Diwali Recipes in Hindi – Tyoharo Ke Liye Khas Pakwan

Diwali ka tyohar bahut najdeek aa gaya hai. Ghar ki sabhi mahilaye diwali ke liye kuch khas pakwan banane mai jut gayi hai. Isliye aaj hamko diwali ke liye kuch khas mithai aur snacks bata rahe hai.

Diwali khusiyo ka tyohar hai, pure bharat mai ise bahut dhum dham ke sath manaya jata hai. Yeh hi aesa tyohar hai jab sabse jyada mithaiya banti hai. Kai bar diwali par aese funny moments bhi dekhne ko milte hai ki aapka kisi ko bhet kiya gaya mithai ka dabba aapko hi laut ke  aa jata hai.

Aesa isliye hai kyoki bahut se log iss time bahar ki banai hui mithai khana pasand nahi karte hai. Kyoki inn dino mai inti tadat mai mithaiya banti hai ki istemal kiye jana wale mava aur kai chize nakali bhi daal di jati hai jisse ki sehat par bura asar padhta hai.

Yadi aap chahte hai ki aapke diye gaye pakwan aapke dost aur pariwar wale maje se khaye aur aapka dia hua mithai ka dabba wapis naa aaye. To iss bar aap sabhi pakwan apne hatho se bana lijiye. To aaiye jante hai Diwali Recipes in Hindi.
 

Diwali Recipes in Hindi – Swadhist Pakwan Banane Ki Vidhi

 
diwali-recipes-in-hindi
 

Shakkapare Recipe in Hindi:-

Diwali ke tyohar par shakkarpare jarur banaye jate hai. Yeh bahut dino tak kharab bhi nahi hote hai. Jab bhi koi mehman aa jaye aap ise paros sakte hai. Aur baccho ko to yeh bahut hi bhate hai. Unn dino to aese bhi aap bahut vyast rehte hai to apne baccho bhukh lagne par ise de sakte hai.
 

Jaruri Samagri

  • Maida – 2 Cup
  • Ghee – ½ Cup
  • Chini – 2 Cup
  • Talne Ke Liye – Ghee

Sabse pehle to maide ko kisi bartan mai chhan le. Fir usme ghee dalkar use acchi tarah se moyan kare le. Fir pani ki madad se maide ka aata guth le. Ham puri banane ke liye jaisa aata guthate hai usse bhi sakth aata guthna hoga. Fir aate ko halke gile kapde se dhakkar 20 minute ke liye rakh dijiye.

Ab aate ki ek badi loyi bana le. Fir uss loi ko gol karke ek badi puri bel lijiye. Chaku ki madad se iss par pehle aadi line bana le aur fir khadi lines kat le. Aesa hi sare aate ke sath kare. Aap chahe to aapke pasand ka aakar bhi de sakte hai.

Ek kadhai mai ghee garam kare. Garam ghee mai thode thode karke shakkar pare daal de. 1 se 2 second gas full par rehne de, fir dhimi aanch dalkar shakkar pare to halka brown hone tak tal le. Isi tarah sare shakkar pare tal le.

Dusri kadhai mai aadha cup pani mai chini dale aur 2 taar wali chasni taiyar kar le. Ab iss taiyar chasni mai sare shakkarpare dal de. Sath mai 1 chammach maida bhi dale, taki shakkarpare ek dusre se chipke nahi. Ab shakkarpare ko thanda hone de aur bad mai airtight dibbe mai bharkar rakh de. Yeh bahut hi accha Diwali Snacks hai.
 

Chakli Recipe in Hindi:-

  • Gehu Ka Aata – Aadha Kilo
  • Ajwain – 1 Tea Spoon
  • Haldi – 1 Tea Spoon
  • Namak – Swadanusar
  • Tel – Jarurat Anusar
  • Til – 2 Tea Spoon
  • Hing – Chutki Bhar

Sabse pehle ek bartan mai genhu ka aata, laal mirch ka powder, haldi, ajwain, namak, til, hing sab kuch acchi tarah se mila le.  Aur iss mishran ko ek patla sa kapda lekar usme bandh le. Ab ek kukar le aur usme jarurat ke anusar paani dale, fir stand rakhkar us par aate wala mishran rakhkar band kar de. 15 minute tak iss mishran ko pakaye.

Jaise hi bhaap khatam ho jaye, dhakkan hata kar mishran ko nikla le. Ab mishran ko ek thali mai nikal kar usme thoda pani milakar naram aata guth le. Ab guthe huye aate mai se thoda sa aata le aur lamba aakar dete huye chakli banane wali machine mai dale aur machine ko band kar de.

Ab ek polythene bichaye, aur machine par dabav dalte huye us par gol gol chakli bana le. Ek kadai mai tel garam kare aur garam tel mai chakali ko palat palat kar tale. Polythene se chakliyo ko bahut aahista se nikale. Chakliyo ko halka bhura hone tak tale. Sari chakliya isi tarah bana le.
 

Diwali Par Banaye Jane Wali aur Bhi Kai Recipes:-

 

Gulab Jamun  Gulab Jamun Banane Ki Vidhi
Jalebi Jalebi Banane Ki Vidhi
Soan Papdi Soan Papdi Banane Ki Vidhi
Sandesh Sandesh Banane Ki Vidhi
Cake  Cake Banane Ki Vidhi

      
 
Upar aapne jana Diwali Recipes in Hindi. Aap inn mai se koi bhi pakwan bana sakti hai. Ya chahe to sare pakwan bhi bana sakti hai. To der kis baat ki jhatpat banaye, yeh pakwan.

Loading...

You may also like...