Har mahila apne chehre ko lekar bahut sachet rehti hai, kyonki chehra unki khubsurati ka ek aham hissa hai. Aur kisi bhi vyakti ki najar sabse pehle chehre par hi jati hai isliye khubsurat chehra pane ke liye mahilaye kai tarah ki chizo ka istemal karti hai.
Yadi aap bhi aesi khwahish rakhti hai to ham aapko bata de ki iske liye aapko aapke chehre ki acchi dekhbhal karni hogi. Ek saaf suthri chamakdar twacha hi aapko aakarshak dikhane mai madad karti hai.
Agar aapko lagta hai ki keval lucky logo ko hi aesi twacha milti hai to aesa kuch bhi nahi hai aap bhi bina dag dhabbe wala chamakdar chehra paa sakti hai. Aaj ham aapko Face Care Tips batayenge jisse aap accha chehra paa sake.
Face Care Tips: Jane Chehre Ki Dekhbhal Ke Upay
Bharpur Matra mai Pani Piye
- Pani ka adhik matra mai sevan se twacha par glow aata hai.
- Rojana karib 4 se 5 liter pani piye isse aap dinbhar tarotaja mehsus karte hai.
- Pani aapke sharir se sare vishele pdartho ko bahar kar deta hai aur sharir mai nai koshikaye banti hai.
Chehre Par Scrub Kare
- Tips for Healthier Skin ke anusar chehre ki scrubbing karna bahut jaruri hai.
- Chehre par scurb karne se aapke chehre ki sari dhul mitti hat jayegi.
- Tamatar ka tukda le aur use chehre par ragde aapke chehre ki mrit koshikaye hat jayengi.
- Scrubbing karne se chehre ke romchhidra band nahi hote hai aur twacha khul ke saans le pati hai.
Chehre Ki Cleansing Kare
- Chehre par cleansing karne se twacha saaf hoti hai aur usme nami banti hai.
- Bahar jane par pradushan ke karan dhul mitti chehre par lag jati hai isko saaf karne ke liye cleansing ka istemal kare.
- Cleanser ko chehre par lagaye aur kisi cotton ki sahayata se gandagi ko saaf karle tatha halke gungune pani se chehre ko dho le.
- Chehre ki twacha ke rom chhidro mai tel aur gandagi jama ho jati hai, jisse muhase nikal aate hai, isliye chehre ko saaf karne ke liye cleansing ka istemal kare.
Face Pack Lagaye
- Face pack lagane par aapke chehre ki sari mrit koshikaye hat jati hai.
- Face pack lagane se twacha mai kasav aata hai, aur chehra khila khila dikhta hai.
- Face pack ko hafte mai do bar lagana chahiye, aap chahe to ghar par bane huye face pack ka istemal kar sakti hai.
Chehre Ko Dhoye
- Basic Skin Care Tips ke anusar din mai kam se kam 2 bar chehre ko dhoye taaki chehre par tel na jame.
- Jab bhi aap chehre ko dhoye sabun ke bajay mild face wash ka istemal kare.
- Jab bhi aap bahar se aate hai tab bhi chehre ko jarur dhoye.
Moisturizer Ka Istemal Kare
- Jab bhi aap face dhote hai uske bad moisturizer ka istemal jarur kare.
- Agar aapki twacha teliya hai to water base moisturizer ka istemal kare.
- Moisturizer lagane se aapki rukhi twacha mai nami bani rahegi aur twacha swasth dikhegi.
Night Cream Ka Kare Istemal
- Night cream chehre par jaldi jhurriya nahi aane deti hai.
- Yeh twacha ko mulayam banati hai aur twacha mai collagen banne mai madad karti hai.
- Yadi aap night cream ka istemal roj karte hai to isse twacha hydrate dikhti hai.
- Yeh twacha ko poshan pahuchati hai aur rakt sanchar badane mai madad karti hai.
- Daily Routine for Face Care ke liye yeh accha vikalp hai.
Toner ka Istemal Kare
- Toner ka upyog karne par dag dhabbe hat jate hai.
- Iske alawa toner twacha ke pH maan ko niyantrit karta hai.
- Toner chehre ki mrit twacha ko hatane mai madad karta hai.
- Chehre par homemade toner ka istemal kare, isse twacha saaf dikhai deti hai.
- Yeh chehre se tel aur gandagi ko saaf karta hai hai jisse muhanse nahi hote hai.
Bharpur Nind Le
Yadi aapko late tak jagne ki aadat hai aur aap subah jaldi uth jate hai. Iss douran aapki nind puri nahi hoti hai tatha iska sidha asar aapke chehre par dikhta hai. Chehre ki twacha ko swasth rakhne ke liye aapka acchi nind lena bahut jaruri hai isliye rojana 8 ghante ki nind puri kare.
Upar aapne jana Face Care Tips. Yaha diye gaye tariko ko apnakar aap bhi khubsurat twacha pa sakti hai. Swasth twacha sabke aakarshan ka karan hoti hai tatha aapka aatmvishvas bhi badta hai.