Dental Care Tips in Hindi – Swasth Danto Ke Liye Salah

Har vyakti chahta hai ki uski hasi bahut sundar ho aur uske liye danto ka saaf hona bahut jaruri hai. Yadi aapke danto khrab dikhenge to aapki smile kharab hone ke sath muh mai kai sari samasya aa sakti hai.

Jaise musudo ki samasya, danto mai sankraman, yaha tak ki isse aapko hriday se judi samasya bhi ho sakti hai.

Rojana danto ki safai karna tatha inka cheakup karvane se aap denal sambandhit bimariyo se bach sakte hai. Aur kai sare aese acche karan bhi hai, jiski wajah se aapko danto ki dekhbhal karna chahiye taki aapki hasi hamesha chamakti rahe.

Aapki smile ko khubsurat banane ke liye danto ka safed aur swasth hona bahut jaruri hai. Par hamari kuch galat aadate hamare danto ko pila bana deti hai. Inka danto ke enamel par bahut bura asar padta hai. Aaj hum aapko aese tarike bata rahe hai jinse aap danto ki dekhbhal kar sake to aaiye jane Dental Care Tips in Hindi.
 

Dental Care Tips in Hindi – Jane Danto Ki Dekhbhal Ke Tarike

 
Dental Care Tips in Hindi
 

Jane Danto Par Kaise Brush Kare

Brush to hum sabhi niyamit rup se istemal karte hai lekin kya aap jis tarah se brush kar rahe hai wo tarika sahi hai? Teeth Care ke liye aaiye jane iska sahi tarika-

  • Acche toothpaste ka istemal kare jisse muh ki acche se safai ho sake.
  • Brush ko har 3 se 4 mahine mai badal de kyonki iske bad danto ki acche se safai nahi kar pata hai.
  • Danto ki nok yani upari stah par brush karne ke liye brush ko sidha pakde aura aage piche ki taraf ghumaye.
  • Jibh ko piche se samne ki taraf se saaf kare kyonki jibh mai kai kitanu hote hai jo muh mai sadan paida karte hai.
  • Jab bhi aap danto mai brush kare 45 degree ke kon par kare aur brush ko masudo se shuru karte huye danto tak le jaye.

 

Danto Ki Safedi Ke Liye

  • Strawberry ko leke aapke danto par ragade isse aapke danto ka pilapan dur ho jayega.
  • Danto se pilapan dur bhagane ke liye baking soda ko pani mai dalkar ubal le.Tatha iss pani se muh mai gargle kare.
  • Danto se pilapan hatane ke liye charcoal yukt toothpaste ka istemal kar sakte hai, isse aapke dant se kuch samay bad pilapan hat jayega.
  • Aapke danto par seb ke sirke se brush kare, yeh danto ko swasth banate hai. Iske alawa bacteria aur enamel jo danto ko sadate hai unhe bhi nasht kar deta hai.

 

Swasth Aahar Ka Sevan Kare

  • Swasth aahar mai gehu, nuts, phal aur sabjiyo ko apne aahar mai shamil kare.
  • Har umra ke liye acche aahar ka khana khana bahut jaruri hai, kyonki accha aahar danto aur masudo ko swasth banaye rakhta hai.
  • Fish mai omega 3 fatty acid hota hai jo masude mai hone wali bimariyo ko dur karne ka kaam karta hai.

 

Danto Ko Majboot Banane Ke Liye Calcium

  • Calcium aur Vitamin D danto tatha masude ko swasth banane ke liye acche hote hai.
  • Dudh, dahi, cheese aadi dairy utapdao ka sevan kare iske alawa aap calcium supplements ko bhi le sakte hai.
  • Dant calcium se bane hote hai tatha calcium aur vitamin ka sevan karna aapke liye bahut faydemand hota hai.

 

Mouthwash Ka Istemal Kare

  • Mouthwash aapke danto ko majboot banaye rakhne mai sahayak hota hai.
  • Yeh brush ki tarah kaam nahi karta parantu aapke muh ki safai bahut acche se kar deta hai.
  • Mouthwash aapko aasani se bajar mai mil jate hai tatha inme Listerine aur chlorine hota hai jo muh ke andar mojud bacteria ko marne mai saksham hota hai.

 

Danto Ki Samay Samay Par Janch Karwaye

  • Yadi aapko danto se sambandhit koi pareshani jaise ki Teeth Pain aadi ho rahi he to turant dentist se janch karvaye.
  • Danto ki pareshani se bachne ke liye dentist se har 2 saal mai ek bar janch jarur karvana chahiye.
  • Yadi aap dhumrapan ya madhumeh ke shikar hai to thode thode samay mai janch karvate rehna chahiye.

 

Saanso Ki Badbu Dur Karne Ke Liye

  • Pani adhik matara mai pine se saanso ki badbu dur ho jayegi.
  • Saanso ki badbu dur karne ke liye neem ki tehni ko kafi der tak chabaye.
  • Neem mai astringent aur antiseptic gun hote hai jisse danto mai safedi aati hai.

 
Upar aapne jana Dental Care Tips in Hindi. Uprokt di gai jankari se aap aapke danto ki aache se dekhbhal kar sakenge. Dant swasth aur chamkdar hone par aapki hasi sabse khusurat dikhegi aur aapko aur khubsurat banayegi.

Loading...

You may also like...