Eye Pain in Hindi: Jane Aankho mai Dard Ke Karan aur Upchar

Aankhe hamare sharir ka ek bahut aham hissa hai. Isi ke jariye ham iss duniya ko dekh pate hai aur kai kaam kar pate hai. Yaha tak ki yeh aapki khubsurti ko badhane mai bhi madad karti hai. Isse aapko ek alag pehchan milti hai. Aankho ki dekhbhal bahut jaruri hoti hai, iski mashpesiya sharir mai sabse jyada sakriya hoti hai.

Aankhe wo anga hai jo bina kuch kahe bahut kuch keh deti hai. Chahe aap thik se aahar nahi lete ho ya fir nind sambandhi koi laparwahi karte ho. Aankhe itni jyada savendshil hoti hai ki ise khash tarah ki dekhbhal ki jarurat hoti hai.

Yadi aankho ki dekhbhal sahi tarah se nahi ki jaye to aankho ki kai tarah ki samasyae jaise aankho mai jalan, sujan va dhrsti jane ka bhi khatra rehta hai. Aankho ki kai samasyao mai aankho mai dard rehna bhi ek hai. Kai karano se aankho mai chubhan, dard ya kuch gir jane jaisi anubhuti hoti hai.

Kuch log computer par adhik samay dete hai, isliye bhi unhe aankho ke dard ki shikayat rehne lagti hai. Halanki iska upchar bahut aasan hai. Darahsal computer ki screen ko lagatar dekhne se aankhe thak jati hai, jiske chalte naa keval aankho mai balki sar aur garadan mai bhi dard bane rehta hai.

Aankho mai dard ke lakshan samanya ya gambhir kuch bhi ho sakte hai. Kabhi kabhi ham jaldi dono mai antar nahi kar pate hai. Isliye aaiye vistar se jante hai Eye Pain in Hindi.
 

Eye Pain in Hindi: Jane Kyu Hota Hai Aankho mai Dard?

 
Eye Pain in Hindi
 
Vaise to aankho mai dard hona ek samanya baat hai. Lekin yeh kai prakar se ho sakta hai. Isliye behtar hoga ki aap chikitsak ko dikhaye. Aapki samasyao se nijat dilane ke liye chikitsak aapke samasya ke itihas aur parikshano ke aadhar par salah denge.

Chikitsak iske liye aapse kai tarah ki sawal bhi karenge jaise aapko dard kaha ho raha hai, aur dard kab shuru ho raha hai aur kitni der tak rehta hai. Iske atirikt aapke chikitsak aapse yeh bhi puch sakte hai ki kahi aapko pichle samay mai kisi tarah ki chhot lagi ho ya aapne aankho ka kisi tarah ka illaj karwaya ho. Aapke chikitsak aapke aankho se sambandhit kai janche karenge. Yeh sabhi bare aapke pareshani se nijad dilane ke liye jaruri hai.
 

Eye Pain Causes in Hindi: Aankho mai Dard Ke Karan

 

Computer Par Ghanto Kam Karna

Computer par jyada der bitana, ya bahut der tak tv dekhna aankho mai dard hone ka ek samanya karan hai. Isse eye pain and headache hota hai. Vaise to iss baat se aap log bhi parichit honge. Computer ki screen ko lagatar dekhne se aankhe thak jati hai aur dard karne lagti hai. Isse naa keval aankho ki balki anya samasyae bhi utpanna ho sakti hai. Computer prayogh karne wale ko har 20 minute mai apni screen se nigah hatakar kuch dur moujud chizo ko dekhna chahiye.
 

Contact Lens Bhi Jimmedar

Aap shayad iss bare mai nahi jante honge lekin contact lens bhi aapke aankho ke dard ko badhane mai jimmedar ho sakta hai. Kuch log chasma lagane se bachne ke liye to kuch log apne aankho ki khubsurti ko badhane ke liye contact lens istemal to karte hai lekin use samay samay par saaf nahi karte hai.
Isse aankho mai jalan ki samasya shuri ho jati hai aur dhire dhire yeh dard mai tabdeel ho jati hai. Iske atirikt purane aur expiry contact lens bhi aankho mai sankraman hone ke jimmedar hote hai. Jisse aankho mai dard aur chubhan hona lajmi hai.
 

You May Also Like:- Eye Cancer Symptoms in Hindi: Aankho Ke Nasur Ke Lakshan

 

Chot Lagna

Kai baar hame nind mai kisi ke hatho se aankho mai chhot lag jati hai, ya fir anya kisi karano se bhi chhot lag jati hai. Isse hamari aankho ki nuksan pahuchta hai aur aankho mai jalan ya bahut tej dard uthne lagta hai.
 

Sukhi Aankhe

Sukhi aankhe arthat dry eyes bhi aankho ko pareshan kar deti hai. Dry eyes ki samasya mai aankho ki aasu banane wali granthi teji se aur sahi matra mai aasu nahi bana pati hai. Iss samasya mai aankhi mai sujan, laali aur dard hone lagta hai. Iss samasya mai kabhi kabhi kam bhi dikhne lagta hai. Chikitsak dwara di gayi kuch eye drops se iska illj kiya jata hai.
 

