Foods Rich in Omega 3 mai Chupe Hai Swasthvardhak Laabh

Aapne kai baar omega-3 acid ka naam suna hoga par shayad hi aap iske laabh ke baare mai jante hoge. Isliye aaiye aaj iss article mai hum aapko batate, Omega 3 Benefits in Hindi. Jisse aap iss poshak tatva ke guno ke baar mai janyenge.

Omega-3 fatty acid ko prapt karne ke liye adhiktar log machali ke oil ki goliya lete hai, jisse hum fish cod liver oil bhi kahte hai. Ve jinhe ab samjh nahi aaya ki yah poshtik tatva kya cheez hai, to hum bata de ki yeh ek tarah ka fats hota hai.

Ji ha ab aap yeh soch arhe honge ki,  fats bhala swasth vardhak kaise ho sakta hai? Ho sakta hai isme accha cholesterol mila ho to. Acche cholesterol wala fats dil ke liye bhut accha mana jata hai.

Omega 3 Benefits in Hindi, Janiye iss Jaruri Poshak Tatva ke Fayde

Omega -3 body ke liye ek acha polyunsaturated fats hai. Yeh dimag ko shucharu roop se chalane, hirdya ko sehatmand rakhne, aakho se judi samasya se nijaat pane, tanav depression aur cancer ke ilaj mai fhayedemand hai. humari body iss fatty acid ka nirman nahi kar sakta, isliye hume apni diet mai isse jarur shamil karna chaiye.

Iss ko sabne maan liya hai ki, omega-3 fatty acid cholesterol ko badhane aur dil ki bimari ko dur karne  mai bahut madadagar hota hai. Yehi nahi agar aap motape ka shikar hai to yeh omega 3 fatty acid use kam karne, wrinkle ko katane aur cancer jesi janleva bimariyo ko dur karne mai maddad karta hai.

Omega 3 Benefits in Hindi

Halki aapko iss baare mai koi jankri nahi hogi ki, yeh poshak tatav mahilao ke swasth ke loye bahut accha hota hai. Mahilao ke aahar mai omega 3 fatty acid hona bhaut jaruri hai, kyoki yeh kai women health problem ko dur karta hai.

Exapmale ke tor par janleva bimar  jese istan cancer ki rokdham ke liye iska  use kiya jata hai. Agar niyamit tor se mahilaye iska sevan karti hai to isse polycystic ovary, periods  ke douran ka dard aadi sabhi bimariya khatam ho jati hai.

Foods Rich in Omega 3,  Sahi Khadya Padarth ke Dawara Paiye Sahi Swasth

To chaliye ab hum aapko batate hai, Foods Rich in Omega 3. Jisse aap jan jayengi kon se aahar ke sevan se aapko iss poshak tatva ki bharpur matra mil sakti hai.

Fish ke oil ki goliya, omega3 fatty acid se bharpur bhojan ,fish, canola, oil, soybean ka oil, flack seeds aur sea food aadi in ka sevan karne se dil majbut hota hai aur rakt chap kam hota hai.

Akhrot

Isme vitamin E aur omega 3 hota hai. Yeh dil ke liye accha mana jata hai aur saath hi yeh skin mai khichav bhi paida karta hai. Isme magnesium, copper aadi poshak tatva bhi paye paye jate hai.

You may also like:- Walnuts Health Benefits: Akhrot ke Swasthwardhak Laabh

Fish

Har tarah ki fish mai omega 3 fatty acid paya jata hai. magar salmon fish mai yeh jyada hota hai. Isliye aap fish ka sevan jarur kare.

Jaitun ka Tel

Olive oil mai accha cholesterol hota hai. Saath hi yehb omega 3 fatty acid bhara hota hai. Isliye aap rozana iss oil ka sevan kare.

Alsi

Alsi ka oil ko apne khane mai jarur shamil kare. Kyoki alsi mai omega 3 bharpur paya jata hai. Isme khafi tarah ke poshak tatva moujud hote hai. Yeh fiber aur protein ka ek acha istrot hai. Isse din bhar mai 15 gram le sakte hai.

 Egg

Egg mai omega3 fatty acid hota hai. Saath hi yeh dil ke liye bhi accha hota hai. Isse cholesterol wale mariz bhi kha sakte hai.

Foods Rich in Omega 3, Iss Aahar se Paiye Aachi Sehat

Foods Rich in Omega 3

Meat

Meat khane se body ko prakriti tarike se omega3 prapt hota hai. Iss liye aap apne aahar mai meat ka sevan jarur kare.

Canola oil /White Sarso oil

Yeh oil dil ke liye bhut swasth vardhak hota hai. Aisa isliye kyoki isme accha cholesterol paya jata hai. Isliye bahut se log apne rasoighar mai isi oil ka use karte hai.

Sea Food

Sea food jaise prawn, jhinga, oyster aadi mai bhut sa omega3 fatty acid hota hai. Vo prani jo thande pani mai rahte hai, unke andar bhut sa omega3 hota hai.

Avocado

Is fruit mai kai swasth vardhak gun chupe hue hai. Iss fruit ko khane se aapko 250 gram accha cholesterol prapt hoga. Isliye aap rozana is phal ka sevan jarur kare.

Kaddu ka Beez

Foods Rich in Omega 3 ki baat kare to kaddu ke beez ka naam sabse pahle aata hai. Alsi ke beez  ke baad kaddu ke beez me hi aise gun hai jo aapko omeg-3 ki bharpur matra de sakte hai. Isliye aap iss beez ka sevan jarur kare.

 Berry

Berry na keval antioxidant, vitamins ka acha istrot hai, balki isme omega3 paya jata hai. Blue berry mai 174  milligram omega 3 paya jata hai.

Rai ka Tel

Rai mai saturated fats kam hota hai aur isme omega 6 aur omega 3, dono tarah se fatty acid paye jate hai. Anya oils mai soyabean, akhrot, alsi ka oil bhi fhaydemand hai. Din bhar mai iss oil ki sirf 3 se 4 spoon se jayada na le.

Soyabean

Omega 3 se bharpur soyabean ka sewan tofhu, dudh aadi ke roop mai kiya jata hai. Isme protein, Isoflavones, fiber, lecithin, carbohydrates aur micronutrients paye jate hai. Jo log  dudh dahi nahi pachate, wo log soyabean dudh le sakte hai. Prati 100 gram dudh mai 40 gram protein hota hai.Isliye aap rozana  450ml dudh le sakte hai.

Beans

Beans me fat kam hota hai. Iske sevan se body ko polyunsaturated fats milta hai. kale beans ya rajma ke sevan se aapke sharir ko  omega-3 ke saath omega-6 bhi milta hai.

Upar aapne jana Foods Rich in Omega 3. To bas der kis baat ki aaj se in khadya padarth ko pane aahar mai shamil kijiye tatha hamesha swasth rahiye.

Omega 3 se sambhandhit jankari ke liye yaha jaye Food.

Loading...

You may also like...