Cow Urine Benefits in Hindi – Paye Anek Rogo se Mukti

Humare bharat desh mai gau ko mata kaha jata hai. Agar hum kisi ko maa tulya mante hai to jarur uske piche koi karan hoga. Jaisa ki sabhi jante hai maa apne baccho ka bahut dhyan rakhti hai, unse bahut pyar karti hai aur apne baccho ke liye wo jitna bhi kar sakti hai wo karti hai.

Gaay mata ko maa isiliye kaha jata hai kyoki unka pura jivan apne manush roopi baccho ki dekhbhal mai hi nikal jata hai. Gaay ka dudh, gobar aur yaha tak ki gomutra bhi manushya jivan ko swasth banaye rakhne mai madad karta hai.

Gaay ka dudh aur gobar ka istemal aur upyog to sabhi jante hai. Aaj hum aapko Cow Urine Benefits in Hindi ke bare mai batane ja rahe hai. Pratyek gaay se nishulk milne wala yeh mutra anek rogo ke upchar mai amrit ke saman hai.

Jaha gaay ka dudh 100 bimariyo ka nidan karta hai wahi gomutra cancer sahit 100 se adhik bimariyo ke nidam mai upyog laya jata hai. Dharmik roop se bhi gaay ke dudk se gomutr ki upyogita adhik hai.

Bharat hi nahi vishv ke anek vidvano ne gomutra ki upyogita aur rogupchar ke sambandh mai anek shodh kiye hai aur unhone paya ki yeh mutra kai rogo mai labhprad hai. Aaiye jante hai gomutra kis prakar se aur kin-kin rogo se hame mukti dilate hai.

 

Cow Urine Benefits in Hindi: Janiye Iske Labh aur Rogo mai Upyogita

 

 

 

 

Gomutra Benefits – Jane iske Labh

 

Gomutra swad mai kasela, kadwa aur tikha hota hai. Yeh aasani se pachne wala, shaykarak tatha prakrati mai garm hota hai. Yeh bhook badane wala aur bhojan pachane wala hota hai. Yeh waat-pitt ko kam karne wala, twacha rog, khoon ki kami, shwet pradar, bavasir, asthma, balgum, aankh-muh ke rog aadi mai bahit hi labhkari hota hai. Aaiye vistar se jante hai gomutra benefits

 

Baccho ka Pet Fulna

Pet fulne ki samsya baccho aur bade dono mai hi ho sakti hai, lekin gomutra ke upyog ki matra aayu ke anusar kam ya adhik ki jati hai. Baccho ka pet fulne par ya afara hone par 1 chammach gomutra thoda sa namak milakar pila dene se pet samanya avastha me aa jata hai.

 

Yakrat ya Pliha

Gomutra yakrat ya pliha rog ke badne par bhi upyog mai layi jane wali aushdhi hai. 5 tola gomutra mai namak milakar pratidin iska sevan karne se jaldi labh milta hai. Iss rog mai rog wale sthan par gomutra ka sek bhi kar sakte hai.

Iske liye ek saaf eent lekar usse thoda garam kar le aur gomutra se bigoye huye kapde mai isse lapetkar rog wale sthan par halka-halka sek kare. Isse yakrat aur pliha ghatne ladti hai.

 

You May Also Like: Cyst in Hindi – Bachav Ke Liye Lakshan Pehchane

 

Khaj Khujli ya Kod

Agar sharir mai adtydhik khujli hoti ho to jeera mai gomutra milakar iske lep ko sharir par lagana chahiye. Neem ke patto ko pani mai ubalkar iss pani se nahaye, aisa karne se bhi khaj-khujli dur hoti hai.

Kai baar sharir par safed dag ya kusht ho jata hai. Aisi sthiti mai, baavchi ko gomutra mai milakar pisle aur isse safed dago par ratri ke samay lagaye, subah isse gomutra se hi dhoye. Aisa pratidin karne se kuch dino mai daag bikul thik ho jayenge.

 

Udar Rog

Yakrat rog ke atydhik bad jane par udar rog ho jata hai, to punarnava ke kade mai gomutra milakar lene se is rog mai labh milta hai.

 

Gomutra ke Anya Labh

  1. Asthama, khansi ya jukham jaise rogo mai sidhe iske istemal se cough vicar ka shaman hota hai.
  2. Pet ke kisi bhi tarah ke rog mai gomutra ka upyog labhdayi hota hai.
  3. Kabj rogi ko gomutra chaankar din mai thoda-thoda 3 – 4 baar lena chahiye.
  4. Aankho mai jalan ya sharir mai susti hone par isme chini milakar pina chahiye.
  5. Gurdo ki bimari, piliya, muh ke chaale tatha mutrashay sambandhit rogo mai iska prayog bahut hi labhprad hota hai.

Yaha aapne padhe Cow Urine Benefits in Hindi. Inn rogo ke alawa aur bhi kai rog aise hai jinme gomutra ka prayog swasth raksha ke liye kiya jata hai.

Aaj bhi bharat ke gawo mai ghar ko gobar se lipna aur gomutra chidkne ki parampara hai. Gomutra pavitra hone ke sath-sath kitnashak bhi hai. Yahi karan hai ki puja-path se pahle ghar ko gobar se lipne aur gomutra chidakne ki pratha banai gayi. Jis gau mata ke humpar itne upkar hai, itni kripa hai to uska palan aur raksha hum kyo na kare.

Loading...

This website uses cookies.