Colitis Symptoms: Janiye Pet ki Bimari ke Lakshan

Colitis ek aam pet ki bimari hai jisme large intestine ke andar sujan aa jati hai. Colitis hone par rogi ke pet me jor-jor se Spasm (Pet me marode aana), Loose Motion, Lagatar Diarrhea Rehna, Bukhar, Vajan Ghatna aur Insomnia jesi bimari ho jati hai.

Iss bimari ko kabhi bhi nazarandaz nahi karna chaiye aur apne doctor se turant sampark karna chaiye. Colitis ko ‘Ulcerative Colitis’ bhi kehte hai. Yeh bimari jaldi bhi thik ho sakti hai aur isme saalo bhi lag sakte hai.

Colitis jyadatar bacteria, virus ya parasite ke atikraman se hoti hai. Iss bimari me aapko keval ghar ka bana khana hi khana chaiye. Dhuli aur acchi tarah se paki hui sabji ka sevan kare. Iss bimari me salad aur high fiber vegetable na khae. Colitis ke kai lakshan saamne aae hai, to aaiye jante hai Colitis Symptoms ko aur rehte hai swastha aur fit.

You may also like: Increase Breast Size: Boobs Size ka Vikas Hua Bahut Aasan

Colitis Symptoms: Pet ki Bimari se Rahiye Dur

  • Loose Motion Hona

Yadi aapko ek din me 5 se adhik baar loose motion ho rahe ho to aap turant apne doctor ko dikhao nahi to aapke sharir me bahut kamjori aa jargi. Colitis me aapko blood aur paani ki dust aati hai. Yadi aapko aisa ho rha hai to aap turant iska ilaaj kariye.

  • Fever Aana

Yadi aapko bahut tez bukhar aa rha hai aur Kabhi Kabhi aapko tezi se garmi ka ahsas hota hai to aap samajh jaiye ko aapko colitis ki shikayat hai. Bukhar 38.5 se adhik degree C ho sakta hai.

  • Sharir me Paani ki Kami

Rogi ko iss rog me kafi jyada matra mai paani pine ki salah di jati hai. Paani ki kami jyadatar budhe aur baccho ko hoti hai. Yadi sach me aapke sharir me paani ki matra bahut kam hai matlab aap Colitis symptoms se grasit hai. Aur iss situation se bachne ke liye rogi ko glucose pilana chaiye.

  • Thik na Hone Wala Rog

Lagatar vajan me kami, anemia, poshan sambandhui rog, kamjori aur purani hepatitis aadi rog humesha bane rehna aur Kabhi thik na hona. Iss type ki situation me aap acche doctor ki salah jarur le.

  • Toilet me Blood Aana

Jab yeh rog Rectum tak simit rehta hai to usme rog ki tivrata adhik hai, Toliet me blood jane ke saath, Rectum me dard, maltyag ki avashyakta tatha guda dwar par aithanyukt dard aadi lakshan utpann hote hai.

Yadi aap inme se koi bhi lakshano se pidit hai to turant ek acche doctor ki salah jarur le aur dur rahiye Colitis Symptoms se.

Loading...

This website uses cookies.