Face Makeup Tips in Hindi: Chehre Ki Sundarta Badhaye

Aajkal har koi sundar dikhna chahta hai. Shadi ho, party ho ya fir koi bhi function sundar dikhane ke liye log kai tarike apnate hai jaise parler jana, kai tarah ke creams ka istemal karna, foundation lagana aadi.

Sundar dikhane ke liye makeup bahut jaruri hota hai. Tv serials se lekar badi badi filmo mai heroins apne makeup ke dwara hi itni aakarshit aur sundar dikhai deti hai.

Apne aap ko sundar dikhane ke liye log kai tarah ke makup tips ko apnate hai. Jaise chehre ka makeup, aankho, hontho ka makeup aadi. Thoda sa bhi makeup mahilao ki sundarta mai char chand laga deta hai lekin dhyan rahe jarurat se jyada makeup aapke chehre ki sundarta ko bekar bhi kar sakta hai. Isliye hamesha light makeup ka istemaal karna chahiye.

Makeup, na keval chehre ki rangat ko nikharta hai aajkal ki ladkiya apne chehre ke makeup se kisi ko bhi aakarshit kar sakti hai. Ek achha makeup chehre ke keel, muhaso aur kale dhabbo ko chupane ka kam bhi karta hai isliye apne chehre ko khubsoorat banane ke liye aaiye jane Face Makeup Tips in Hindi aur dikhe sundar.
 

Face Makeup Tips in Hindi: Iss Tarah Se Kare Apne Chehre Ka Makeup

 
Face Makeup Tips in Hindi
 

Chehre Ko Acche Se Saaf Kare

Kisi bhi makeup ki shuruaat karne se pehle yeh bahut jaruri hota hai ki chehra acchi tarah se saaf aur dhula hua ho. Bina dhule hua chehra teliya yukt aur dhul aur mitti ke kano se pradushit rehta hai aese mai kisi bhi foundation aur creams ko lagane par chehre par dushprabhav bhi pad sakta hai.

Isliye chehre ko sabse pehle doye aur uske bad hi makeup ki shuruwat kare.
 

Sahi Moisturizer aur Creams Ka Istemal Kare

Chehre ko saaf karne ke bad aesi creams aur moisturizer ka istemaal karna chahiye jo ki chehre ki twacha mai suit kare. Aur aese products ka istemaal karna chahiye jo ki company ke ho aur bahut purani dates ke na ho.
 

You May Also Like:- Waxing at Home in Hindi: Anchahe Baalo Ko Hatane ke Upay

 

Aankho Ko Sundar Banaye

Sundar aankhe hamare chehreki sundarta ko aur badhati hai. Jab bhi koi hame dekhta hai to sabse pehle najar aankho par hi padti hai. Isliye aankho ka makeup bahut jaruri hota hai. Aankho ke dwara hi ham kisi ko bhi apni or aakarshit kar sakte hai.

Eye Makeup Tips bhi kai hai. Aankho ko khubsoorat banane ke liye bajar mai kai prakar aur company ke eyeliner aur kajal uplabdh hote hai jo ki aankho ki khubsoorati ko badhane mai madad karte hai. Iske sath hi palko ko ghani banana ke liye nakali palko ka istemal kiya jata hai. Iske bad aankho ka mascara aankho ko achha getup dene ka kam karta hai.

Iske bad bhi yadi aapko aur sundar look chahiye to aap apni dress ke rang ke anusar eyeshadow ka color chun sakti hai aur bana sakei hai apni aankho ko khubsoorat.
 

Baalo Ko De Parfect Hairstyle

Baal bhi chehre ki sundarta ko badhane mai madad karte hai. Lambe baal mahilao ki khubsoorati ka khajana hote hai. Yadi aap jyada khubsoorat nahi hai aur aapka rang bhi jyada gora nahi hai fir bhi aapke baalo ki ek achhi si hairstyle aapki sundarta ko badha sakti hai.

Yadi aapko apne baalo mai jayda hairstyle banate nahi bhi aati hai to aap ek juda banakar apne baalo mai kai prakar ki hair accessories bhi laga sakti hai.
 

Apni Hontho Ko Banaye aur Bhi Khubsoorat

Hontho ke makeup ke liye sabse pehle hontho ke charo taraf lip liner lagana bahut jaruri hota hai. Yadi sahi tarah se lip liner nahi lagaya jaye to lips mai kiya gaya makeup sahi tarah se nikhar nahi deta hai aur lipstick fail bhi sakti hai. Isliye sabse pehle lip liner se apni hontho ki border bana le fir usme apne favorite color ki lipstick ko lagaye isse aapki hontho ko achha shape aur look milega.
 

Face Makeup Tips in Hindi: Makeup Karte Samay Rakhe Inn Baato Ka Khyal

  1. Aankho ki sundarta ko badhane ke liye kisi bhi eyeliner aur mascara ka istemaal savdhani se kare.
  2. Chehre ke makeup ke liye istemal kiye jane wale foundation aur creams ko phele check kar le.
  3. Yadi aapki twacha sushk hai to cream mai thoda sa moisturizer ka istemal kare fir lagaye.
  4. Hontho mai lipstick lagane se pehle lip liner se lips li outline banana na bhule.
  5. Yadi aapke honth bahut mote hai to lip glass lagane se bache.

Upar aapne jana Face Makeup Tips in Hindi. Yadi aap bhi apne chehre ki khubsoorati ko nikharna chahti hai to diye gaye tips ko apnaye aur dikhe sundar.

Loading...

You may also like...