Gas hona aur gas hone par dakare aana bahut hi normal baat hai. Yeh samasya kisi ko kabhi kabhi to kisi ko har roj hoti hai. Jab bhi koi dakar leta hai to wo ajib si aavaj nikalta hai aur iske karan gandh bhi hoti hai.
Yadi sharir adhik matra mai hawa nigalta hai to use bahar bhi nikalta hai. Muh dwara iss hawa ke nikalne ko hi dakar kaha jata hai. Yeh pet se gas bahar nikalne ka prakratik tarika hai.
Dakar aana koi bimari nahi hai, lekin log ise pasand nahi karte hai. Yadi aapke sath yeh samasya hai to kitne hi bar aapko logo ke bich sharminda hona padhta hai. Ise shistachar nahi samjha jata hai. Yadi aapko bar bar dakar aane ki samasya ho gayi hai to Home Remedies for Burping aapko jarur apnana chahiye.
Home Remedies for Burping in Hindi: Dakar Ka Gharelu Illaj
Faydemand Papita
- Dakar aane ka mukhya karan gastric samasya hai. Papite ko apne dainik aahar mai shamil kar aap iss samasya se nijat pa sakte hai.
- Papite mai papain enzyme hota hai jo gastric samasyao ko dur karta hai. Yeh pet ki anya samasyao se bhi nijat dilata hai.
Nimbu aur Baking Soda
- Yadi aap dakar aane ki samasya se bahut jyada pareshan ho chuke hai. To aaj se hi nimbu aur baking soda ka upchar shuru kar de.
- Prayog ke liye 1 chammach nimbu ke ras mai ¼ chammach baking soda mila le. Fir ise 2 glass pani mai hilakar pile.
- Yeh gharelu upchar aapko dakar ki samasya se rahat dilayega.
Khane Ke Bad Saunf
- Jin logo ko bhi dakar ki samasya rehti hai wo khana khane ke bad saunf khane ki aadat daal de.
- Kyoki saunf aapke hajme ki prakriya ko sucharu karti hai sath hi sath pet ki akad se bhi chutkara dilati hai.
- Iske alawa saunf khane se aapke pet ki sujan bhi dur hoti hai. Isliye yeh aapke pet ke liye behad hi faydemand hai.
- Yadi aapko gas ki samasya bahut jyada hi hai to aap saunf ka kadha bhi pee sakte hai.
- Ise banane ke liye ek glass mai 1 chammach saunf ubal le. Aapko ise 10-15 minute ke liye ubalna hai.
- Mishran ko chhan le, yeh kadha roj bhojan ke bad aur pehle liya kare.
Elaichi Wali Chai
- Yadi aapko roj chai pine ki aadat hai to apni chai mai elaichi dalna shuru kar de. Kyoki yeh bhi dakar ko kam karne mai madad karti hai.
- Jab aap elaichi khate hai to aapke pet ki garmi kam hoti hai, sath hi gas banane wale khadya padarth aasani se pach jate hai.
- Ya to aap khana khane se pehle elaichi ke dane choose ya fir elaichi ka powder, ek cup pani mai ubalkar peele.
Anya Fayde Inhe Bhi Janiye:-
- Raat ko sone se pehle ek cup chamomile chai pine se dakar ke sath sath pet dard bhi dur hota hai.
- Pudine ki tasir thandi hoti hai. Isliye pudine ke sevan se bhi pet thik rehta hai. Iski chatni banakar kha sakte hai.
- Adrak ke chota tukda muh mai rakhkar chusne se dakar aur Stomach Gas Relief dono milta hai.
- Dahi khane se pachan kriya sudharti hai, sath hi yeh dakar ki samasya se nijat dilane mai bhi sahayak hai.
- Dhumrapan karna bhi bar bar dakar aane ki samasyao ko janm deta hai. Isliye ise bhi band karna jaruri hai.
- Kale jire ka sevan aapke pachan tantra ko shant rakhta hai, sath hi dakar ki samasya ko dur karne mai bhi madad karta hai.
Upar aapne jana Home Remedies for Burping in Hindi. Bataye gaye gharelu upcharo ko apnakar aap dakar ki samasya se rahat paa sakte hai. Sath hi sath aap apni dincharya mai vyayam bhi shamil kare. Physical activity kam hone ke karan bhi pet mai gas jyada banti hai aur dakar aane ki samasya aati hai. Iske alawa bhojan ko chaba chaba kar khana chahiye.