Bukhar se koi bhi vyakti pidit ho sakta hai. Kai bar mousam ke badalne par, jyada thakan ya fir sankraman ke hone par vyakti isse grasit ho jata hai. Bukhar wale vyakti ko kuch bhi khane ka man nahi karta hai aur use muh mai kadwapan mehsus hota hai.
Lekin kya aap jante hai bukhar hone par aapko kabhi khana khana nahi chodna chahiye, isse aapke sharir mai aur bhi jyada kamjori aa jati hai tatha sharir ki bimari se ladne ki pratirodhak kshamta bhi kam ho jati hai. Isliye bukhar hone par aapko poshtik aahar khana chahiye.
Bukhar hone par bahut jaruri hai ki aap poshan tatvo se bharpur tatvo ka sevan kare tatha halka khana khaye jise pachne mai jyada samay na lage. Iss lekh mai ham aapko bukhar hone par kis tarah ka bhojan karna chahiye, iske bare mai jankari de rahe hai. Aaiye jante hai Fever Diet Tips in Hindi.
Fever Diet Tips in Hindi: Bukhar mai Kare Inn Aaharo Ka Sevan
Taje Phalo Ka Sevan Kare
- Bukhar mai aapko dast, ulti, pasina jaisi pareshaniya bhi hoti hai jisse rahat dilane ke liye kele ka sevan karna faydemand hota hai.
- Bukhar mai taaje phalo ka sevan karna swasth ke liye accha rehta hai. Taje phal jaise santre, mosambi, tarbooj, pineapple, kiwi aadi mai vitamin C aur antioxidant tatva bharpur matra mai paye jate hai.
- Aap chahe to phalo ka ras bana kar bhi pee sakte hai parantu usme jyada chini ko na dale. Ho sakte to natural juice hi piye kyonki jyada chini ka sevan aapki sehat ke liye liye accha nahi hota hai.
Khub Pani Piye
- Sharir mai pani ki kami hone ke karan bacteria jyada panapte hai.
- Jyada pani pine se safed koshikao ki sankhya badti hai aur yeh aapna kaam acche se karti hai.
- Iske alawa pani ko jyada pine par sharir mai moujud vishakt padarth bhi bahar nikal jate hai.
- Bukhar hone par jyada se jyada pani piye kyonki bukhar ke douran hamare sharir mai pani ki kami aa jati hai.
Sabjiyo Ko Aahar mai Shamil Kare
- Hari sabjiyo ka sevan kare aur coffin ka sevan kam kar de.
- Bhap se paki hui ya ubli hui sabjiyo ka sevan jyada se jyada kare.
- Soup ko apne aahar mai shamil kare jaise tamatar, palak, aadi ka soup pina kaafi sehatmand hota hai.
Protein Ki Matra Ko Bhojan mai Shamil Kare
- Bukhar ke douran protein ko apne aahar mai shamil kare. Aesa karne se aapki pratirodhak pranali majboot banti hai.
- Low fat dudh aur dahi mai kaafi matra mai protein hota hai isliye inka sevan jarur kare, aap chahe to chai ya coffee ka sevan bhi kar sakti hai.
- Ande ka sevan kare kyoki isme acchi matra mai protein hota hai tatha yeh safed rakt koshikao ko badane mai bhi madad karta hai.
Faydemand Daliya
- Aap daliya ko dudh mai dalkar bhi kha sakte hai isse aapko protein aur poshak tatva dono sath mai milega.
- Jin logo ko meethi daliya pasand nahi hai we namkeen khichadi ki tarah bhi ise bana sakte hai.
Mung Dal Ki Khichadi
- Dophar ya raat ke samay mung dal ki khichdi kha sakte hai.
- Isse aapko apchay ki samasya nahi hogi aur yeh jaldi bhi pach jayegi.
- Yeh sabse acchi Diet in Fever mana jati hai.
Chicken Soup Piye
- Chicken soup pine ke bad swad granthiya bhi khul jati hai tatha yeh kamjor sharir ke liye kaafi faydemand hota hai.
- Jo bhi vyakti bukhar se garst hai unhe taral padartho ka sevan karna chahiye aur chicken mai bhi protein aur poshak tatva hote hai.
- Chicken soup ko pine se bukhar ke bacteria jaldi nasht ho jate hai tatha sharir ki rog pratirodhak shamata bhi badti hai.
- Aap chahe to chicken ke sath hari sabjiya milakar bhi soup taiyar kar sakte hai kyonki yeh bhi sharir mai antioxidant tatvo ko pahuchata hai.
- Chicken dusre vyanjano ki tulna mai jaldi pach jata hai kyonki iske soup ko makkhan, kali mirch aur namak dalkar banaya jata hai.
Angelica ki Jad Ko Soup mai Milakar Piye
- Jab yeh soup garam ho tab hi iska sevan kar le.
- Yeh bhojan ko pachane mai bhi sahayak hota hai.
- Isko pine se yeh aapke sharir ka bada hua tapman kam karti hai.
- Bukhar se jaldi nijat pane ke liye soup mai angelica jad ko milakar piya ja sakta hai.
Kuch aur Khadya Padartho Ka Sevan Kare
- Bukhar se ladne mai kishmish bhi bahut faydemand hoti hai kyonki isme antioxidant tatva tatha vitamin C bhi paya jata hai.
- Lehsun ka bukhar mai sevan karne par sharir ka tapman kam hota hai tatha yeh aapke sharir ko sankraman se bachati hai. Yeh ek faydemand Home Remedy for Fever
- Dophar ke khane mai carbohydrate ka sevan kare aur apchay ko dur bhagane ke liye brown bread ka sevan kar sakte hai.
- Raat ke khane mai jaldi pachne wale aahar ka sevan kare ya ankurit anaj ka sevan bhi kar sakte hai.
Uppar aapne jana Fever Diet Tips in Hindi. Yadi aapko ya aapke parivar ke kisi sadasya ko bukhar hai to unke aahar mai uprokt padartho ko jarur shamil kare.