Eye Exercises in Hindi: Jane Aankho Ke Liye Vyayam

Aankho ko lekar aksar hum laparwahi kar dete hai, jiske karan aajkal aankho ka kamjor hona kaafi aam samasya ho gayi hai aur iss par sahi samay par dhyan nahi diya jaye to aapki aankho ki roshni din pratidin kam hoti jati hai.

Aajkal to aankho ki samasya chhote baccho ko bhi hone lagi hai. Bade hi nahi kam urma ke bacche bhi chasme lagaye najar aate hai. Aankho ke chashme ka number tabhi badta hai jab aapki jarurat ke anusar sharir ko poshan aur vitamin nahi mil pata.

Sath hi yeh baat bhi hum sabhi bahut acche se jante hai sharir ke ango ko sucharu roop se karya karne ke liye vyayam bahut jaruri hai.

Lekin bahut kam log jante hai ki aankho ko swasth rakhne ke liye aankho ka vyayam bhi bahut jaruri hai. Isse aapki aankhe swasth rehti hai aur aankho par tanav kam hota hai, to aaiye jante hai Eye Exercises in Hindi.
 

Eye Exercises in Hindi: Aankho Ke Liye Prabhavi Vyayam

 
Eye Exercises in Hindi
 

Hatheli Ko Ragad Kar Hatho Par Rakhe

  • Dono hatheliyo ko aapas mai ragade, jab tak hatho ke bich mai garmahat mehsus na ho.
  • Ab dono hatheliyo ko aankho ke upar aise rakhe ki bahar ki roshni andar na aa paye.
  • Iske bad aankho ko andar hi andar 3 se 4 bar khole aur andhere ko dekhne ki koshish kare.
  • Iss vyayam ko karte samay gehri saans le aur din me 3 se 4 bar kare.

 

A B C D Ke Sath Kare Khel

  • Iss khel ko khelne ke liye bade aksharo mai ABCD ko paper mai likh do aur dusre paper par chhote chhote aksharo mai ABCD ko likh de.
  • Ab dono paper ko kisi diwar par tang de aur kuch duri par jakar baith jaye.
  • Bade aksharo ki ABCD ko padhe jab tak ki aapki aankhe bade aksharo ki font size par set ho jaye.
  • Iske bad dusre paper par dekhe jaha chhote aksharo mai ABCD likhi hai.
  • Aesa karne par aapki aankho ki manspeshiya majboot banegi, yeh Exercise for Eyes behtarin hai.

 

Kuch Der Tak Aankhe Na Khole

  • Aankho ko jor se karib 5 se 6 second ke liye band kare aur fir khol le.
  • Din mai 10 bar aankho ko band kare aur khole.
  • Aesa karne par aankho ki manspeshiya ko aaram pahuchta hai aur Eyesight Improve bhi hoti hai.

 

Aankho Ki Putali Ko Ghumana

  • Aap siddhasana mai behte aur aankho ki putli ko ghumaye.
  • Pehle aankho ko daye se baye ki aur ghumaye.
  • Ab aankho ko upar se niche ki aur ghumaye.
  • Iske alawa aankho ko gol bhi ghumaye.
  • Yeh prakriya din mai kam se kam 8 bar kare.
  • Iss bat ka dhyan bhi rakhe ki aankho ki jitni kshamta hai utna hi gati se ise ghumaye kshamta se adhik nahi, kyonki isse apko hani ho sakti hai.

 

Aankho Ki Halke Hatho Se Malish Kare

  • Sabse pehle aankho ko band kare aur aapki ungliyo ko aankho ke upar rakhe.
  • Ab aankho par halka sa dabav dalte huye ungliyo se halke halke se massage kare.
  • Ungliyo ko gol gol ghumate huye mathe tak le jaye aur aankho ke aasapas halke se malish kare.
  • Iss prakriya ko 5 minute tak lagatar kare.
  • Yeh Eye Exercises to Improve Vision hai, kyonki aesa karne se aankho mai rakt ka sanchar badta hai .

 

Kisi Ek Point Par Kuch Der Lagatar Dekhe

  • Sabse pehle ek point ko nirdharit kar le aur uss point ke sidh mai karib aadhe meter dur jakar beth jaye.
  • Ab uss point ko dekhe jo aapse aadhe meter ki duri par hai.
  • Iss point ko karib 6 second tak lagatar dekhe aur dhire dhire dhire aankho ko hata le.
  • Iss kriya ko lagatar 3 minute tak kare. Yeh Eye Health ke liye bahut accha hai.

 

Aankho Ko Kholna Tatha Band Karna

  • Aankho ko lagatar 10 se 15 bar khole tatha band kare.
  • Jab bhi aap computer tatha TV ke samne bethe yeh prakriya dohraye.
  • Iss exercise ko aap kabhi bhi kar sakte hai aur din me 2 bar to jarur karna chahiye.

 
Upar aapne jana Eye Exercises in Hindi. Isme aapko aese vyayam ke bare mai bataya gaya hai jinse aapki aankho ki roshni badegi aur aapko chasma lagane ki jarurat nahi padegi.

Loading...

You may also like...