Foods to Increase Blood Platelets – Inn Aaharo Ka Sevan Kare

Blood Platelets chhote chhote cells hote hai. Yeh sharir ko chot lagne par hone wali rakt ki hani se raksha karte hai. Rakt mai paye jane wale inn platelets ka koi aakar ya rang nahi hota aur yeh chipchipe hote hai. Nimn karano se hamare rakt mai iski sankhya kam ho jati hai jaise sharab pine ke karan, anuvanshikta ke chalte, dawao ka atyadhik sevan karne par, garbhavastha mai aadi.

Jab platelet ki sankhya sharir mai kam ho jati hai to use thrombocytopenia kaha jata hai. Yeh ek swasthya ka vikar hai, jisme platelet ki sankhya samanya se kam ho jati hai. Yadi ham swasth vyakti ki baat kare to unme samanya platelet count 150, 000 se 450,000 hota hai. Wahi jan sankhya 150,000 per microlitre se  bhi kam hai to ise kam platelet count mana jata hai.

Jab bhi koi chot lagti hai to yeh koshikaye kshatigrast rakt wahikao ko bandh kar rakt ka thakka bana leti hai. Darahsal yeh platelet kai bar makdi ka jala ya octopus ka aakar bhi le sakte hai. Vaise to platelet kam hone ke liye dawaiya moujud hai kintu kuch aaharo ka sevan bhi blood mai platelet ki sankhya badhata hai. Aaiye jane Foods to Increase Blood Platelets.
 

Foods to Increase Blood Platelets – Prakratik Roop Se Badhaye

 

 

Bharpur Pani Piye

Hamare sharir ka 70 pratishat hissa pani se bana hai. Hamare sharir ki rakt koshikaye pani aur protein se bani hai. Isliye din bhar pani pina bahut jaruri hota hai. Khoon mai platelet ka izafa karne ke liye aapko pani ka sevan to karna hai lekin iska temperature samanya hona chahiye.

  • Aapko thanda pani peena avoid karna chahiye. Isse aapka pachan tanra kharab hota hai.
  • Yadi aap rojana 8 se 10 glass pani pee lete hai to isse aapke sharir mai rakt koshikaye to badhegi hi sath hi sath blood platelet count bhi badhega.

 

Anar Ka Sevan

Anar khane ke bahut fayde milte hai. Foods that Increase Blood Platelets mai bhi iska naam shamil hai. Iska laal rang se isme moujud iron ke bare mai pata chalta hai. Yadi ise niyamit roop se liya jaye to isse platelet ki sankhya badhti jati hai. Garbhavati mahilao ke liye bhi anar bahut faydemand hai.

  • Anar ko aap direct bhi kha sakte hai ya fir iska juice bhi bana kar pee sakte hai.
  • Aapko rojana 150ml tak ka anar ka juice 2 hafto tak rojana pine par fayda milega.
  • Anar vitamin se bharpur hota hai isse aapko dengue ke fever se ladkne ki shakti milti hai.

 

Vitamin A Se Bharpur Khadya Padarth

Platelet ke banne ke liye vitamin A bahut jaruri hai. Yeh hamare sharir mai protein banane ka kaam bhi karta hai. Darahsal protein aapke sharir mai koshikao ke vibhajan aur vikas ka karya kara hai. Isliye hamare sharir ko karya karne ke liye protein ki aavyashakta bahut adhik hoti hai.

  • Sharir mai protein ki jarurat ko pura karne ke liye gajar, kaddhu, shakarkand, gobhi aadi ka sevan kar sakte hai.
  • Kaddhu ke aadhe glass juice mai aadha chammach shahad milakar aap pee sakte hai. Jyada fayde ke liye ise din mai do se teen bar le.
  • Gobhi aapke rakt mai platelet ke star ko badhava dene mai madad karti hai. Aap ise sajbi ke roop mai ya salad ke roop mai kha sakte hai.

 

Dudh

Dudh mai calcium ki matra bahut adhik hoti hai, jo aapke sharir ko platelets ke utpadan mai madad karta hai. Dudh mai moujud calcium aapki Platelet Count badati hai aur rakt ko thakke ke gathan mai madad karti hai, khaskar jab kisi tarah ka raktstrav hota hai.

  • Dudh ke alawa aap calcium ke star ko banaye rakhne ke liye paneer, dahi aadi ka sevan kar sakte hai.
  • Badam ka dudh pina bhi sharir ke liye bahut faydemand hota hai.

 

Anya Khadya Padarth Inhe Bhi Janiye:-

  1. Sesame Oil, blood platelets badhane ke liye sabse faydemand mana jata hai. Aap acchi quality ka sesame oil din mai do bar consume kar sakte hai.
  2. Lean protein foods zinc aur Vitamin ke accha strot hai. Yeh thrombocytopenia ke prabhav ko ulta karta hai.
  3. Papaya ka sevan rakt ke nirman aur platelets ki sankhya ko badhata hai. Yeh aapke pet ke liye bhi accha hai.

 
Upar aapne jana Foods to Increase Blood Platelets. Upar diye gaye aahar aapke sharir mai platelets badhane mai madad karta hai. Jab aapke sharir mai iski sankhya kam ho jati hai tab aesi activity na kare jisme chot lagne ki aashanka rehti hai.

Loading...

This website uses cookies.