Janiye Deep Vein Thrombosis (DVT) ki Samasya Hone Par Kya Kare?

DVT yani Deep Vein Thrombosis ki samasya hone par dil ko rakt wapis lane wali gehri nadiyo mai rukawat ho jati hai. DVT darasal tab hota hai jab ek gehri shira mai khoon ka thakka jam jata hai aur samanya rakt pravah mai rukawat paida karta hai.

Aasan bhasha mai samjha jaye to dil ko wapas rakt 2 tarah ki nadiya le jati hai. Ek to wo jo chamdi ki uppari satah par hoti hai aur kabhi-kabhi dikhai bhi deti hai aur dusri wah jo gehri hoti hai aur uppar se dikhai nahi deti hai. Dil ko rakt wapas le jane wali inn gehri nadiyo mai (visheshtour par pairo ki nadiyo mai) hone wali kisi rukawat ko hi chikitsakiya bhasha mai deep vein thrombosis kaha jata hai.

You may also like:- Gharelu Nuskhe: Spider Aur Varicose Veins ka Upchar

Iss Bimari Se Judi Ek Khaas Khabar:-

Haal ki mai hasmukh swabhav aur fitness ko tawajjo dene wale famous cricketer aur sansad Navjot Singh Sidhu, DVT ki chapet mai aa gaye hai. Khel ke maidan se commentry, loksabha, bigg boss ke ghar aur phir kapil sharma ke show ‘Comedy Nights with Kapil’ mai apni shayri aur chutkulo se sabhi ko hasane wale sidhu ko Navjot Singh Sidhu, Deep Vein Thrombosis (DVT) namak bimari ho gayi hai. Yeh bimari kuch gambhir mamlo mai jaanleva bhi ho sakti hai. Wah tanav aur avsad se bahut dur hai lekin pata nahi yeh bimari unko kese ho gayi hai aur wo niyamit yoga aur exercise bhi karte hai.

Aankdo par gour kiya jaye to DVT se hone wali salana mout ki sankhya chhati ke cancer, sadak durghatnao aur aids se hone wali mout se adhik hai. To aaiye jante hai kyu hoti hai yeh bimari, iske lakshan aur iske upchar ke bare mai puri jankari.

DVT (Deep Vein Thrombosis) Kyu Hoti Hai?

Tango ke bhitar moujud yeh nadiya (Deep Vein) wapas gande rakt ko dil mai bhejne ka kaam karti hai. Iss kaam ke liye inme jagah-jagah valve hote hai, taki yeh rakt aage jaye aur wapas na aa paye. Iss liye tang ki pindliyo mai lagatar harkat hona aur unka swasth hona jaruri hota hai. Agar kisi karanvash tango ki harkat kam ho jaye aur yeh vein active na ho to rakt ki dil ko wapas bhadit ho jati hai aur rakt tango mai hi ikktha hone lagta hai.

Ek baar jab rakt naadi ki diwaar par jam jata hai to uske charo aur bhi rakt jamne ki ashanka badh jati hai. Kai baar rakt ke iss thakke (Clot) ka ek hissa tut kar rakt beh kar faifde, dil ya gurde mai jakar rukawat paida kar sakte hai.

DVT (Deep Vein Thrombosis) ke Lakshan

Agar lagatar kuch ghanto ke liye tango/pindliyo mai harkat na ho aur inme khoon ka dora kam ho jaye to iss samasya ki shuruaat ho sakti hai. Halaki kai baar turant to iss samasya ka koi lakshan nahi dikhai deta lekin gambhir hone par iske lakshano mai tang mai dard rehna (ruk-ruk kar aur tez ya dhima), tang ka garm rehna, tang mai chitiya jesi chalna tatha tang ke rang mai badlav aadi shamil ho sakte hai.

DVT (Deep Vein Thrombosis) Ke Karan

Kai baar mahilayo ka shishu ko janm dene ke baad chalna phirna behad kam ho jata hai. Wahi iss douran sharir mai khoon jamne ki prakriya swabhavik roop se tez bhi hoti hai. Isliye shishu ko janm dene ke baad iss bimari ka khatra kafi badh jata hai.

Iske alawa iske swabhavik karano mai budhapa, motapa, dhumrapaan ki lat, vericose veins, lambe samay tak baithe ya lete rehne par (haddi jodne ke liye plaster lagne ke karan, koi operation hone ke karan, lambe safar mai, ityadi) tatha hormonal asantulan ke karan (kuch mamlo mai) bhi DVT ki samasya ho sakti hai.

DVT (Deep Vein Thrombosis) Se Bachav

Iss samasya se bachne ke liye ghanto tak bina hile ek hi jagah baithe rehne se bache. Agar sitting jab hai to bich-bich mai uthkar kuch minutes ke liye chahal kadmi kare, tango ko bahut der tak ek dusre ke upar chada kar na baithe, kabhi-kabhi tango ki malish bhi kiya kare, mahilaye shishu ke janm ke baad thodi der ke liye roz chala kadmi shuru kare.

Iske alawa swasth jivanshaily apnaye aur apne vajan ko niyantran mai rakhe. Iske liye niyamit exercise kare aur poshtik aur taaza bhojan kare. Ek khaas baat ka khayal rakhe ki aap pani paryapt matra mai piye.

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

This website uses cookies.