Aankho mai Yadi Kuch Chale Jaye

Aankho mai dhul mitti chale jane par bhi aankho mai dard hone lagta hai.  Dard ke sath sath aese mai  aamkho mai khujli bhi chalne lagti hai. Isse nijat pane ka aasan tarika hai. Jab kabhi bhi aankho mai dhul ya mitti chali jaye, aankho par thande pani ke chhite mare. Isse aankho ki sari gandagi bahar nikal jayegi.
 

Aankho Par Anjani

Yeh samasya palko ke kinare par aanko ke andruni side pe hoti hai. Iss stithi mai aankhe bahut najak ho jati hai. Jiski wajah se aapko thoda dard bhi mehsus ho sakta hai. Ise thik karne ka accha tarika yeh hai ki ise chhye nahi.
 

Kanch Bindu Rog

Kanch bindu rog netra ka rog hai. Yeh rog tantra mai nirantar kshati karte huye dhire dhire dhrsti ko samapt hi kar deta hai. Yadi samay rehte iska illaj nahi kiya jaye to aapke aankho ki rohsni bhi ja sakti hai.
 
 Eye Pain Treatment in Hindi
 

Eye Pain Treatment in Hindi: Aankho Ke Dard Se Rahat Paye

 

Gulab Jal Ka Prayog

Aakho mai tanav aur thakan bhi dard hone ka ek pramukh karan hai. Isme gulab jal aapki madad kar sakta hai. Yeh ek prakratik relaxer ke roop mai  kaam karta hai, jisse aapke aankho ko aaram milta hai aur dard dur ho jata hai.

Gulab jal ke rojana istemal se dark circles bhi kam ho jate hai. Iska istemal karne ke liye sabse pehle to aankho par thande pani ki kuch bunde chhidke aur ek saaf toliye se use saaf karle. Ab rui se bane do golo ko gulab jal mai duboye. Letkar inn golo ko apni aankho ko band karke apne palko par rakhe.
 

You May Also Like:- Home Remedies for Eye Infection: Aankhon ke Liye Gharelu Ilaj

 

Dudh Bhi Faydemand

Aankho ka dard dur karne ke liye dudh bhi ek behad lokpriya tarika hai. Dudh ka jo vasa rehta hai wo suji aur thaki hui aankho ke liye bahut faydemand hota hai. Iske alawa dudh aankho ka dard, jalan aur sujan kaam karne mai bhi sahayak hai. Iske liye bus thande dudh mai rui bhigaye aur aankho ki palko par rakhe.
 

8 Ghante Ki Nind Jaruri

Aankho ko aaram dene ke liye paryapt aath ganthe ki nind leni chahiye. Iske atirikt aankho ki sehat ke liye jaruri hai aap aachi roshni mai baithkar hi kaam kare. Chahe fir aap computer par kaam kar rahe ho ya padhai. Bahut der tak computer ke samne baithne ke karan severe eye pain ki sikayat ho sakti hai. Isliye aankho par jyada jor na dale aur bich bich mai avkash lete rahe.
 

Thande Pani Se Dhoye

Aankho ke prati laparwahi baratne se aankho mai pani aana, jalan, khujali, dhundala dikhai dena aadi samasyae ho sakti hai. Inn samasyao se bachne ke liye niyamit roop se aankho ki safai karni chahiye. Iske liye aap aankho ki din mai 3-4 baar thande pani se acchi tarah dhoye.
 

Sehatmand Aahar

Aankho ki kamjori se bachne ke liye vitamin a aur vitamin k se bharpur bhojan lena chahiye.  Iske liye dudh, makkhan, papita, ande aur hari sabjiyo ka sevan kare. Din bhar mai 8 se 10 glass pani bhi aankho ke liye hitkar hai.

Aankho mai koi samasya ho ya na ho bich bich mai aankho ka checkup jarur karwana chahiye. Khaskar yadi aapko madhumeh ki samasya ho to samay par aankho ka checkup jarur karwaye. Kyoki madhumhe ke karan aakho par nakaratmak prabhav padhta hai. Jisse andhapan hone ka khatra rehta hai.
 

Aankho Ka Vyayam

Aankho ka vyayam bhi aapki madad kar sakta hai. Iske liye ek pencil le aur uske madhya mai koi akshar likhe ya nishan lagaye aur ab ise aankho ke samne baaho ki duri par pakde aur us nishan par focus kare. Ab dhire dhire ise naak ki aur laye aur foucs banaye rakhe. Ise tab tak karib laye jab tak yeh do bhago mai na dikhai dene lage. Jaise hi yeh do bhago mai dikhe ise hata le aur thodi der aankho ko khula chhodkar idhar udhar dekhe. Iss prakriya ko char se panch bar dohraye.
 
Upar aapne jana Eye Pain in Hindi, iske karan aur upcharo ke bare mai. Aankhe bahut anmol hai. Samay samay par aankho ki dekhbhal se kaafi had tak isme paida hone wali samasyao par rok lagai ja sakti hai.
 

Loading...

You may also like...