Atyadhik kaam ke bad thakan hona aam baat hoti hai. Lekin yadi yeh thakan bewajah aur lagatar mehsus hone lage to yeh samanya baat nahi hai. Darahsal yeh CFL(Chronic Fatigue Syndrome ) ka lakshan hai. CFL ko ME (Myalgic Encephalomyelitis) ke naam se bhi jana jata hai.
CFL ek aesa vikar hai jisme isse pidhit vyakti ko sharir ke kisi bhi hisse mai dard bana rehta hai, susti mehsus hoti hai, saans lene mai dikkat hoti hai aur atyadhik thakan iska mukhya lakshan hai.
Shodhkartao ne CFL ke karano ko pata lagaya aur paya ki jab koi bhi vyakti Epstein-Barr Virus (EBV), Human Herpes Virus 6, Ross River Virus (RRV), Rubella, Coxiella Burnetti, aur Mycoplasma mai se kisi bhi teen vikaro se pidit hai to woh Chronic Fatigue Syndrome ki samasya se bhi grast rahega.
Yeh bimari vyask aur baccho ko bhi ho sakti hai. Iske lakshano ko sahi wakt par pehchankar iss bimari se chutkara paya ja sakta hai. To aaiye jane Chronic Fatigue Syndrome ke bare mai poori jankari.
Chronic Fatigue Syndrome: Pehchane Iske Karan
Yadi hame CFL ke lakshano ko pehchanne hai to sabse pehle apni dincharya aur raat ki neend ki taraf dhyan de. Yadi hame inme hamesha ki apeksha lagatar badlav dikhai de raha hai to iske piche ka karan chronic fatigue syndrome ho sakta hai.
Chronic Fatigue Syndrome Causes kai hai. Yadi kisi vyakti ko cancer, thyroid disorders, HIV ya AIDS hai to use iss bimari ke hone ki sambhavana badh jati hai. Iske lakshano ka pata lagane ke liye aaiye jante hai Chronic Fatigue Syndrome Symptoms.
Thakan Mehsus Hona
Jin vyakti ko yeh bimari hoti hai unme hamesha thakan bani rehti hai. Jaruri nahi hai ki thakan hone ke piche ka karan Chronic Fatigue Syndrome hi ho. Thakan kisi bimari ki wajeh se bhi ho sakti hai Lekin bimari ka illja hone par bhi yadi samanya tour par aapko thakan bani hui ho to yeh CFL ka lakshan ho sakta hai.
You May Also Like:-Cervical Cancer Symptoms in Hindi: Mahilao Mai Iske Karan
Kamjor Yadast
Chronic Fatigue Syndrome se pidhit vyakti ki yadast kamjor ho jati hai. Vyakti ki yad rakhne ki kshamta itni kamjor rehti hai ki use bolte wakt shabdo ko sochne mai bhi pareshani hoti hai.
Nind Ke Bad Thakan
CFL se pidit vyakti apni neend ko pura karne ke bad bhi thakan mehsus karte hai aur apne aap ko tarotaja mehsus nahi kara pate hai. Yeh bhi iss bimari ka mukhya lakshan hota hai.
Depression
Mandi (Depression) bhi CFL se pidit vyakti mai dekhane ko milta hai. Aese vyakti apne kam ke sahi tarah se pure na hone ki wajeh se bahut jyada pareshan rehte hai.
Chronic Fatigue Syndrome Ke Samanya Lakshan
- Neend na aana
- Sar mai dard rehna
- Gale ka sankraman
- Lyme ki bimari hona
- Sharir mai aur jodo mai dard hona
- Maspeshiyo mai dard rehna
CFL ki bimari mai tin charan hote hai.
Shuruwati Dour: Iss awastha mai vyakti kuch gatividhiyo ko apnakar aur apna sahi tarah se khayl rakh kar thik ho sakta hai. Lekin isme thoda samay lagta hai isliyevyakti ko thoda dharya aur shanty rakhne ki aavashyakta hoti hai.
Madhyam Dour: Iss case mai vyakti ko apane CFS ke level ko dekhte huye apni dincharya mai thoda parivartan lane ki jarurat hoti hai. Sath hi raat mai nind ke sath sath din mai jyada sone ki jarurat hoti hai.
Aakhri Charan: CFL ke iss charan se pidit vyakti ko bahut sari pareshaniyo ka samna karna padta hai. Isme pidhit mai ekagrata ki kami hona, yaddasht kamjor hona jaise lakshan dikhai dete hai. Aese vyakti bahut hi najuk ho jate hai aur kisi bhi prakar ke shor ko bhi bardasht nahi kar pate hai.
CFL na keval vyakti ko bahari roop se kamjor banata hai balki iska asar mastishk aur vyakti ke vyavhar par bhi padta hai. Lekin iss pareshani se bacha ja sakta hai. Cognitive behavioral therapy aur Graded Exercise Therapy ki madad se marij iss bimari se chutkara paa sakta hai.
Aaj aapne jana Chronic Fatigue Syndrome. Yadi aapko ya fir aapke aaspas kisi ko bhi iss bimari ke lakshan dekhane ko mile to doctors ki turant salah le.