Anjeer Benefits: Jane Common Fig Khane Ke Swasth Labh

Anjeer ek swadisht aur swasthvardhak phal hai. Kai log ise common fig ke naam se bhi jante hai. Iska sukha hua roop meve ki tarah istemal kiya jata hai. Anjeer ke sukhe phal bahut gunkari hote hai. Yeh jitna meetha hai, utna hi labhdayak bhi hai. Sath hi vyanjan mai iska istemal karne par yeh ek alag hi swad deta hai.

Anjeer mai 63% carbohydrate, 5.5% protein, 1% chiknai, 3% mineral salt, 1.2% acid aur 20.8% pani moujud hota hai. Iske alawa prati 100 gm anjeer mai lagbhag ¼ iron, vitamin, thodi matra mai chuna, potassium, sodium, gandhak, phosphorus acid aur gond bhi paya jata hai.

Anjeer ke sevan se kabj dur hota hai, sath hi gas aur acidity mai bhi isse rahat milti hai. Isme calcium tatha vitamin A prachur matra mai paya jata hai. Khoon ki kharabi ho jane par anjeer ka sevan dudh aur mishri ke sath lagatar hafte bhar karne se labh hota hai. Aaiye jante hai aese hi kai Anjeer Benefits in Hindi ke bare mai.
 

Anjeer Benefits in Hindi Se Rakhe Sehat Ka Khayal

 

 

Uccha Raktchaap Mai Faydemand

Kuch log aahar mai bahut jyada namak ka upyog karte hai. Jo sharir mai sodium ke star ko badhane mai madad karta hai natijanat sharir mai sodium potassium ke star ka santulan bigad jata hai. Jikse karan uccha raktchaap ka khatra badh jata hai. Anjeer iss santulan ko banaye rakhne mai madad karta hai.

Dil Ki Sehat Ka Khayal Rakhe

Common Fig uccha matra mai antioxidant gun hone ke karan yeh sharir se free radicals ko dur karne mai madad karta hai. Jisse rakt kosikaye swasth reh pati hai aur dil ki bimari ka khatra kuch had tak kam ho jata hai.

Asthma Thik Kare

Asthma ki bimari me anjeer ke patto se rahat milti hai. Jo log insulin lete hai unke liye ye bahut labhkari hota hai. Isme potassium ki matra acchi hoti hai, jisse khoon mai sharkara ki matra santulit rehti hai.
 

You May Also Like:- Dry Fruits Benefits -Sukhe Meve Se Rakhe Sehat Ka Khayal

 

Takat Badhaye

Yadi aap bahut jaldi thak jata hai, ya fir bahut duble ho rahe hai to anjeer ka sevan aapke liye bahut karagar hai. Sukhe huye anjeer ke tukde aur chhile huye badam ko garam pani me daalkar ubale. Ise sukhakar isme danedar pisi ilaichi, kesar, chironji aur pista barabar matra me milakar sat din tak gaay ke ghee me milakar rakh de. Rozana subah 20 gm tak anjeer sevan kare. Isse aapki takat badhti hai.

Wajan Kam Kare

Anjeer mai fiber uccha matra mai hota hai, par calorie ki matra bahut kam hoti hai. Anjeer k eek tukde mai 47 calorie hoti hai aur fat 0.2 gram hota hai. Isliye vajan ghatane walo ke liye yeh ek accha viakalp hai.

Haddiya Majboot Banaye

Ek sukhe Anjeer mai 3% calcium hota hai. Jo sharir ke liye calcium ki jarurat ko pura karne mai sahayata karta hai. Dusre calcium yukt khadya padhartho ke sath yeh milkar haddiyo ko shakti pradan karta hai.

Common Fig Benefits: Anya Fayde Inhe Bhi Jane

  1. Bhige hue anjeer ko subah khali pet khane se bawasir dur hoti hai.
  2. Sirke mai anjeer ke ped  ki chhaal ki bhasm banakar sar par lep karne se sar ka dard thik ho jata hai.
  3. Anjeer ka adhik matra mai sevan karne se sharir shaktishali hota hai aur manushya ki kshamata badhti hai.
  4. Madhumeh rog mai anya phalo ki tulna mai anjeer ka sevan vishesh labhkari hota hai.
  5. Anjeer ko sirke mai bhigokar khane se bhook na lagna aur afara dur ho jata hai.
  6. Kisi bhi prakar ke bukhar, visheskar pet ki kharabi se hone wale bukhar mai anjeer ka sevan labhdayak hota hai.
  7. Anjeer ke phalo ko pudina ke sath khane se sine par jama hua cough dhire-dhire nikal jayega.
  8. Paani mai 5 anjeer ko dalkar ubaal le aur iss paani ko chhaankar garam-garam subah aur sham ko pine se jukham mai labh hota hai.
  9. Iska sevan karne se sukhi khansi dur ho jati hai. Anjeer purani khansi wale rogi ko bhi labh pahuchata hai. Kyoki yeh balgam ko patla kar bahar nikalta hai.
  10. Fodo aur uski gaantho par sukhe anjeer ya hare anjeer ko piskar paani mai autakar gunguna karke lagane se fodo ki sujan aur fode dur ho jate hai.
  11. Antioxidant gun se bharpur anjeer free radicals ke kshati se DNA ki hifajat karta hai. Jiske chalte cancer hone ki sambhavana kuch had tak kam ho jati hai.
  12. Anjeer ki chhal, sonth, dhaniya sab barabar le aur kutkar raat ko pani mai bhigo de. Subah iske bache ras ko chankar pila de. Isse kamar dard mai labh hota hai.
  13. T.b. ke rogiyo ko iska sevan karna chahiye. Anjeer ke sevan se sharir mai khoon badhta hai. Anjeer ki jad aur daliyo ki chhal ka prayog aushadhi ke roop mai hota hai. Khane ke liye 2-4 anjeer ka prayog kar sakte hai.

 

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

 

Loading...

This website uses cookies.