Dark Lips Treatment – Hontho Ka Kalapan Dur Kare

Hamne kai bar hasne ke faydo ke bare mai padha hai suna hai. Kisi bhi vyakti ko smile dene par aapki dosti ki shuruwat ho sakti hai. Yaha tak ki interview mai smile ke sath bola gaya ek thanks, aapko interview mai sabse alag dikha sakta hai.

Smile karna ya dekhna sabko accha lagta hai. Lekin agar yahi smile karte wakt aapke honth kale aur phate huye ho to kya yeh utni acchi lagegi? Jawab to naa hi he. Isliye ham samajh sakte hai ki hamare hontho ka rang kala na hote huye gulabi hona chahiye.

Sundar gulabi honth jaha aapki khubsurti ko badha dete hai. Wahi kale phate honth aapki sundarta ko kam karte hai. Aaj ke samay mai kale padhe huye hontho ki samasya bahut samanya ho chuki hai. Har koi mulayam aur gulabi honth pana chahta hai. Isliye aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai Dark Lips Treatment.
 

Dark Lips Treatment in Hindi: Paye Gulabo Jaise Gulabi Honth

 
Dark Lips Treatment
 
Kale hontho ke piche ka karan anuvanshik hota hai. Kuch logo ke honth hote to gulabhi hai lekin kuch karano ke chalte we kale padh jate hai. Jaise dhup ki kirno se honth kale padhte hai, smoking karne se, bahut jyada caffeine lene se yaha tak ki hormones ke asantulit hone ke karan bhi honth kale padh jate hai. Aaiye jante hai Lip Lightening ke kya tarike hai:-
 

Nimbu Ka Ras

  • Nimbu mai bleaching property hoti hai. Isliye iski madad se aap kale hontho ki samasya se bhi chutkara paa sakte hai.
  • Nimbu aapki purani kali padhi twacha ko exfoliate karega aur iss par nayi twacha aa jayegi.
  • Prayog ke liye nimbu ke ras ko nikale aur apne hontho par male. Roj raat ko sone jane se pehle iss upchar ko kare.

 

Rose Water

  • Kya aap gulabo ki tarah gulabi honth pana chahte hai? Yadi aapka jawab haa hai to yeh wala gharelu upay aapke liye faydemand hai.
  • Ek chammach le aur usme thoda sa rose water aur thoda sa shahad mila le. Ek chutki bhar haldi bhi daal sakte hai.
  • Ab iss paste ko halke hatho se roj apne hontho par male. Iss prayog ko aapko raat ke samay karna hai.
  • Yadi aap doguna fayda chahte hai to rose water ki jagah asli gulab ke phul ki pattiyo crush karke lagaye.

 

Chukundar

  • Chukundar mai moujud purple color mai aese tatva moujud hote hai jinse hontho ka rang halka hota hai.
  • Hontho ki rangat halki karne aur unhe mulayam banane ke liye roj chukundar ka ras din mai do bar lagaye.

 

Hafte mai Ek Din Scrub

  • Hafte mai kam se kam ek din hontho ko exfoliate karne ke liye scrub jarur karna chahiye.
  • Scrubbing karne se dead cells aur dry skin hat jati hai. Isse rakt sanchar bhi badhta hai.
  • Iske liye jaitun ke tel ki kuch bunde aur ek chammach shakkar dale. Isse apne hontho ko exfoliate kare.
  • Ise karne ke bad apne hontho ko heel karne ke accha sa lip moisturizer lagaye.

 

Coffee Kam Piya Kare

  • Bahut jyada coffee ya chai pine se bhi honth kale padhte hai. Sath hi sath yeh aapke danto ko bhi peela banati hai.
  • Yadi aap chahte hai ki aapke honth kale nahi padhe to inha peena kam kar de.
  • Aur yadi aapka kaam aesa hai ki aapko chai ki bahut jyada jarurat padhti hai to aap green tea jaisa koi option chune.
  • Lip Care for Dark Lips chahte hai to care ke sath sath cure karna bhi jaruri hai.

 

Lipstick Ka Istemal Kam Kare

  • Bahut jyada lipstick ke istemal se aur lips ke anya products ke istemal se bhi honth kale padhte hai.
  • Yadi aapke istemal kiye gaye products ki quality kharab hai to fir to bahut hi jald aapke honth kale padh jayenge.
  • Isliye hamesha acchi company ke hi products kharide. Sath hi sath lipstick tabhi lagaye, jab aapko iski bahut jyada jarurat ho.
  • Lipstick kharidne se pehle expiry date jarur check karle aur sone se pehle acche lipstick remover ki madad se lipstick hata le.
  • Sath hi sath rukhe aur phate hontho ke liye gharelu upchar bhi try kare.

 

Hontho Ki Chamdi Ko Ukhade Nahi

  • Dermatologists kehte hai ki hontho par bar bar jeebh ki madad se chatna nahi chahiye.
  • Bahut se log honth phatne par use jeebh se chatne lagte hai ya to danto ki madad se uski chamdi ukhadne lagte hai.
  • Aesa karne se honth aur jyada rukhe hote hai, sath hi sath damage bhi hote hai.

 
Upar aapne jana Dark Lips Treatment in Hindi. Upar bataye gaye binduo par gaur kariye. Isse aap kai had tak phate huye hontho ki samasya se chutkara pa sakte hai. Sath hi yadi aapke honth anuvanshikta ke chalte kale hai aur gharelu upchar se bhi thik nahi ho pa rahe hai. To aese mai koi products bhi aapki madad nahi kar sakta. Aapko lip surgery jaisi chizo ka sahara lena padhega.

Loading...

You may also like...