Datura in Hindi – Jahrila Magar Aushdhiya Guno se Paripurn

Ayurved mai anek aushdhiya guno se yukt vanaspaniyo ka varnan hai. Aaj hum aapko aisi hi vanaspati ki jankari denge jiska naam hai Datura in Hindi. Yeh pure bharat mai badi hi aasani se mil jata hai. Aamtor par yeh kheto ke kinare, jangalo mai that shaharo mai idhar-udhar uga hua dikh jata hai.

Waise to bhagwan ko sabhi vanaspati pasand hoti hai, lekin dhatura bhagwan shiv ko bahut adhik priya hai. Sawan ke mahine mai shiv ko chadne wala datura dhire-dhire humse dur hone laga hai. Janha pahle yeh bahut aasani mil jata tha, magar aaj dhundne par bhi nahi milta.

Datura safed, kala, pila, nila tatha lal phulo wala 5 jatiyo ka milta hai. Iska tana aur shakhaye bengani ya halke kale rang ki hoti hai. Iska podha 170 cm ucha tatha jhadidar hota hai. Iske phal hare, kantedar aur gol-gol niche ki or latke hote hai. Iske phal pakne ke baad apne aap aniymit roop se fat jate hai. Jinme se anek beej nikalkar idhur-udhar bikhar jate hai.

Datura in Hindi: Jane Iske Labh aur Aushdhiya Gun

 

Datura in Hindi

 

Datura Stramonium: Datura Ek Prakar Ka Nasha

Dature ko alag alag bhashao mai alag-alag namo se jana jata hai. Aaiye jante hai iske vibhinn naam-

  • Hindi – Datura
  • Sanskrit – Dattur, Kanak
  • Marathi – Dhotra
  • Bangali – Datura
  • Gujrati – Dhanture
  • Telegu – Ummtatt
  • Tamil – Ummtatt
  • Farsi – Tatur
  • Arbi – Datur
  • English – Thoran Apple

Datura Plant par kai muhavare bhi bane hai, jinme se ek to aap sabhi jante honge. “Kanak-Kanak Te Sau Guni Madakta Adhikay, Va Khaye Boray Jaye, Va Paye Boray”

Sona aur datura dono ko hi kanak kaha jata hai. Iss muhavre ka arth hai adhik sona mil jane par ya atyadhik datura kha lene par vyakti vikshipt ya besudh ho jata hai. Datura ek tarah ka nashila padarth hota hai, jiske sevan se vyakti ko apni sudh nahi rahti hai.

Dature ke patte aur beej bhi adhik vishele hote hai. Iski nirdharit matra se adhik sevan karne se muh, gale aur amashay mai tej jalan aur sujan hoti hai. Twacha sukh jati hai. Aankhe tatha chehra lal ho jata hai. Sharir ka tapman bad jata hai. Chakkar aane lagte hai. Vyakti ko bahut pyas lagti hai. Kisi vastu ko ekaek dekhne par ek se adhik dikhai dene lagti hai. Nadi kamjor hokar aniyamit chalti hai. Yaha tak ki swas avrodh ya hridayghat ki wajah se mrityu bhi ho jati hai.

 

You May Also Like:- Cumin Health Benefits in Hindi: Sehat Ke Liye Jeera Ke Fayde

 

Datura in Hindi: Iske Aushdhiya Gun

Datura Flower, pattiya, sabhi aushdhiya guno se paripurn hota hai. Ab hum aapko dature ke aushdhiya guno ke bare mai batayenge, aap bhi jane yeh kis tarah se humare kaam aata hai-

  1. Aadha liter sarso ka tel, 250gm dature ke patto ka ras aur isti hi matra mai pattiyo ka kalk banakar dhimi aanch mai paka le. Jab keval usme tel bach jaye usse shishi mai ektra karke rakh le. Yeh sar mai juye hone par istemal ksre.
  2. Dature ke patto ka ras, afim aur sonth milakar piskar rakh le. Ise sujan wale sthan par lagaye. Isse waat ke karan hone wali sujan aur dard mai bhi aaram milta hai.
  3. Dature ko akarkara ke sath long milakar choti-choti goli bana le. Iske istemal se sex power ko badaya ja sakta hai.
  4. Datura, kapur, shahad aur pare ko barabar matra mai milar, isse barik piskar lep bana le. Iss lep ko ling ke aage ke bhag ko chodkar baki sthan par lagane se sambhog shakti badti hai.
  5. Dature ke patte ko halka garam kar sujan wale sthan par lagane se labh milta hai.
  6. Dhature ke beejo ke tel ki malish pero ke talwo par karne par yeh uttejak prabhav darshata hai.
  7. Sarso ka tel 250ml, 60mg gandhak aur 500gm dature ke patto ka ras, in sabko ek sath halki aanch par pakaye. Jab tel bach jaye to usse rakh le. Kaan mai dard hone par is tel ko 2 bund kano mai dale, bahut jaldi labh milega.
  8. Dature ke phalo ka churn 2.5 gm aur isme aadha chammach gaay ka ghee aur shahad milakar rojana chatne se striyo ko jaldi garbhdharan mai madad milti hai.

Aushdhiya guno ki khan mane jane wale dature ki jad, phal, phul, patta sabhi aushdhiya yukt hai. Ayusvedacharya shri Shyamdhar sharan vadya kahte hai ki bukhar, saitika, jathiya aadi tamam rojo mai Datura in Hindi ka shodhan kar banai gayi dawa rogo se mukti dilate hai.

Loading...

You may also like...