Aankho ke niche sujan aa jane ke karan aankhe kaafi badsurat dikhne lag jati hai. Aur aankhe aksar subah uthne ke bad suji hui dikhai deti hai. Aapko dekhne ke bad aesa pratit hota hai ki aap raat bhar soye nahi ho.
Kyoki aapki aankhe kaafi thaki hui aur sust najar aati hai aur kai log iss samasya se pareshan rehte hai. Vaise to yeh samasya kishoro mai kam hoti hai kintu 30 ki umra ke baad yeh jyada dekhne ko milti hai.
Suji hui aankho ke kai karan ho sakte hai jaise sahi samay par na sona, vyayam karna, khapan sahi samay par na lena aadi! Iss samasya se nijat pane ke liye kai gharelu upay hai. Aaiye jante hai Eye Bags Home Remedies in Hindi.
Eye Bags Home Remedies in Hindi: Janiye Iske Gharelu Upay
Kheera Kakdi
- Kheera Eye Care ke liye bahut accha vikalp hai.
- Ise lagane par aapki aankho ki sujan chhumantar ho jayegi.
- Ise lagane ke liye kakdi ki gol gol slice kat le aur use apni aankho par rakh de.
- Ise aapki aankho par karib 20 se 25 minute ke liye rakh de.
- Ise lagane par aankho ke niche ke kale ghere bhi mit jayenge.
Sodium Ka Sevan Kam Kare
- Aapke khane mai sodium ka sevan kam kare kyonki jyada sodium khane se aankho ke niche sujan aa jati hai.
- Iske alava khane mai tel masale tatha namak ka sevan kam kare.
Ande Ka Istemal Kare
- Ande ke andar ka safed bhag kisi chammach ki sahayata se nikale aur use aankho ke aas pas jaha aapko sujan aai hui hai waha lagaye.
- Ise lagane se aankho ki twacha kas jayegi aur sujan kam dikhai dene lagegi.
- Ande ko karib 20 minute tak aankho ke niche laga kar rakhe.
- Iske bad chehre ko thande pani se dho le aapko kaafi accha mehsus hoga.
Tel Ya Namak
- Sabse pehle thoda sa guguna pani le aur usme namak ko dale tatha cotton ki sahayata se aankho ke nich lagaye.
- Aap chahe to thande pani mai duboye huye cotton ko vitamin E tel milakar bhi aakhon par laga sakte hai.
- Inka prayog kare aur aankho ke niche ki sujan ko chumantar kar de.
Barf Ko Suji Aankho Par Lagaye
- Braf ke kuch tukde ko ek katore mai dale tatha usme 4 chammach ko rakh de.
- Ab do thande chammach ko aankho ke niche rakhe .
- Jab chammach garam ho jaye to use katore mai dal de aur dusre do thande chammach le.
- Iss prakriya ko lagatar kare jab tak ki aankho ki sujan kam na ho jaye.
Anakho Ki Sujan Dur Kare Aloo
- Aloo ki gol aur patli slice kat le aur aankho par rakh de.
- Inhe 15 se 20 minute ke liye aankho par rakhe, dhyan rakhe aankho ki sujan bhi aloo ke niche chipna chahiye.
- Isse aankho ki sujna kaafi kam ho jati hai.
- Yeh Home Remedies for Eye Bags bahut faydemad hai.
Pudina Ki Pattiyo Ko Lagaye
- Suji hui aankho ke liye pudina ki pattiya ek bahut accha gharelu upay hai, yeh aankho ki sujan ko bahut jaldi hata deta hai.
- Sabse pehle pudine ki pattiya le aur unhe acche se crushed kar le.
- Ab unhe aankho ke niche laga kar 10 se 15 minute ke liye chhod de.
- Iske bad thande pani se aankho ko acche se dho le.
- Aesa karne karne par aapki aankho ko bahut aaram milega aur sujan bhi kam ho jayegi.
Dudh Bhi Hai Faydemand
- Kacche dudh mai cotton ko bhigoye aur aapki palko ke upar rakh de.
- Ise karib 30 minute ke liye palko ke upar rakhe rehne de, ya tab tak rakhe jab tak aankho ki sujan kam nahi ho jati.
- Iss lagane par Puffy Eyes ki samasya se nijat mil jayega.
Thande Teg Beg Ka Upyog Kare
- Sabse pehle tea beg ko pani mai bhigo de aur use fridge mai thanda hone ke liye 2 minute rakh de.
- Ab tea beg ko fridge mai se nikale aur inhe aankho ke niche rakh de.
- Inhe 20 se 25 minute ke liye rakh rehne de iske bad jab uthenge to thande pani se chehre ko dho le.
Upar aapne jana Eye Bags Home Remedies in Hindi. Inn gharelu nuskho ka istemal se aankho ki sujan ko kam kiya ja sakta hai.