusar yeh swasthya ke liye ek faydemand padarth tha.
Aap shayad iss baat ko sunkar aascharya karenge lekin chocolate ka swad pehle thika tha. Isme vibhinna prakar ke masale, chili aadi dalkar ek spicy pey banaya jata hai. Leki baad mai Europe ke doctor Hans Sloane ne ise pine ki jagah khane ki chiz banana ka socha aur isme thiki chize dalne ke bajay dudh aur shakkar dali. Iss tarah Category milk chocolate ki recipe inhone hi di thi.
Aaj aapne Chocolate Day 2017 ko bahut kuch jana. To ab der kis baat ki. Jaldi se acchi acchi chocolate kharide aur apne dosto, priyo ko tohfe mai de. Iske sath hi aapka unn sabhi ke sath rishta madhur ban jayega.