Jab baat mithai ki aati hai to uska naam sunkar hi muh mai pani aa jata hai aur koi bhi use khane ke liye palbhar bhi nahi sochta. Kyonki mithai to sabki pasandita chij hoti hai jise bacche hi nahi bade bhi bahut maje se khate hai.
Swatantrata Diwas (Independence Day) hamare liye bahut mahatvapurn hone ke sath sath khushiyo se bhara din bhi hai. Iss 15 Aug 2016, ko hamara desh azadi ke pure 70 saal banayega. Yadi aap iss din bajar ki mithai lane ke bajay ghar ki bani hui mithai ke sath manayenge to aapki khushiya aur bhi bad jayegi.
Aap iss khas din par nariyal barfi bana sakte hai. Isko ghar par banane par yeh sudhha to hogi hi sath hi aapke paiso ki bhi bachat hogi. Iss mithai ko karib 15 din tak fridge mai rakh kar kha sakte hai aur wese bhi khane ke bad mithai khana kise pasand nahi aata to aaiye jane Coconut Burfi Recipe in Hindi.
Independence Day Par Jane Coconut Burfi Recipe in Hindi
Nariyal Barfi Ke Liye Jaruri Samagri
- Nariyal ka bura – 100gm
- Mava – 200gm
- Chini powder – 200gm
- Elaichi – 5 se 6
- Barik kata hua pista – 15 se 20
- Kishmish – 20
- Desi ghee – 1 chhota chammach
- Dudh – Aadha Cup
- Kaju – 7 se 8
- Badam – 7 se 8
Nariyal Barfi Banane Ki Vidhi
- Iss Indian Sweet ko banane ke liye sabse pehle nariyal ko kaddukas kar le ya bajar se laya hua nariyal ka bure ko thali mai nikal le.
- Iske baad kaju badam aur piste ke chhote chhote tukade kat le tatha ek aur bade pyale mai chini nikal le.
- Ab chini mai dudh dale aur nariyal ka bura bhi dal de.
- Iske bad kadhai le aur usme ghee garam karne ko rakhe tatha isme nairyal ke bure wala mishran dal de.
- Iss mishran ko dalne ke kuch der bad mave ko bhi dale.
- Kadhai mai dale huye mishran ko kuch der chalate rahe aur dhyan rakhe ki gas ki aanch maddhi rahe.
- Mishran ko tab tak chalaye tatha pakne de jab tak ki mishran kadhai na chhodne lage. Isko chalte samay dhyan rakhe ki mishran kadhai mai na chipke.
- Jab mishran acche se ban jaye to usme kaju badam pishta dale aur mishran ko milaye.
- Jab mishran kadhai chhodne lage aur acche gadha ho jaye to samjh jaye ki mishran jamne ke liye taiyar ho gaya hai.
- Iske baad isme elaichi ko pees le tatha mishran mai elaichi powder aur kismish dalkar mila le.
- Iske baad ek choudi thali le aur usme charo taraf halka halka ghee laga de.
- Ab mishran ko thali mai dale aur charo taraf se faila de tatha jab yeh halka thanda ho jaye to isse chaku ki sahayata se pees karke kat le aur thali mai hi rehne de.
- Jab barfi puri tarah thandi ho jayegi to acche se jam jayegi. Ise jamne mai karib 1 ghante ka samay lagta hai.
- Aapki nariyal ki swadisht barfi taiyar hai, ise thali mai se nikal kar ek dibbe mai rakh le aur fridge mai rakh de.
- Iss barfi ko jab aapka man kare tab khaye parantu yeh jyada din nahi chalti hai isliye ise 2 se 3 hafto mai khakar khatam kar de.
Jane Jhatpat Banne Wali Coconut Barfi Ki Vidhi
Aavshyak Samagri
- 250gm, Condensed milk
- 400gm, Nairyal Powder
- Thoda sa Elaichi Powder
- 1 Chota chammach, Dudh
- 8 se 10, Kesar ke dhage
Easy Burfi Recipe – Jane Vidhi
- Ise banane ke liye sabse pehle kesar ke dhage ko dudh mai bhigo kar rakh de.
- Ab ek kadhai le aur usme condensed milk dalkar use halka sa garam kare jab tak ki wo pighal jaye aur gas ki aanch ko band kar de.
- Iske bad condensed milk mai nariyal ka bura dale aur isse acchi tarah se mila le.
- Jab yeh aache se mil jaye to isme kesar wala dudh aur elaichi powder bhi dal de.
- Ab ek thali le aur usme halka halka charo tarah ghee lagaye tatha mishran ko usme dalkar acche se faila le.
- Mishran ko acche se thanda hone de aur chaku se jaisa chahe wesa aakar dekar pees kat le.
- Aapki jhatpat banne wali nariyal ki barfi taiyar hai.
Upar aapne jana Coconut Burfi Recipe in Hindi . Iss swadhist mithai ko khud bhi khaye aur ghar ke sadasyo ko bhi khilaye.