Diwali Dressing Tips in Hindi – Tyoharo Ke Liye Khas Paridhan

To aakhirkar wo tyohar aa hi gaya, jiska ham sabhi ko intejar rehta hai. Diwali par diye, lighting inn sabhi se ham apne ghar ko to saja kar roshan karte hi hai. Sath hi khud ko khubsurat dikhane mai bhi kasar nahi chhodte hai.

Iss khas din ke liye ham bahut pehle se hi taiyariya shuru kar dete hai. Kuch log to ek mahine pehle se hi shopping mai lag jate hai. Kuch logo ne to apni diwali ki shopping kar li hai. Lekin yadi aap abhi bhi confuse hai ki iss diwali par aap kya pehne ya kya kharide?

To chinta mat kariye ham aapke liye laye hai Diwali Dressing Tips in Hindi. Vaise to inn dino mai traditional kapde jyada pasand kiye jate hai kintu aap chahe to modern kapdo ko bhi paramparik look de sakti hai. Aaiye jante hai kuch outfits ke bare mai jinhe aap diwali ke khas avsar par pehankar khubsurat lag sakti hai.
 

Diwali Dressing Tips in Hindi – Tyoharo Par Try Kare

 

 
Safety Tip:- Diwali ke kapde kis tarah ke kharide jaye, isme to ham aapki madad kar rahe hai. lekin jab aap aapke paridhan kharidenge to aapko kuch baato ka khayal rakhna hoga. Jaise ki aapke dress ki lambai, uska fabric aadi. Kyoki uss din ham phatake jalate hai to aese paridhan pehnne chahiye, jisme ham aasani se chal fir sake.
 

Sadi Se Paye Sadgi aur Sundarta

Indian traditional wear mai sadi ka bahut mahatva hai. Iss mai aapko jyada dimag lagane ki bhi jarurat nahi hai kyoki inn dino mai market mai bahut sundar sundar sadiya aati hai. Vaise iss khas din ke liye ham aapko laal, brown ya hari sadiya pehnne ki rai denge. Sath hi jisme gold ki border ho.

  • Gold border wali sadi yadi aap pehan rahi hai to gold facial karwa le. Isse aapki sundarta doguni dikhegi.
  • Apni sadi se match karti hui chudiyo ke dono side gold ki chudiya pehne.
  • Chandrama wali bindi aur gajra iss gateup mai bahut fabega.

 

 

Anarkali Lehenga Ya Suit

Diwali Outfits ki baat kare to dipawali ek traditional festival hai to iss din traditional pehnava hi accha lagta hai. lekin unmarried ladkiyo ko sadi pehanna jyada accha nahi lagta hai. Aese mai aap anakali pehnne ka plan kar sakti hai. Aap chahe to iss khas din heavy lehenga le sakti hai, lekin yadi safety ka gaur kare to ham aapko anarkali suit pehanne ki salah denge.

  • Aap printed ya jari work ke suit ko heavy duptte ke sath pair kar sakti hai.
  • Iss dress ko pehante wakt matching jewelry aur khule baal aapki sundarta mai char chand laga denge.

 

 

Punjabi Dress Bhi Nahi Hai Bura Idea

Yadi aap phatake jalane ke bahut hi shoukin hai aur aesa kuch dhund rahi hai jo aapko paramparik look to de hi sath hi sath pehnne mai bhi aaramdayak to Punjabi dress se behtar aapke liye kuch ho bhi nahi sakta. Yeh bahut hi aasani se pehne jane wali Traditional Dress for Diwali hai.

  • Jaruri nahi hai ki aap purane jamane ki tarah lambe lambe kurte pehne, aap short kurte pehankar beautiful aur trendy lag sakte hai.
  • Inn dino halke rango ka chunav nahi karna chahiye aur gehre rang pehnne chahiye.
  • Punjabi dress par choti jyada acchi lagti hai. Aapke baal yadi chhote hai to aap nakali choti bhi laga sakti hai.

 

 

Ladko Ke Liye Kurta Pajama

Sirf ladkiya hi nahi iss khas din par ladke bhi handsome dikhna chahte hai. Ladko ko bright color ke kurte ke sath light color ka pajama pehanna chahiye. Iske sath hi aur adhik aakarshak dikhne ke liye ladke, Makeup for Men bhi try kar sakte hai.

  • Yadi aapka rang gora hai to laal aur kale rang ka dress aap par khub fabega. Aur yadi rang sawla hai to aap brown ya neela jaise rang pehan sakte hai.
  • Iss tarah ke dress ke sath aap mojadi try kar sakte hai.

 

 
Upar aapne jana Diwali Dressing Tips in Hindi. Upar di gayi tips ki madad se aap diwali ke din jarur khas dikhenge. Iss din uthate baithte wakt diyo ka thoda dhyan rakhe. Hamare sare readers ko hamari aur se Diwali ki shubhkamnaye.

Loading...

This website uses cookies.