Eating for Your Blood Type, Sahi Aahar Se Paiye Acchi Sehat

Kya aap jante hai ki agar aap apne blood group ke according apne bhojan ka chunav kare to aap rogmukt rah sakte hai. Iss tarah ka aahar chun kar aap swasth rah sakte hai. Saath hi apne vajan ko bhi kam kar sakte hai.

To aaiye hum aapko batate hai, Eating for Your Blood Type. Jisse aapko ptaa chal jayega ki aap ko konsa aahar khana chahiye aur konsa aahar nahi khana chahiye.

Swasth rahne ke liye aap kya nahi karte hai, gym mai ghanto pasina bahane se lekar apne priya khan pan ko chhodne tak sab kuch. Par fir bhi aap apne patle hona ka sapna pura nahi kar pate hai.

Lekin naye science ke research mai kaha gaya hai ki, agar aap blood group ke anusaar aahar lenge to swasth rahne mai aapko kafi madad mil sakti hai. Saath hi aap apna weight bhi aasani se kam kar sakte hai.

Eat for Your Blood  Type Se Jude Kuch Khas Tathye

Blood Group Ke Anusaar Bhojan

Agar aap apne blood group ke anusaar diet lenge to hamesha durust bane rahenge. Isliye aapko iss tarah ka bhojan karna chahiye, jo aapko hamesha ke liye fit rakhta hai. Kai bar hum sochte hai ki ek vishesh cheez khana ka ek vyakti par accha asar padta hai vahi usi cheez ko khane se dusre vyakti par bura asar padta hai. Kya aap jante hai ki, aisa kyo hota hai, aisa vykati ke blood group ke karan hota hai.

Antigen Marker Kya Hai ?

Har prakaar ke blood mai ek khaas tarah ka antigen maker hota hai. Yeh marker kuch khaas samagri ko pahchane mai madad karta hai. Yeh Antigen marker alag alag samgari mai alag alag tarike se prabhav dalta hai. Yadi vyakti inhe pahchan kar theek tarike se diet le to vah healthy rehne ka samadhan talash sakta hai.

Dietitian ki Salah

Eating for Your Blood Type ke bare mai dietitianki salah jarur lijiye. Kuch dietitian bhi yeh mante hai ki har vyakti ka blood ek khaas tarah ka hota hai. Vah Jo bhi khata hai blood group ke hisab se hi vah use suit karta hai yani yadi vyakti ko uske blood gruop ke hisab se food diya jaye to vah health ki drashti se laabhdayak hoga.

Kyo Le Blood Group Ae Anusaar Diet

Eating for Your Blood Type par hal mai hi publish ki gai ek kitab “Eat Right for Your Type” ke anusaar yeh baat samne aai hai sabhi tarah ke vyajann mai Lectins namak protein hota hai, jo har tarah ke bhojan mai paya jata hai. Unke anusaar, alag alag blood group ke logo ka khoon bhojan vale inn protein ke prati alag alag prabhav dalta hai. Jiska sheeda asar hamari sehat par hota hai.

You may also like:-  Tanduroost Sehat ke Liye Janiye Benefits of Cheese

Kese Padta hai Diet ka Prabhav Aapke Blood Group Par

Lectins chipkane vale protein hote hai. Lectins jo blood type ke saath match nahi khate, sharir ki koshikao ko nuksaan pahuchte hai. Bhojan se aane vale kai lectins hanikarak nahi hote hai, lekin thoda bahut asar hota hai hai, agar yeh lectins blood gruop ke saath match nahi karte hai to.

Eating for Your Blood, Apne Khoon Ke Prakar Ke Anusaar Khaye Aahar

Blood Group A

Blood group A ke logo ke liye hari sabjiya, anaaj, beans, ankurit bhojan, phal, dry fruits aur bread, nudlles, chinese food, burger jesa food ko prathmikta deni chahiye. Vajan ghatne ke liye meat, dudh se bane utpadan, gehu ko avoid karna chahiye.

Blood Group B

Blood group B vale logo vibbinn tarah ka bhojan le sakte hai. Inme se anek prakar ka mans, anaaj, sabjiya aadi shamil hai. Aisa mana jata hai, ki iss blood group ke logo ko aneko prakaar ka bhojan suit karta hai. Lekin vo iska sevan sanyamit roop se hi kare. Agar din mai meat liya hai to sham mai vegetable aadi khaye. Halaki band khadye padarth jese gobhi, makka, mungfali, masoor, till aadi ko avoid kare.

Blood Group AB

Iss blood group ke logo ko mans, fish, sabjiya, carbohydrate, dudh, dahi tatha dudh se bane padarth aur anaaj suit karte hai. Yani adhik se adhik protein lena chahiye. Iss tarah ka bhojan khane se vah jyada healthy rah sakte hai. Iss group ke log mishrit aahar le sakte hai lekin fir bhi red meat, makka aadi ko hamesha avoid karna chahiye.

Blood Group O

Eating for Your Blood Type mai sabse purana group hone ke karan Blood Group O ke logo ko ucch protein vale khadya padarth aur mans adhik lena chahiye, lekin dudh ke utpadan ko najrandaaj karna chahiye.

Upar aapne jane ki kese aapka blood group aapke diet ko prabhavit karta hai. Saath hi kis blood group ke logo ko konsa aahar khana chahiye. To bas aaj se hi apne blood group ke according bhojan lena start kar de aur hamesha swasth rahe.

Eat for Your Blood Type se sambhandhit jankari ke liye yaha jaye Food.

Loading...

This website uses cookies.