Face Scrub for Oily Skin Se Nikhare Roop-Rang

Aajkal bajar mai chehre ki dekhbal karne wale kai product mil jate hai. Jaise ki cream, fase wash, scrub aur bhi kai. Lekin inn utpado ko kharidna har kisi ke pahuch ki baat nahi hoti. Yeh kaafi mehange hote hai. Aur iske alawa unme istemal kiye jane wale rasayano se side effects bhi ho sakte hai jisse chehra accha hone ke bajay aur bhi bigad jata hai.

Isliye ham aapko bata de ki aap ghar par bhi face scrub taiyar kar sakti hai. Chahe fir aap santre ke chilke ka istemal kare ya fir khire ka, yeh aapke chehre ko andar se damka dega. Bajaru face scrub kharidne se accha hai ki aap ghar par hi face scrub taiyar kar le.

Gharelu scrub ko lagane se aapke chehre ko kisi tarah ka nuksan bhi nahi hota hai. Chehre ko scrub karna bahut jaruri hai. Kyoki isse chehre par jami mrit kosikaye saaf ho jati hai. Jiske chalte chehra aur bhi jyada saaf ban jata hai. Lekin har kisi ki twacha ek jaise nahi hoti. Kisi ki twacha rukhi hoti hai aur kisi ki teliya. Teliya twacha par jyadatar tel jam jata hai. Aur fir us par gandagi jamti hai. Aesi twacha walo ko face scrub ki sabse jyada jarurat hoti hai. To aaiye jante hai Face Scrub for Oily Skin ke bare mai.

Teliya Twacha Ke liye Yeh Scrub Hai Khas

Face Scrub for Oily Skin

Multani Mitti (Fuller’s Earth)

Multani mitti se bana scrub chikni aur chipchipi twacha ke liye bahut faydemand hai. Ise saftah mai do baar istemal karne se keel, muhase, blackheads sabhi dur hote hai aur rang bhi saaf hota hai. Multani mitti mai aadha cup santre ke chilke ka powder aur safed chandan ke 4 bade chammach dale. Inn sabhi samgriyo ko milakar botal mai bharkar rakh de. Jarurat ke mutabit isme dudh, pani ya dahi kuch bhi milakar paste banae aur iss paste ko aadha ghanta chehre par lagakar rehne de. Aadhe ghante baad ise dhire dhire ragad ke dho le.

Samudri Namak (Sea Salt)

1 table spoon lemon juice mai sea salt milaye. Fir iss mishran se chehre par massage kare. 5 minute se chehra dho le. Chehre ki scrubbing karne ke liye samudri namak kaafi accha hota hai aur nimbu aapke chehre se dag dhabbe bhi dur karta hai.

Tamatar (Tomato)

Mdhyam aakar ka tamatar lekar use kaat le. Uska ek piece chini mai duboe aur pure chehre tatha gardan par ragde. Pure 5 minute tak aesa kare. Ab kaate hue tamatar ka dusra piece lekar use pure chehre par lagaye. Isse chehre par nami aa jayegi. Kuch minute ke baad jab chehra sukh jaye tab halke garam pani se isse dho le.

Chini (Sugar)

Agar aap twacha ki mrit kosikao ko hatana chahte hai. To chini ka Face Scrub scrub aapke liye sabse accha vikalp hai. Chini twacha ki mrit kosikao ko nikalne ka kaam karti hai. Aur twacha ko kaafi acche se exfoliate karti hai. Iski wajah se aapko damakti tatha dosho se mukt twacha milti hai. Ek saaf bartan le thata usme aadha cup chini, namak, pisa hua daliya, pisa hua baadam, 3 chammach baadam ka tel tatha 4 chammach aavyashak tel dale. Inn sabko acche se milaye aur ek kanch ke jaar mai rakh de. Jab bhi aapko twacha ki mrit kosikaye nikalni ho to iss mishran ka scrub ke roop mai apne chehre tatha sare sharir par prayog kare. Yeh twacha ko nami pradan karta hai aur andar se saaf rakhta hai.

You May Also like:- Sensitive Skin ke Liye Khas Homemade Face Scrub

Akhrot (Walnuts)

Ek chammach sahad, ek chammach barik pisa akhrot, 1 chammach pisa badam aur aadhe nimbu ka ras milaiye. Ise chehre par lagaiye aur 10 min ke baad ise halke hantho se ragadkar pani se dho lijiye. Yeh sawendshil twacha ko andar se saaf karta hai.

Oatmeal 

Iss scrub ko banane ke liye ek chammach oatmeal lekar use pees le. ¼ chammach namak aur 12 chammach jaitun ka tel mix kare. Isse ek mahin paste taiyar kare, fir ise chehre tatha gardan par lagaye. Kuch minute rehne dene ke baad ise saaf pani se dho le. Oatmeal scrub aapke chehre par pade acne ke daag ko mitaega aur twacha ko saaf karega.

Khira

Ye scrub anya kisi bhi scrub ki tulna mai sabse jyada saral hai. 1 khira lekar use mash kar le. Fir use chehre par lagaye. Uske paschat kisi bhi ek direction mai massage kare. Chehre par se tel hatane ka yeh sabse saral tarika hai. Iske rojana istemal se twacha saaf aur teliya rahit ho jayegi.

Strawberry

2-3 Strawberry lijiye, fir usme 1 chammach oatmeal le aur aadha chammach nimbu ka ras le. Strawberries ko mash kar le, uske baad usme pisi hui dalia milaye, fir thoda nimbu ka ras milakar paste bana le. Aankho se duri banate hue face par lagaye. Chehre par 3 se 5 minute massage karne ke baad pani se dho le. Iske baad aapko khud hi difference dikhega.\

Santra (Orange)

Santre ke chilke ko puri tarah se sukhakar mahin powder bana le. Fir 2 chammach santre ke chilke ka powder lekar usme 2 chammach oatmeal powder, 1 chammach sahad aur 1 chammach pani milaye. Yeh mishran se chehre par massage kare, fir use pani se dho le.

 

Loading...

You may also like...