ECG (Electrocardiogram) Parikshan Kyu Aur Kese Kiya Jata Hai?

ECG (Electrocardiogram) yeh ek heart ka parikshan hai jisme machine dwara heart ki vidyugat kriyakalap (Electrical Activity) ko darj kiya jata hai. Heart ki har dhadkan ke saath vidugat ka aaveg (Electrical Impulse) heart se gujarta hai. Iss aaveg se heart ki mashpeshiya sankuchit hoti hai heart se rakt pravahit karti hai.

You may also like:- Janiye Heart Attack Symptoms, Causes and Precaution in Hindi

ECG Kyu Karai Jati Hai?

Ucch ratchap, chhati mai dard, ghabrahat aur vyasak vyakti mai heart ki stithi ke aklan hetu ECG test karaya jata hai.

ECG se doctor ko pata chalega ki:-

  • Vidhut aaveg samanya, dhima, tez, ya aniyamit hai.
  • Heart bahut bada hai ya ise adhik kaam karna padta hai.
  • Heart ki mashpeshi ko dil ke kisi doure se nuksaan pahucha hai.
  • Heart ki kisi Valve mai koi kharabi hai.

ECG Karne se Pehle Kya Tayari Karni Chahiye?

ECG karne jate samay nimanlikhit baato ka khayal rakhe:-

  • Apne janch par samay par pahuche.
  • Janch ke din lotion ka upyog na kare. Ho sakta hai ki lotion ki wajah se ECG Electrodes chhati par acche se na chipke.
  • Aisi kamij pehne jiske samne ke bhaag mai button ho jisse ECG Electrodes aapke sine par aasani se rakhe ja sake.
  • Janch karate samay apne paas mobile, chabi, gehne, sikke ityadi koi metal ki chiz na rakhe.
  • Doctor ko aapki sampurna jankari de. Jese:- Aapka naam, umra, pata, aapko kya taklif hai, aapko koi anya bimari hai, aapke purane dawai ya bimari ki jankari, aapke purane sabhi reports ya ECG, aapke parivar mai kisi ko koi bimari ki jankari.
  • Janch karane se pehle 5 minutes aaram se baithe aur kisi bhi tarah ki chinta ya bhay na rakhe. Chinta aur bhay ke karan aapka Blood Pressure aur heart rate badh sakta hai aur galat report aa sakti hai.
  • ECG parikshan se ghabrane ki jarurat nahi hai. Kuch vyakti isme Electric Shock lagne ke darr se ghabra jate hai. ECG parikshan main a to electric shock lagta hai aur na hi sharir ya heart ko koi hani hoti hai.

ECG Janch ke Douran Kya Hota Hai?

  • Aap parikshan table par letege.
  • Purusho ke sine ke kuch baal kate jate hai.
  • Aapke sine, baho aur pairo par pad ya electrodes rakhe jate hai.
  • Pad ya electrodes ko taro se ECG machine se joda jata hai.
  • Jab ECG machine dwara aapki janch ho rahi ho tab bina hile-dule shant lete rahe.
  • ECG janch puri hone par pad ya electrodes ko hata diya jata hai.
  • ECG report doctor ke paas bheji jati hai aur report dekh kar doctor aapko parinam bata dete hai.
  • Avashyakta hone par doctor aapko anya koi janch ya koi dawa lene ki salah de sakte hai.

Upar aapne jane Electrocardigram ke bare mai sampurna jankari. Isse aap aapke heart ki sabhi chizo ke bare mai jaan sakege aur swasth reh sakege.

Loading...

This website uses cookies.