Home Remedies for Constipation: Kabj Se Dilaye Jald Chutkara

Aajkal kabj ek aam samasya ban gaya hai. Galat jivansheli aur kaam ke tanav ke chalte kabj hona samanya baat hai. Log iske bare mai khulkar baat karna pasand nahi karte hai. Lekin hamesha kabj rehna bhi sahi nahi hai.

Iska asar aapki jivansheli par padhta hai. Aapka pura din accha jane ke liye subah subah thik se fresh hona bahut jaruri hai. Nahi to aap pura din pareshan rehte hai. Kabj aesi samasya hai jiske karan budhe log hi nahi jawan bhi pareshan rehte hai.

Kabj hone par pet phulta hai, pet mai dard hota hai sath hi sath aapko kai bar washroom ke chakkar katne padhte hai. Aese mai yadi kisi din aapki office ki meeting ho to fir aap hi sochiye.

Isliye aaj ke lekh mai ham aapko Home Remedies for Constipation bata rahe hai. Inn gharelu upayo se aapki kabj ki bimari jald hi gayab ho jayegi. Aur aapka din bhi accha jaya karega.
 

Home Remedies for Constipation in Hindi: Kabj Ke Gharelu Upay

 
Home Remedies for Constipation in Hindi
 
Iske gharelu upcharo ko janne se pehle ek bar iske hone ke karano par najar dalte hai:-

  • Dehydration ya sharir mai pani ki kami
  • Kisi bhi tarah ki sharirik gatividhi na karna
  • Khanpan ki galat aadate
  • Bahut jyada chai – coffee pina, dhumrapan karna aadi

 

Kabj Ke Upchar:-

 

Amrud

  • Abhi thand ke din chal rahe hai aur inn dino bajar mai amrud yane ki jamphal ki kaafi bahar rehti hai.
  • Iss phal ko aap din mai kisi bhi samay kha sakte hai. Iss phal mai resha moujud hota hai jo aapki aanto ko majbooti dene ka kaam karta hai.
  • Amrud ke alawa phalo mai papita bhi kabj ki samasya se chutkara dilata hai. Yeh pet ko saaf rakhta hai.

 

Gud

  • Raat ko sone se pehle gud khakar sone se gas, kabj aadi samasya dur ho jati hai.
  • Isse aap subah acche se fresh bhi ho pate hai, jisse pura din accha jata hai.
  • Gud vitamin aur minerals se bharpur hota hai. Ise khane se cough aur khasi ki samasya bhi thik ho jati hai.

 

Alsi

  • Alsi mai uccha matra mai fiber hota hai. Isliye ise khane se bhi kabj ki samasya se chutkara milta hai.
  • Alsi ke beej na keval kabj thik karte hai balki motapa ghatane mai bhi madadgar hai. Isliye vajan ghatane ki chahat rakhne walo ko iska sevan jarur karna chahiye.
  • Ya to aap ise subah ek do chammach garam pani ke sath kha le. Ya fir raat ko khane ke bad khaye.
  • Raat mai khane ke liye pehle ise bhun le aur siki hui ajwain mai mix karle. Roj thoda si khaye.
  • Kuch logo ko shuruwat mai alsi suit nahi hoti hai to ho sakta hai ki aapko bra bar toilet jana padhe.

 

Adrak Ki Chai

  • Adrak ki chai to har kisi ko pasand aati hai. Ham aapko bata de ki iss chai ko peekar aap kabj ki samasya ko bhi dur kar sakte hai.
  • Darahsal adrak aapke sharir ko garm karti hai. Iss tarah aapka pachan tantra thik rehta hai.
  • Kabj se rahat pane ke liye aap chai ya pani dono mai adrak milakar pee sakte hai.

 

Nimbu Pani

  • Nimbu pani se bhi aapki kabj ki samasya dur ho jati hai. Darahsal nimbu pani se aapke sharir mai moujud vishakt padarth nikal jate hai.
  • Isse aapka pachan tantra thik rehta hai, isliye Constipation Cure ke liye aapko ise rojana peena chahiye.
  • Subah ke wakt nimbu ko gungune pani mai hi le aur thoda shahad bhi mila le. Isse aapke pet ki atirikt charbi kam hoti hai.
  • Aap chahe to lemon tea bhi le sakti hai. Jin logo ko har wakt cough rehta hai unke liye bhi yeh upchar faydemand hai.

 

Anya Gharelu Upchar Inhe Bhi Janiye:-

  1. Rojana vyayam karne se bhi kabj dur hota hai. Apni dincharya mai yog ko jarur shamil karna chahiye.
  2. Din mai do bar palak ya pattagobhi ka juice pine se bhi kabj se rahat milti hai. Yeh bhi prabhavi Constipation Remedies hai.
  3. Anjeer mai acchi matra mai fiber hota hai isliye iska sevan bhi faydemand hai. Ek glass dudh mai do anjeer dalkar ubal le. Raat ko sone se pehle iska sevan kare.
  4. Isabgol ki bhusi bhi kabj se nijat dilati hai. 1-2 chammach isabgol ki bhusi ko raat mai sote wakt pani ya dudh ke sath lena chahiye.
  5. Yeh aapki aanto ki prakriya ko tej karta hai. Isse aapka pet khulkar saaf hota hai. Doctor bhi ise lene mai salah dete hai.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Constipation in Hindi. Yadi aap bhi kabj ki samasya se pareshan hai to yeh upay aapke liye faydemand hai. Lekin yadi lambe samay tak yeh samasya bani rehti hai to aapko bina der kiye chikitsak se sampark karna chahiye.

 

Loading...

You may also like...