Dhanurasana in Hindi: Pet Ke Rogo Ko Dur Karne mai Sahayak

Aajkal ki vyast jivansheli mai sabhi ke paas samay ka abhav hai. Kaam kaaj mai vyast logo ke paas apna khayal rakhne ka bilkul bhi samay nahi hota hai. Jiske chalte sharir kamjor hota chala jata hai. Yadi swasthya ka khayal nahi rakha jaye to kai sari bimariya sharir ko gher leti hai.

Acche khanpan aur vyayam ke jariye aap sharir ko swasth rakh sakte hai. lekin har kisi ke paas vyayam ke liye samay nahi hota hai. Aese mai kam samay mai sharir ko fayda pahuchane wali koi chiz hai to wo hai yog.

Yog karne se sharir swasth aur majboot banata hai. Yog aapke sharir ko bimariyo se dur rakhta hai. Yog ke antargat aane wale aasano ka alag alag mahatva hai. Jaise yadi ham Sirsasana ki baat kare to yeh aasan chehre par chamak lata hai. Yadi ham tadasan ki baat kare to isse lambai badhti hai.

Har aasan aapke sharir ke liye faydemand hai. Yog ke kai aasano mai Dhanurasana bhi ek mahatvapurn aasan hai. Yeh aapke pet sambandhi samasyao ko dur karta hai. Isse pachan tantra durust hota hai. Iske anya faydo aur vidhi ko janne ke liye padhe Dhanurasana in Hindi.
 

Dhanurasana in Hindi: Jane Iss Yog Ki Vidhi aur Labh

 
Dhanurasana in Hindi
 
Dhanurasana mai aapka sharir dhanush ke aakar ka ban jata hai isliye ise dhanurasana kehte hai tatha angreji mai ise Bow Pose kaha jata hai. Iss aasan ko kram anusar kiya jata hai. Jaise pehle bhujangasana fir salabhasana, aur fir dhanurasana. Iss asana ko kram  mai karne par aapki ridh ki haddiya majboot hoti hai.
 

Ardh Dhanurasana

Dhanurasan mai sharir ki aakrati samanya tour par khiche huye dhanus ke saman ho jati hai isliye ise ardh dhanurasan kehte hai. Ise dhanurasana bhi kaha jata hai.
 

Purn Dhanurasana

Isme sharir ki aakrati puri tarah khiche huye dhanush ke saman ho jati hai. Isliye isko purn dhanurasana kehte hai. Vaise to ardh aur purn dhanurasana mai koi khas fark nahi hota hai. Purn dhanurasana ko bhi dhanurasana hi kaha jata hai. lekin jab lagatar prayas kiya jata hai. Tab yeh aasan siddha ho jata hai aur purn dhanurasana ki aakrati ke saman lagta hai. Arthat pure khiche huye baan ki tarah.
 

You May Also Like:- Kapalbhati Benefits: Weight Loss Karne Mai Sahayak

 

Jane Dhanurasana Steps in Hindi: Iski Vidhi

Aaiye jante hai iss yog ko karne ki sampurn prakriya:-

  • Sabse pehle samtal jameen par ek dari ya lamba aasan bichha le.
  • Iske bad us par pet ke bal let jaye.
  • Tatpaschat pairo ko ghutno ki aur se modkar aediyo ko kulho ke upar le aaye.
  • Ab dono pairo ke talvo ko hatheliyo ki madad se pakde.
  • Ab hatho ko sidha rakhte huye pairo ko piche ki aur khichna hai aur kulho ko upar uthana hai. Iss prakriya ko karte samay shwas ko andar lena hai.
  • Shwas ko andar lete huye jangho ko uthaye aur sar ko jameen se samne ki aur se upar utaye. Jangho ko apni shamtanusaar utha sakte hai. Sine ko bhi upar ki aur uthana hai.
  • Prayas kare ki dono guthne ek sath rahe.
  • Iss kriya ko aapki kshamta anusaar 10 se 20 second tak kare aur shwas ko andar bahar lena shuru kar de.
  • Yadi aap shuru mai jhangho ko nahi utha pa rahe hai to sirf sar ko bhi utha sakte hai. Isiliye isse saral dhanurasana kaha jata hai.
  • Aakhri mai shwas ko choudte huye pairo aur sine ko dheere dheere jameen par rakh de.

 

Dhanurasana Benefits in Hindi: Janiye Iske Labh

Aajkal kai log motape se pareshan hai. Asantulit khan pan aur sharirik karya ke abhav ke chalte sharir par charbi jama hone lagti hai. Jyadatar charbi pet aur jangho par jama hoti hai. Ise kam karne ke liye log kai sare jatan bhi karte lekin pet par jami charbi itni aasani se nahi jati hai.

