Diabetes Diet in Hindi, Madhumeh Rogiyo ke Liye Aahar

Madhumeh ke rogiyo ka bhojan keval pet bharne ke liye nahi hota hai, uske sharir mai blood sugar ki matra ko santulit rakhne mai bhi sahyak hota hai. Isliye unhe sahi aahar lena bahut jaruri hota hai. Lekin dekha gaya hai iss baare mai logo ko sahi jankari nahi hoti hai.

Isliye aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Diabetes Diet in Hindi. Jisse madhumeh ke rogi inn khadya padarth ka sevan karke hamesha ke liye swasth rah sakte hai. Saath hi iss bimari se aasani se ladh bhi sakte hai.

Vese yeh rog manushaye ke saath jivan bhar rahta hai, isliye jaruri hai ki, vah apne khanpan par hamesha dhyan de. Aamtor par marij blood sugar ki normal report aate hi laprvahi karne lagte hai. Diabetic patient ke muh mai gaya ek bhi nivala uske swasth ko prabhavit karta hai. Isliye jab bhi khaye soch samjh kar khaye.

Agar aap  pre diabetic ya aapke ghar mai kisi ko diabeties ki bimari hai. To savdhan  ho jaye aur sahi aahar lijiye. Agar aapki diabetes control mai hai to bhi aapko santulit aahar lena chahiye carbohydrate, fats, protein ka resho 20:202:20 ke anupaat mai hona chahiye.

Bhartiya mai madhummeh ke rogiyo ke aahar mai carbohydrate, protein aur vasa shamil hona chahiye. Jisse ek santulit aur poshtik aahar ka sevan karke rogi ka swasth bhi accha rahega.

Diabetologist aur poshan visheshgaye ke hisab se hum aapko batate hai, madhumeh ke rogiyo ke liye 15 aahar jo aapko ek acchi sehat denge.
 

Diabetes Diet ke Dwara Madhumeh Rogi Rah Sakte Hai Swasth

 
Diabetes Diet
 
Methi Dana: Diabetes Diet in Hindi mau methi dana ka naam sabse pahle aata hai. Ek chammach methi ko puri raat 100 milliliter pani mai bhigo lliiye aur fir subah khali pet iss pani ko pijiye. Isse aapki diabetic hamesha control mai rahegi. Saath aapki pet se sambhandhit samasya bhi khatam ho jayegi. Vese hum bol sakte hai ki, meth dana ek accha Home Remedies for Diabetes hai
 
Tamatar ka Ras: Har subah pet tamoto ke ras mai namak aur kali mirch milakar pijiye. Iske rozana sevan se aapki sehat hamesah ke liye acchi bani rahegi. Saathi aapki diabetes bhi control mai rahegi.
 
You may also like:- Benefits of Tomatoes: Tamatar Se Paiye Swasth Rahne Ka Raaj
 
Bhigoi Hui Badam: Roz subah 6 badam ko raat bhar pani mai bhigo kar rakh dijiye, fir  subah iska sevan  kijiye. Isse aapke sharir mai rogo se ladhne ki kshamta bhi badegi. Saath hi aapki skin bhi bahut sundar dikhai degi.
 
Bhojan ki Suchi: Sabhut anaj, chana aata, bajra aur anye ucch fiber yukt khadya padarth bhojan  mai shamil kijiye. Iske saath hi khane mai hamesha  hari pattedar sabjiyo ya ankurit  aanaj ka ko khaiye.
 
Dudh: Dudh mai carbohydrate aur protein acchi matar mai hota hai. Aur yeh blood sugar ko bhi control karta hai. Iss liye roz 2 gilaas dudh jarur pijiye. Isse aapko bahur sare swasth laabh milenge.
 
Uccha Fiber Wali Sabjiya: Ucch fiber sabjiya jese matar, broccoli, palak aur pattedar sabjiya apne aahar mai shamil kijiye. Isi tarah daal aur sprouted bhi ek  healthy food hai. Jisse aapka vajan bhi control mai rahat hai aur sugar level bhi.
 
Daal: Daal aapke aahar ke liye bahut jaruri hai, kyoki yeh blood gulocose level par kaam asar dalti hai. Anye carbohydrate yukt khadya padarth ki tuna mai. Isse prakaar blood sugar level ko kam rakhne mai fiber bahut madadgar hota hai. Fiber yukt sabjiyo ko apne bhojan mai shamil kijiye aur swasth rahiye.
 
