Cyst in Hindi: Bachav Ke Liye Lakshan Pehchane

Kya aapne kabhi Cyst namak bimari ka naam suna hai. Kya aap jante hai ye kyo aur kaise hota hai. Agar nahi to, aaiye jante hai kya hai Cyst in Hindi aur iske lakshan.

Cyst ek taral padarth se bani potali ke saman hota hai jo humare sharir ki skin par banta hai. Yeh adhik khatarnak to nahi hoti hai lekin yeh nirbhar karta hai uske prakar. Cyst kai prakar ka hota hai jo bahut pidadayak hota hai.

Cyst ka upchar iske aakar aur lakshan ki ghambhirta par nirbhar karta hai. Yeh rog ek vishesh kide ke sharir ke andar pahunchane se hota hai. Yeh dhire-dhire itna bad jata hai ki aapki jaan bhi ja saakti hai.

Iss rog se bahut log pareshan rahte hai khaskar mahilao ke sharir mai payi jane wali cyst jisko medical bhasha mai ‘Ekainokokas Granolas’ ke naam se jana jata hai. Ise hydatid cyst bhi kaha jata hai. Yeh ek vishesh kide ka anda hota hai jiske upper kavach chada hota hai.

Yeh anda sharir ke jis bhi ang mai jata hai waha ka aakaar dhire-dhire bada hone lagta hai. Iska sabse priy sthyan sharir mai fefde ya liver hota hai. Iske alawa mashtishak, dil, hath – per ki manspeshiya aur kabh-kabhi sharir ki haddiyo mai bhi paya jata hai.

Cyst in Hindi: Janiye Iske Prakar aur Lakshan

 

Cyst in Hindi

 

Types of Cyst: Jane Iske Prakar

Cyst ek aisa rog hai jiska koi ek prakar nahi hai, hum aapko kuch Types of Cyst ke bare mai bata rahe jo adhiktar dekha jata hai.

  1. Endometriosis Cyst
  2. Dermoid Cyst
  3. Mucinous Cyst
  4. Ceres Cyst

 

Fefde mai Cyst

Vishesh kide ke ande pet mai pahunchne ke baad bahar nikal aate hai, jo dhire-dhire sharir ke anya bhago mai pahunch jate hai. Aanto ki diwar ko fadkar yeh aanto mai sthit khoon ke jariye jigar mai pahunch jata hai aur waha se sharir ango mai chala jata hai. Yeh pramukh roop se jigar arthat liver aur fefdo mai apna padav bana leta hai.

Apne padav par pahunchkar yeh aage badna shuru karta hai aur apne charo aur kavach ka nirman kar hydatid cyst ko janm deta hai. Yeh dhire-dhire apne aakar ko badana shuru karta hai aur kavach ke andar yeh kida apne baccho ko janm dene lagta hai. Kuch samay baad inki sankhya badti jati hai, jisse medical bhasha mai daughter cyst kahte hai.

 

Ovary mai Cyst

Aaj kal Cyst in Ovary ki samsya aam ho jayi hai. Ek anusandhan ke anusar takriban 5 se 10 pratishat yuva mahilao ko is pareshani se gujarna pad raha hai. Yeh taran padarth se bhari cyst hoti hai jo ovary ki satah par payi jati hai. Aamtor par chote aakar wale cyst 2-3 mahine ke masik chakr ke baad apne aap thik ho jate hai, lekin do-teen mahino ke baad bhi yeh thik na ho ya menopoj ke baad bhi yeh pareshani ho to stri yog visheshagya se paramarsh lena chahiye.

Apollo Hospital ki doctor ke anusar, adhik tanav wali life ki wajah se bhi mahilao mai ovary cyst ho jata hai. Unhone bataya ki isse yog aur vyayam ke jariye bhi thik kiya ja sakta hai. Yadi kisi ovary mai cyst ke lakshan utpann hote hai ya cyst ka aakar badkar 10 cm se adhik hai to iske ilaj ki avashyakta hoti hai.

 

Symptoms of Cyst: Cyst ke Lakshan

  1. Pet ke nichle bhaag mai dard aur bharipan mahsus hona.
  2. Peshab karne mai dikkat hona
  3. Aniyamit masik dharma aur atyadhik bleeding hona.
  4. Pet mai achanak bahut dard hona ya ulti hona.
  5. Vyayam, shoch ya sahvaas ke baad pelvic ki jagah par dard hona.
  6. Masik dharm ke sath hi tej dard 1-5 dino tak rahna.

 

You May Also Like: Brain Fever Symptoms in Hindi: Jane Dimagi Bukhar Ke Lakshan

 

Yoga for Ovarian Cyst: Ovary Cyst ke liye Yog

Aaiye jante hai, Yoga for Ovarian Cyst jo aapki madad kar sakte hai.

 

Supt Baddh Konasan

Is asan ka atyadhik fayda lene ke liye nice takiya back support ke liye rakh le. Iss asan ko karne ke liye jamin par pair modkar let jaye. Apne ghuto ko mode aur pairo ke talwo ko aapas mai milaye. Iss samay kuch bhi na soche aur mann ko shant rakhe. Kuch samay tak iss avastha mai rahe aur gahri sans le.

 

Chakki Chalan Aasan

Iss aasan ko karne ke liye dono pairo ko samne ki aur failakar baith jaye. Ab apne dono pairo ke bich antar rakhe jitna aap rakh paye. Iske baad apne dono hatho ko samne ki aur lejakar ungliyo ko apas mai bandh le. Ab apne hatho ko ussi prakar chalaye jaise chakki chalai jati hai. Kuch samay clock wise chalaye aur kuch samay anticlock wise.

Cyst in Hindi ki roktham sambhav hai lekin tab jab aap samay rahte iska samadhan kare.

Loading...

You may also like...