Iske liye kuch log gym mai pasina bahate hai aur dieting karne lagte hai. lekin jaise hi wo yeh sab chhodte hai unke sharir par charbi wapis jamne lagti hai. Aese mai dhanurasana aapke liye bahut accha vikalp hai. Isse na sirf aapke pet ki charbi kam hogi balki ridh ki haddiya bhi majboot banati hai. Isse gale ke tammam rog nasht ho jate hai.
 
Dhanurasana Benefits in Hindi
 
Dinbhar kam karne ki wajah se hamare sharir ka stamina kam ho jata hai lekin iss asana ko rojana karne se stamina badta hai. Yeh aasan mahila aur purusho dono ke liye bahut faydemand hai. Dhanurasana ko rojana karne se hone wale labho ko jante hai . Aaiye jane aur bhi kai Dhanurasana Yoga Benefits.
 

  1. Iss aasan ko rojana karne se sharirik kamjori aur gathiya se nijat milta hai.
  2. Isse pachan pranali majbut hoti hai. Kabj ki samsya se nijat milta hai.
  3. Jodo ke dard mai bhi yeh bahut faydemand hai  aur jodo ko majboot karta hai.
  4. Malbandhta, kabj aur pachan se jude vikar ko dur karne mai yeh sahayak hota hai.
  5. Dhanurasana ko rojana abhyas hati hui nabhi ko samanya stthi mai le aata hai.
  6. Isse pet ke vikar dur hote hai aur phephde tatha pasliyo ka bhi vyayam hota hai.
  7. Iss asana ko karne se ridh ki haddiya lachili banti hai. Pair aur kandho ke snyau majboot hote hai.
  8. Madhumeh ke rogiyo ko dhanurasan ka rojana abhyas karna bahut faydemand hota hai.
  9. Yeh asana pet ki charbi ko kam karne ke liye bahut faydemand hai  aur isse aapke sharir mai lachila pan bhi aata hai.
  10. Mahilao mai iss aasan ko karne se masik dharm sambandhi vikar dur hote hai. Aur periods mai pet bhi dard nahi hota hai.

 

You May Also Like:- Pranayam in Hindi: Tanav, Chinta Dur Karne mai Sahayak

 

Dhanurasana Karte Wakt Barte Jani Wali Savdhaniya

Dhanurasan karte samay kuch baato ka dhyaan rakhna bhi bahut jarurui hai. Jisse aapko iss aasan ko karte samay uska fayda mile aur samasya nahi aaye.

  1. Iss asan ko khali pet kare aur ho sake to subah ka samay hi chune.
  2. Garbhavati mahila ko iss aasan ko nahi karna chahiye.
  3. Jis vyakati ko kamar dard aur ridh ki haddi mai dard ho use iss asan ka abhyas nahi karna chahiye.
  4. Yadi aapko ucch raktchaap, alsar, ya harniya ki samasya hai to bhi dhanurasana ko mat kijiye.
  5. Sar dard, migraine, aur aant ki bimari se pidit vyakti ko yah asana nahi karna chahiye.
  6. Dhanurasana, yeh chakrasan se ulta hone ke karan isse urdva chakrasana bhi kaha jata hai. Yadi aapko iss asan ko karte samay pareshani ho to visheshgya ya yog guru ki madad leni chahiye. Yog ko karte samay aapki shamata se adhik manspeshiyo mai khichav na de.

 

Dhanurasana Preparatory Poses: Iss Aasan Ke Pehle Wali Yog Mudraye

  • Bhujangasana
  • Salabhasana
  • Supta Virasana
  • Virasana
  • Urdhvamukhasvanasana
  • Setu Bandha Sarvangasana

 

Follow-up poses: Dhanurasana Ke Baad Kiye Jane Wale Aasan

  • Chakrasana
  • Ustrasana
  •  Matsyasana
  • Urdhvamukhasvanasana
  • Setu Bandha Sarvangasana

 
Upar aapne jana Dhanurasana in Hindi. Dhanurasana aapko kai fayde dega lekin iski kriya ko sahi tarike se karna avshayak hai. Isliye iss aasan ko ya koi bhi anya aasan ko hamesha yog shikshak ke dekhrekh mai hi karna chahiye. Yadi aasan ko karte samay aapko kisi tarah ki pareshani ya dard ho to ise karna turant chhod de.

Loading...

You may also like...