Common Diseases in India: Bharat mai Hone Wale Rog

Bharat shetra ke anusaar kaafi bada desh hai. Iske atirikt yaha ki jansankhya pure vishva ka 17.84% hissa hai. Har Kisi ko Jivan jeene ke liye mulbhut avshyaktaye ki jarurat hoti hai jaise suddha bhojan, swaccha kapde, saaf suthra nivaas aadi! Yadi inn tino chijo mai se ek mai bhi kami hoti hai vyakti ko bimari gher sakti hai.

Vartmaan ka yug adhunik mashinikaran ka yug ban gaya hai aur mashino ke karan bade bade udhyog aur plant lagaye gaye hai. Jo log inn udhyog mai kaam karte hai wo aas pas hi basti bana kar rehte hai aur inn mashino se nikalne wala ganda pani tatha dhua aas pas ke jagaho par hi failta hai aur bimariyo ka karan banta hai

Yeh to aap jante hi honge ki bharat mai rehne wali jansankhya mai 1/3 hissa garib logo ka hai. Matlab itne log garib gandi basti mai rehte hai yeh bahut gambheer samasya hai. Jiske karan kai saman bimariya logo mai ho jati hai. Aaiye jante hai bharat mai hone wali wo samanya bimari kya hai, padhiye Common Diseases in India.
 

Common Diseases in India: Janiye Pramukh Rogo Ki Suchi

 
Common Diseases in India
 

Swine Flu ya H1N1 Influenza

Yeh ek virus hai jisse sankramak rog failta hai. Iss virus ke bare mai april 2009 mai pata lagya gaya tha. Swine flu ke karan pure vishva mai kai logo ki mout ho gai hai. WHO ne iss bimari ko mahamari kaha tatha samanya tour par yeh bimari suar ke karan failti hai isliye isse swine flu kaha jata hai.

Sardi ke dino mai swine flu (Pig Influenza) se marne wale vyaktiyo ki sankhya bad jati hai, kyuki jaise jaise thandi badti jati hai iska prakop bhi badta jata hai.
 

You may also like:- Zika Virus in Hindi – Janiye Iske Prabhav, Lakshan aur Upchar

 

Polio Virus

Polio ek vishanu hai, jo baccho ke kisi bhi ang mai ho sakta hai aur wah ang kaam karna band kar deta hai. Bharat iss bimari se kai saalo se jujh raha hai aur isse bachne ke liye sarkar ne kai abhiyaan chalaye huye hai taaki baccho ko polio se bachaya ja sake.

Wese inn abhiyano ke chalte ab iss bimari ka prabhav kafi had tak kam ho gaya hai. Lekin fir bhi yeh bahut samanya bimari hai jo kisi bhi bacche ko ho sakti hai. Polio ke sabse jyada case uttar Pradesh aur bihar mai paye gaye hai.
 

Malaria

Malaria ek bahut hi khatarnak bimari hai jo barish ke mousam mai sabse jyada logo ko prabhavit karti hai. UNICEF ki report ke anusar dekha gaya hai ki puri duniya mai rojana 1000 bacche iss bimari ki chapet mai aakar mar jate hai. Iss bimari ke bare mai sabko jankari dene ke liye puri duniya mai 25 april ko vishva malaria divas manaya jata hai

Aesa mana gaya tha ki yeh bimari buri hawa ke karan hoti hai. Malaria shabd ko agar dekhe to yeh shabdo ka mail hai. ”mal” matlab buri tatha “aria” matalb hawa hota hai. Isliye isse malaria naam diya gaya. Yeh bimari maccharke katne se hoti hai. Jab anopheles sankramit macchar kisi swasth vyakati ko katata hai. Iske lakshno ke bare mai janne ke liye padhe Malaria Symptoms in Hindi.
 

Dengue

Bharart mai har saal kai log dengue ki bimari se grasit ho rahe hai aur iske karan kai logo ki mritu bhi ho jati hai. Aaye din hume iski khabar akhbaar mai padhne ko milti hai. Wese bharat swasth mantralay iss bimari ke bare mai jagrukta failane ke liye kai vigyapan aur prachar ka sahara le rahi hai.

Dengue mai vyakti ko bhukhar aata hai aur yeh hawa ya pani se nahi balki sankramit mada macchar ke katne se hota hai. Jab mada machhar vyakti ko katkar uska khun piti hai to dengue virus vyakti ke sharir mai chala jata hai. Jisse dengue fever ho jata hai.
 

Typhoid ya Miyadi Bukhar

Typhoid ko miyadi bhukhar ke naam se bhi jana jata hai. Yeh bhi bahut khatarnak sankramak rog hai. Isme bhi vyakti ko bukhar aata hai. Yeh liver mai jivanuo ke hamle ke karan hota hai. Jab typhoid se sharir sankramit hota hai to sharir ke kai hisso mai dard ka anubhav hota hai.

Tatha sharir kamjoor hone lagta hai. Iss bimari mai laparwahi baratne par pidit vyakti ki mritu bhi ho sakti hai. Yadi aap iske mritu ke aankde ko dekhoge to aapko andaja lag jayega yeh bimari kitni khatarnaak hai.
 

You may also like:- Rotavirus in Hindi: Janiye Iske Lakshan, Karan aur Roktham

 

Piliya – Jaundice

Mousam ke badalne tatha kharab hone par Jaundice ka prakop hone lagta hai. Ise samanya bhasha mai piliya bhi kaha jata hai. Yeh bimari bhi liver mai sankraman hone ke karan hoti hai. Iss bimari ke shikar vyakri ka sharir pila hone lagta hai tatha sankraman ke karan sharir mai pani ka star kam hone lagta hai.

Yeh ek samanya rog hai lekin yadi sahi samay par iska ilaaj nahi karwaya to yeh janleva bimari bhi sabit ho sakti hai. Iske alawa jyada bahar ka khane par bhi yeh bimari ho sakti hai.
 

Avsad Ki Samasya

List of Common Diseases in India mai Avsad ka naam bhi shamil hai. WHO ki report ke anusar pata chala hai ki bharat mai puri duniya ke mukabale avsad ki bimari se pidit vyaktiyo ki sankhya jyada hai tatha iss bimari se mahila purusho ki tulna mai jyada shikar hai. Aesa anuman lagaya ja raha hai 2020 tak yeh sabse badi samasya ke rup mai samne aayegi.

Aajkal yeh bhi dekha ja raha hai ki mahilaye aur purusho ke alawa bacche bhi iss bimari ka shikar ho rahe hai.  Jab vyakti depression se pidit hota hai tab use anidra ki samasya, man mai aatmahatya ke vichar aur thakan jaise kai lakshan dikhai dete hai.
 
Upar aapne jana Common Diseases in India. Yeh sabhi bimari kisi ke bhi swasthya ko prabhavit kar sakti hai. Isliye satark rahe arthat ghar ka bana khana hi khaye, saaf pani piye, vyayam kare, sankramit vyakti se dur rahe.

Loading...

You may also like...