Ear Infection Symptoms in Hindi: Kaan mai Sankraman

Kaan hamare sharir ka bahut hi mahatvpurn aur sanvendansheel ang hai. Iske dwara hi hum sun sakte hai. Yadi inka khyal nahi kiya jaye to bahut saari pareshaniyo ka samna karna pad sakta hai. Isliye iski acche se saaf safai baratni chahiye.  Kaano mai mail jamne ke karan kai sare rog tatha sankraman hone lagta hai.

Kaano mai sankaraman hone ka bahut bada karan bacteria aur virus hote hai. Kaano mai hone wale sankraman sardiyo mai bahut adhik dekhne ko milte hai. Bahut saare log sardiyo mai kaan ke sankraman se pidit ho jate hai, khaskar bacche. Yadi iska iaaj turant na kiya gaya to aap behre bhi sakte hai.

Yeh rog kisi bhi umra ke vyakti ko ho sakta hai. Sankraman hone ke karan kaano mai sujan ya fir githan ho jati hai. Bado ki tulna mai yeh pareshani baccho mai jyada dekhne ko milti hai.

Kaano mai infection kai tarah se ho sakte hai aur iss sankraman ke karan aapko sunai dena bhi band ho sakta hai. Tatha iske bare mai satik jankari ka hona bahut aavshyak hai taaki iske lakshno ko jankar aap jald iska illaj kar sake. To aaiye jante hai Ear Infection Symptoms in Hindi.
 

Ear Infection Symptoms in Hindi: Rakhe Kaan Ka Khayal

 

 
Kaano mai sankraman kisi bhi vyakti ko ho sakta hai. Chahe wo vyakti bada ho ya chhota. Kintu Baccho mai kaan ka sankraman adhik paya jata hai kyuki baccho mai rog pratirodhak shamata kam hoti hai. Baccho mai viral ya bhukhar bahut jaldi hota hai. Aesi koi bhi chiz jo Eustachian tube ko avrudha karti hai, wo kaan mai sankraman uttapan kar sakti hai. Aaiye jante hai Symptoms of an Ear Infection ke bare mai.
 

  1. Allergy hone se bhi kaano mai sankraman ho sakta hai.
  2. Sinus ki bimari hone par bhi kaano mai sankraman ki samasya ho jati hai.
  3. Adenoid yani gale ke upari hisse mai hone wale lymph tissue mai bhi yadi sankraman ho jaye to kaan mai sankraman ki sambhavnaye rehti hai.
  4. Navjaat shishu ka stanpan na karne se bhi kaano mai sankraman hota hai.
  5. Jyada thande vatavaran mai rehne par sankraman ho jata hai.
  6. Baris ka paani kaano mai jane se sankraman ho jaata hai. Ya fir kabhi kabhi Ear Wax jyada ho jane par bhi sankraman ho sakta hai.

 

You may also like:- Gharelu Nuskho se Ear Wax ki Samasya se Nijaat

 

Madhya Kaan mai Sankraman Ke Lakshan

Madhya kaan mai sankraman (Middle Ear Infection) jivanuo ke karan hota hai. Isme kaan ke parde piche ki taraf hote hai aur isme haddiya choti choti hoti hai. Jo tarango ko andar tak le jati hai ussi ke sath bacteria kaan ke andar tak pahuch jate hai. Kai bar kaano mai sankraman jhukaam ke karan bhi hota hai. Inme dikhne wale lakshan kuch iss prakar hai:-

  1. Kaano mai bahut jyada dard hota hai. Jo ki ashaniya hota hai. Iske atrikat kaano mai ghanitya jaisi aawaj sunai deti hai.
  2. Aisa lagta hai jaise kaano mai koi taral drav bhara hua hai. Iske alawa kaano mai behrapan mehsus hota hai.
  3. Kai bar chakkar aane lagte hai. Tatha aapko ulti aur dast bhi ho sakti hai aur iske wajah se bukhar bhi aa jata hai.

 

Bahari Kaan mai Sankraman Ke Lakshan

Bahari kaan mai sankraman (Exeternal Ear Infection) hone ka karan bhi bacteria hota hai. Iske atirikt jab bhi aap bahari kaan mai  gandagi ko nikalne ke liye machis ya fir koi nukili chij ka istemal kar lete hai, to iske karan bhi kaan mai sankraman failta hai. Dhyaan rakhe sankraman ke lakshan halke tour par shuru hote hai kintu dheere dheere bigad jate hai.

  1. Kaan ki nalika mai khujali hone lagti hai. Tatha bahari kaan ko khichne aur dabane par dard hota hai.
  2. Kai bar kaan mai pas pad jata hai aur pile rang ka taral drav behne lagta hai. Tatha aapko kam sunai dene lag jata hai.

 

Baccho Ke Kaan mai Sankrman Ke Lakshan

Chotte bacche samjha nahi sakte ki unko kaano mai dard ho raha hai. Kintu unke hav bhav aur harkate dekhkar hame samjhna padta hai ki unhe kaano mai dard ho raha hai. Niche diye gaye lakshno ko dekhkar aap Ear Infection in Babies ke bare mai jankari hasil kar sakte hai.

  1. Jab bhi baccho ko kaano mai dard ya khujli hoti hai wo kaan ko kuredana ya khichna shuru kar dete hai.
  2. Kai baccho mai chidchidapan aa jata hai tatha uske sath we lagatar rote rehte hai. Iss wajah se wo so bhi nahi paate hai.
  3. Unke kaan se pila gadha drav bahar niklane lagta hai aur sunne mai pareshani aane lagti hai.
  4. Chhote bachhe sust ho jate hai khana pina acche se nahi kha pate hai iske alawa unhe bhukhar bhi aa jata hai.

 

You may also like:- Home Remedies for Earache: Kan Ke Dard ke Gharelu Nuskhe

 

Ear Infection Cure: Jane Iska Upchar

Kaano ke sankraman ko thik karne ke liye niche kuch Home Remedies for Ear Infection batai gayi hai.
 

Labhkari Lahsun

4 se 5 lahsun ki kaliya lekar use halka sa pees le aur ek katori mai sarson ka tel lekar usme lahsun dal de aur use laal hone tak garam kare. Ab iss tel ko sankramit kaan par dale. Isse sankraman kam ho jata hai aur kaan ka dard bhi dur ho jata hai.
 

Gunkari Tulsi ka Patta

12 se 15 tulsi ke patto ko hath mai lekar ragad le aur uske ras ko sidhe kaano mai lagane se sankraman se chuttkara milta hai. Isse ek din chhod ke lagaye aapko kaafi fayda milega.
 

Vitamin C

Yadi aapke kaano mai sankraman ho gaya hai to usse khatam karne ke liye vitamin C se bharpur phalo ka sevan aapke kaano ke liye bahut faydemand hoga aur sankraman puri tarah khatam ho jayega.
 
Upar aapne jana Ear Infection Symptoms in Hindi. Yadi aapko uprokt lakshan dikhai dete hai ya fir kaano mai kisi tarah ki samasya ho rahi hai to bina der kiye chikitsak se sampark kare.

Loading...

This website uses cookies.