You may also like:- Urad Dal Benefits: Sehat ke Liye Faydemand Black Gram
 

Diabetes Diet mai Chupa hai Madhumeh Rogiyo ke Swasth Sehat ka Raaz

Diabetes Diet in hindi
 
Fiber Wale Phal: Papita, seb, santra, nashpati aur amrud jese phalo ka sevan karna chahiye. Kyoki inme  aachi matra mai fiber paya jata hai aur aam , kele aur angur jese phalo ka kam sevan karan chahiye kyoki inme chini ki matra jyada pai jati hai.
 
Chote Chote Antral mai Bhojan Kare: Sugar level ko control mai rakhne ke liye chhote-chhote antral mai bhojan kare, jisse aapke blood pressure  ka level bhi niyantrit rahta hai.  Saath hi aapka suagr leval bhi control mai rahta hai. Iske liye pure din thoda thoda aahar lete hai jisme jese dhokla, phal, high fiber cookies, makkhan , dahi, upma poha aadi aadi aate hai.
 
Meethas se Bache: Madhumeh ke rogiyo ko low carbohydrate , high fiber, vitamin aur minerals ho aisa aahar khana chahiye aur vasayukt khadya padarth aur mithai se bachna chahiye. Iske saath hi unhe din mai 5 baar thoda thoda bhojan karna chahiye. Artificial sweet madhumeh ke rogiyo ke liye cake aur mithai mai istemaal kiya ja sakta hai.
 
Khub Pani Piye: Pani ki sahi matra ka lena bahut jaruri hota hai. kyoki agar aap ek sahi matra me pani nahi piyenge to aapko aur bahut si takleef o sakti hai. Isliye dhyan rahe ki aap pani bharpur matra mai pinye.
 
Omega 3: Omega 3 aur monosacureted jese fats ka sevan kiya jana chiye kyoki yeh swasth  ke liye accha hota hai. Inn ke liye prakritik sources ka tel jese hemp seed oil, vasayukt machhli aur badam ke tel ka prayog  karna chahiye. Inn telo mai kam cholesterol hota hai aur  trans fats bhi nahi hota hai. To hum bol saket hai ki, yeh ek accha Diabetes Diet in Hindi mai se ek hai.
 
You may also like:- Foods Rich in Omega 3 mai Chupe Hai Swasthvardhak Laabh
 
Sharab ka Sevan Na Kare: Sharab madhumeh ke rogiyo ke liye bahut khatrnak hoti hai. Isliye dhyan rahe ki agar aap bhi diabetic ke marij hai to kabhi kabhi sharab na piye.
 
Non-Veg: Mansahari aahar mai sea food aur chicken khana chaiye lekin dhyan rahe ki red meat se hamesah bachna chahiye. Iske alawa, high cholesterol ke rogiyo ko egg yolk ko kabhi nahi khana chahiye
 
Lahsun Ki Kaliya: Lahsun mai kai antioxidant tatva hone ke sath aushdhiya gun bhi hote hai. Jab aap iska sevan karte hai to yeh aapke rakt mai sharkara ka star kam karti hai. Jab aap mutra tyagte hai to uske sath bahut adhik matra mai potassium bhi bahar nikalta hai. Isliye lahsun iski kami ki purti kar deta hai kyonki lahsun mai acchi matra mai potassium paya jata hai. Iske alawa isme zinc aur sulphur hote hai jo insulin ke tatva hote hai.
 
Dalchini Ka Sevan Kare: Dalchini ka pani pine se yeh glucose ke chapachay ko bada dete hai aur cholesterol ko kam karne mai sahayak hote hai. Dalchini ko pani mai dale aur use kuch der ke liye ubal le jab pani ubal jaye to gas band kar de. Ab iss pani ko thanda hone de fir iss pani ka sevan kare.
 
Jamun ko Khaye: Jamun madhumeh ki bimari ko niyantrit karne mai sahayak hota hai.  Isme  glycoside hota hai jo sharkara ko starch mai parivartit kar deta hai.
 
Yeh Bhi Janiye: Madhumeh Ke Marij Din mai Kya Kitne Bar Khaye


Aahar Din mai Kitne Bar
Anaj, Phali, starchy veg 3 bar
Sabjiya 3 bar
Phal 2-3 bar
Dairy products 2 bar
Protein 2-3 bar

 
Upar aapne jane Diabetes Diet in Hindi. To bas agar aap bhi madhumeh se pareshan hai, to aaj se hi upar bataye gaye khadya padarth ka sevan kijiye aur  hamesah swsath rahiye.

Loading...

You may also like...