Foods to Avoid During Pregnancy: Garbhavastha ke Raaz

Garbhavastha ke douran hone vali maa ko poshak aahar lene ki salah di jati hai. Lekin swasth aahar khane ke alawa grabhvati mahilao ko kuch vishesh khadya padarth se bachna chahiye kyoki maa jo kuch bhi khati hai uska seedha asar unke bacche par padta hai. Isliye garbhvati mahilao ko sahi aahar lena bahut jaruri hota hai.

To chaliye aaj hum aapko batate hai, Foods to Avoid During Pregnancy. Jisse aapko is baat ki sahi jankari hogi ki maa banane par aapko konse khadya padarth ka sevan nahi karna chahiye.

Foods to Avoid During Pregnancy: Garbhavastha me Na Kahye Ye 5 Khaye Padarth

Niche humne 5 khadya padarth diye gaye hai, jinka sevan Pregnancy ke douran kabhi bhi nahi karana chahiye.

You may also like: Pregnancy Diet in Hindi: Garbhavastha Mai Sahi Aahar

See Food

• See food me omega 3 aur fatty acid hota hai, jo baacho ke liye faydemand hota hai. Lekin pregnant lady le liye nahi.
Pregnant lady ko ve padarth khane se bachna chahiye, jinme mercury aadhik matra me hota hai. Kyoki adhik mercury vala samudari bhojan bacche ke dimag ko nuksaan pahucha sakta hai.
• Salmon, crab or shark ka meat khane se bache. Generally is prakaar ki macchli me mercury hota hai.

Kacche Khadye Padarth

Foods to Avoid During Pregnancy me sabse important point hai ki, kacche khadya padarth na khaye. Is prakaar ke padarth me bacterial ya virus hote hai. Jo embryo aur maa ke liye bahut khatarnaak ho sakte hai.
• Acchi tarah se paka hua aur chune huye padarth se bana hua bhojan ka sevan karna chahiye. Bacterial aur virus se sankramit bhojan na khaye.

Aise Padarth Jo Pasteurized Na Ho

• Garbhvati mahilao ko aise dairy product se bachna chahiye, jin par pasteurized ki prakiya acchi tarah se na ki gai ho. Aap mozzarella or skim milk (malai se nikla hua dudh) le sakte hai. Par feta or brie (ek prakar ka paneer) khane se bache.
• Hamesha dhyan rahe ki, uchit tarike se bane huye dahi aur dudh ka sevan karna chahiye.

Bina Dhule Phal ya Sabji

Pregnancy ke douran pakke hua khadya padarth khaye.
• Phal ya sabji tatha aise khadya padarth jinhe khane se pahle dhone ke jarurat hoti hai, unhe bina dhula na kahye.

Coffee, Chai aur Sharab

• Prasav ke douran jatiltao se tatha embryo me janm dosh se bachne ke liye pregnancy ke douran chai, coffee aur sharab ke sevan karne se bache.
• Inn tino pine wale padarth ke atyadhik sevan se garbhpaat ho sakta hai.

Upar humne aapko bataye Foods to Avoid During Pregnancy. Jisse ki aap in sab khadya padarth ka sevan na karke ek swasth pregnancy ko enjoy kar sakte hai.

Get more updates about Foods to Avoid During Pregnancy from Diet And Fitness.

Loading...

This website uses cookies.