Chronic Headache Causes in Hindi: Kyo hota hai Teevra Sirdard

Sar dard ki samasya aajkal bahut aam ho gayi hai. Agar sirdard thoda bahut hota ho ya fir kabhi kabhi hota ho to yeh samanya hai lekin yadi yeh lagatar bane rahe to pareshani ka karan ban jata hai. Yadi aapko pichle teen se 4 mahine mai, 15 din se adhik sar dard bana hua hai to yeh chinta ka vishay hai aur aapko dhyan dene ki jarurat hai.

Iss tarah ki paristithi ko chronic daily headache (CDH) aur Chronic headache ke naam se jaana jata hai. CDH ki yadi baat ki jaye to yeh 4 se 5% jansankhya ko prabhavit karta hai. Chronic headache hone ka samay kam bhi ho sakta hai aur jyada bhi.

Bahut se logo ko yeh 4 ghante ya isse jyada der tak bhi hota hai. Isme sirdard bahut teevra hota hai. Kuch log ise purana sirdard bhi bolte hai. Iske liye aapko aushdhiya aur ger aushdhiya sare illaj mil jate hai, jisse sirdard se rahat mile, lekin CDH ko theek nahi kiya ja sakta hai.

Jaisa ki ham jante hai kisi bhi chiz se rahat pane ke liye hame uske karano ko dur karna jaruri hai. Isliye aaj ke lekh mai ham aapko Chronic Headache Causes in Hindi bata rahe hai, taki aap isse bachav kar sake.
 

Chronic Headache Causes in Hindi: Atyadhik Sirdard Ke Karan Jane

 
chronic-headache-causes-in-hindi

Adhikansh logo ko samay samay par sirdard hota hai. Yadi aapka sirdard samanya ki tulna mai adhik hai to ho sakta hai aapko Chronic Headache ho. Vaise to iske hone ki prathamik wajah ka pata nahi chal paya hai., lekin kuch anya karan bhi hai jiske wajah se yeh ho sakta hai. To aaiye jante hai Causes of Chronic Headaches:-

  1. Kisi accident ke douran mastishk mai chot lagna.
  2. Mastishk ka tumor
  3. Intracranial ke dabav bahut adhik ya kam hone par
  4. Dimagi bukhar
  5. Mastishk mai sujan

 

Dawai Ka Atyadhik Prayog

Jo log migraine ke karan ya tanav ke chalte bahut jyada dawaiyo ka sevan karte hai, umne Medication overuse headache ki samasya hoti hai. Yadi aap ek hafte mai do din se jyada dard nivarak dawaiyo ka sevan karte hai to teevra sirdard hone ki sambhavna hoti hai.
 

Chronic Tension-Type Headache

Yeh bar bar hone wala sirdard hai. Iske karano ka abhi pata nahi chal paya hai. Iska sabse sambhavit karan, aesi mashpeshiya jo khopdi ko cover karti hai unme sankuchan hona hai. Jab inn mashpeshiyo mai tanav utpanna hota hai, to unme sujan aur aenthan aa jati hai jo dard ka karan banti hai. Iss sirdard ki nimnlikhit visheshta hai.

  • Yeh aapke sir ke dono aur ko prabhavit karta hai.
  • Isme aapko halke se lekar jyada dard ho sakta hai.

 

Niyamit Hone Wala Sirdard

Isme sirdard achanak se hone lagta hai, khaskar unn logo mai, jinhe pehle se sir dard ki samasya hai. Yeh sirdard aapko 2 se 3 din tak bana reh sakta hai.

  • Isme aapko halka ya jyada dard hota hai.
  • Yadi aap sharirik gatividhi karte hai to yeh uttejit nahi hota hai.
  • Aapko aesa mehsus hota hai ki aapke srr mai dabav hai, lekin kisi tarah ki kampan nahi hoti hai.

 

Hemicrania continua

Iss tarah ka sir dard aasani se band nahi hota hai. Iske karan aapke sir mai aur chehre ke ek hisse mai dard hota hai. Chikitsak bhi iske hone ka sateek karan nahi pata laga paye hai. Lekin yeh purusho ki tulna mai mahilao ko jyada hota hai.

  • Sar ke keval ek paksha ko prabhavit karta hai.
  • Lagatar sirdard bana rehta hai.
  • Bich bich mai bahut gambeer dard hota hai.
  • Kabhi kabhi lakshan bahut gambheer dikhai dete hai.

 

Sar Dard Hone Ke Kuch Anya Karan Bhi Jane

  1. Chinta karna
  2. Avsad se ghirna
  3. Nind na aana(anidra ki samasya)
  4. Motapa
  5. Kharate
  6. Caffeine ka atyadhik prayog karna
  7. Sir dard ki dawa ka atyadhik prayog
  8. Anya Purane dard ki stithi

Aapko Severe Headache hone ke kai karan pata chal chuke hai. Samanya tour par hone wale sirdard mai aapko kisi bhi tarah ke chikitsiya illaj ki jarurat nahi padhti hai. lekin kabhi kabhi dard ko andekha nahi kiya ja sakta. Aese mai aapko doctor se kab milna chahiye iske liye niche dekhe:-

  • Jab aapko hafte mai teen din se jyada sirdard bane rahe.
  • Jab aapka sirdard badta jaye, aur band hone ka naam na le.
  • Jab aapko rojana sirdard se nijat pane ke liye pain killer ka sahara lena pade.
  • Aapko pehle se sirdard ka itihas raha ho, par iss bar iske sath kuch aur bhi lakshan ubhar ke aa rahe ho.
  • Jab kisi sharirik gatividhi ke karne par, jhukne par ya khasne par sirdard shuru ho raha ho.

 

Ek Najar Iss Par Bhi:-

Primary Headache  Secondary Headache
Tanav Ke Karan Sirdard Sankraman Ke Karan
Migraine Ke Karan Sirdard  Kisi Vikar Ke Chalte
Cluster Ke Karan Sirdard  Chehra, Naak aadi Ki Haddiyo Ke Sath Sanrachanatmak Samasya

         
 

Upar aapne jana Chronic Headache Causes in Hindi. Yadi aap bhi sirdard aadi ki samasya se pareshan hai to upar di gayi jankari ko dekhkar iska pata laga sakte hai. Sahi illaj ke liye sahi jankari jaruri hai.

Loading...

You may also like...