Cumin Health Benefits in Hindi: Sehat Ke Liye Jeera Ke Fayde

Jeera sabhi gharo mai uplabsh hone wala ek aam masala hai. Jisse dal aur sabjiyo mai dalne se swad aur bad jata hai. Chaat ka chatpata swad bhi jeere ke bina adhura lagta hai. Yeh behtrin swad ke sath bahut acchi khushbu bhi deta hai, jo khane ko aur lajij bana deta hai. Jeera Rice to humare desh mai bahut hi jayada femas hai. Yeh itna swadisht hota hai ki koi bhi ise khaye bina nahi rah pata.

Iska vanaspati naam cuminan saiminan hai. English mai ise Cumin kaha jata hai. Yeh piyeshi pariwar ka ek pushpiy podha hai. Purvi bhumadhya sagar se lekar pure bharat mai mai iski pedawar bahut adhik hoti hai. Bharat, America aur Mexico mai iska bahutayat upyog kiya jata hai.

Dikhne mai soof ke akar ka jeera swad hi nahi badata hai balki yeh kai poshak tatwo se bhi vilin hota hai. Isme iron ki prachur matra ke sath-sath vitamin A, B aur E bhi adhik paya jata hai. Isame manganese, magnesium, calcium aur zink bhi bahutayat matra mai paya jata hai. Isi karan jire ka pani ka sevan hume andar se majboot banata hai. Jisse hume swasthya aur sehat sambandhit kai labh hote hai.

Yahi karan hai ki kai rogo mai dawa ke roop mai jeere ka istemal kiya jata hai. Yeh bahut se rogo mai bahut adhik labhprad hota hai. Iski bahut badi khasiyat hai ki yeh vajan ko bahut teji se kam karta hai. Aaiye aise hi aur Cumin Health Benefits in Hindi ke bare mai jante hai.

 

Jeera Benefits in Hindi: Jane Iske Labh Aur Upyog Ke Tarike

 

 

Health Benefits of Cumin: Iske Labh

Ek taza addahyan ke anusar, jeera sharir mai banana wale vasa ko avshoshit karta hai, falswaroop yeh sharir ke sabhi kone se motape ko kam karta hai. Vajan kam karne ke sath hi yeh anya bimario se bhi hume bachata hai. Aaiye jante hai Health Benefits of Cumin ko vistar se-

  1. Yeh pachan shakti aur smaran shakti ko badata hai.
  2. Cholesterol kam karta hai aur heart attack se bachata hai.
  3. Twacha swastha aur sundar banata hai. Khoon ki kami ko dur karta hai.
  4. Sharir mai vitamin A, C, E ki matra ko banaye rakhta hai.
  5. Pratirodhak shamta (rogo se ladne ki shakti) ko badata hai.
  6. Sardi, jukham aur bukhar ko dur rakhta hai.
  7. Yeh lever ko cancer jaisi bimari se bachata hai.
  8. Loh tatwa hone karan yeh anemia se nidan mai kaam aata hai. Garbhvati tatha stanpan karane wali mahilao ko jeera adhik khane ki salah di jati hai.

 

You May Also Like:- Lavender Oil Benefits in Hindi: Swasth Ke Liye Faydemand Tel

 

Do chota chammach (4.20 gm)jeera mai protein 0.75 gm, carbohydrate 1.86 gm, vasa 0.94 gm, calorie 15.75 gm jaise kai mukhya poshak tatwo ki bharpur matra hoti hai. Iske atirikt kuch aise saral upar bhi hai jinke jariye aap apne sharir ko swastha aur sundar banaye rakh sakte hai.

  1. Jeera 2 bade chammach ko 1 glass pani mai bigokar raat bhar ke liye rakh de. Subah isse ubale aur garm chai ki tarah piye, bacha hua jeera bhi kha le. Aisa niymit karne se sharir ke kisi kone ki anavyashak charbi nasht ho jayegi.
  2. Jeera ½ chammach ko 2 glass pani mai ubalkar ruyi ke fohe ki madad se pure chehre par lagaye. Aisa karne se chahre ki jhuriya aur muhaso se mukti milegi.
  3. Madhumeh ko niyantrit karne ke liye 1 chota chammach pisa jeera din mai do baar khane se labh hota hai.
  4. Bhuni hing, kala namak aur jeere ko saman matra mai lekar churn banaye. Ise 1-3 gm matra ko din mai do baar dahi se lena chaiye. Yeh pet ko kam karta hai sath hi rakt ka parisancharan bhi teji se hota hai aur cholesterol bhi kam hota hai.
  5. Kabj ki pareshani ho to, jeera, kali mirch, sonth aur kari powder ko saman matra mai lekar pis le. Ise swadanusar namak milakar ghee mai mila le. Pratidin iska sevan karne se kabj, pet dard aur pachan ki parkriya mai aaram milega.
  6. Jin logo ko asthama, brokaitis ya anya sans sambandhit samasya hai to, aisie logo ko niymit roop se kisi na kisi tarah jeere ka sevan karna chaiye.
  7. Dakshin bharat mai log aksar jeere ka pani pite hai, unke anusar aisa karne se mosami bimai nahi hoti aur pet bhi thik rahta hai.

In sabhi labho kop rapt karne ke liye jaruri hai ki hum apne bhojan mai niyamit roop se jeere ka sevan kare. Yeh ek aisa masala hai jisse aap kisi bhi tarah se apne khane ke sath istemal kar sakte hai. Aap bhi jeere ka pratidin upyog kar Cumin Health Benefits in Hindi ka fayda uthaye.

Loading...

This website uses cookies.