Foods to Increase Hemoglobin: Isko Badhane ke Aasan Tarike

Khane mai poshak tatvo ki kami ke karan blood mai hemoglobin ka level ghatata hai. Khane mai iron ki kami ke karan yeh iska level ghatata hai.  Khane mai iron aur protein se bharpur tatvo ko shamil karke hemoglobin ka level badhaya ja sakta hai. To aaiye jante hai Foods to Increase Hemoglobin, jiski madad se aap iske level ko badha sakte hai.

Kidney ki jyadatar samasyaye hemoglobin ke level ke karan hoti hai. Jab kidney erythropoietin ka utsarjan kam matra mai karta hai to yeh samasya aati hai. Erythropoietin ek prakar ka hormone hai jo laal rakt-kanikao ke nirmann mai sahayak hota hai.

Sharir mai hemoglobin ka samanya level purush mai 14-18 gm, mahilayo mai 12-16 gm mapa jata hai. Hemoglobin ki kami se khoon mai oxygen vahan ki kshamta kam ho jati hai. Jiske karan laal rakt-kanikao ki sankhya kam ho jati hai aur anemia ho jata hai.

Yadi sharir mai hemoglobin ka level kam rehta hai to gurda rog, khoon ki kami, cancer jesi bimariya hone ki sambhavna hoti hai. Hemoglobin ka level kam hone se chakkar aana, twacha ka pila hona, susti chhana jesi samasyaye hoti hai.

Foods to Increase Hemoglobin: Inn Khadya Padarth ki Madad se Badaiye

Hemoglobin ko badhane mai sabse jyada yogdan khan-paan ka hota hai. To aaiye jante hai kuch Foods to Increase Hemoglobin.

1) Chukandar:- Isme iron ke tatva jyada matra mai hote hai. Yeh khoon mai hemoglobin ka nirmann aur rakt kano ki sakriyata ko badhata hai. Chukandar se jyada loha tatva iski pattiyo mai hota hai.

You may also like:- Beetroot Benefits for Skin: Chukandar se Chamkaiye Twacha

2) Amrud:- Amrud jitna jyada paka huya hoga, utna hi poshtik hoga. Pake huye amrud ko khane se sharir mai hemoglobin ki kami nahi hoti hai.

3)  Aam aur Seb:- Aam khane se humare sharir mai rakt adhik matra mai banta hai, anemia mai yeh faydemand hota hai. Deb anemia jesi bimari mai laabhkari hota hai. Seb khane se sharir mai iska level badhta hai aur aap swasth rehte hai.

4) Angur:- Angur mai bharpur matra mai iron paya jata hai. Jo sharir mai hemoglobin banata hai. Iske alawa angur hemoglobin ki kami se hone wali bimariyo ko thik karne mai sahayak hota hai.

5) Tulsi:- Tulsi rakt ki kami ko kam karta hai. Tulsi ke niyamit sevan se sharir mai iski matra badhti hai aur aap tarotaaza mahsoos karte hai.

6) Hari Sabjiya:- Sharir mai hemoglobin ke liye jyada se jyada hari sabjiyo ko apne bhojan mai shamil karna chahiye. Iske alawa til, palak, anda, nariyal, jamun, nashpati, daliya aadi khane se hemoglobin ki matra badhti hai.

Herbs to Increase Hemoglobin: Iski Madad se Badhaiy Hemoglobin

Herbal dawa bhi hemoglobin ka level badhane mai mahatvapurna bhumika nibhate hai. Yeh jadi bootiya kuch iss prakar hai:-

  • Withania:- Hemoglobin ka level badhane ke liye iska istemaal bahut pehle se kiya ja raha hai. Yej laal rakt-kanikao koshikao mai sudhar karta hai. Iske alawa yeh sharir ko urja pradan karta hai, nervous system ko niyantrit karta hai.
  • Dong Quai:- Iska prayog china mai masik dharm ke douran laal-rakt kanikao ko badhane ke liye iska prayog kiya jata tha.
  • Nettle Leaf:- Isme sabhi Vitamin aur Minerals paye jate hai. Isme jyada matra mai Iron, Vitamin B, Vitamin E, Calcium, Magnesium, Potassium, Zinc aadi paya jata hai, jo hemoglobin ke level ko badhata hai.

Inn sabke alawa niyamit roop se yoga aur vyayam karna chahiye, isse sharir swasth rehta hai aur sharir ki rog-pratirodhak kshamta majboot hoti hai. Agar aapka hemoglobin ka level kam hai to chikitsak ki salah avashya lijiye.

Upar aapne jane Foods to Increase Hemoglobin ke bare mai kuch jaruri baate. To agar aap bhi iss samasya se pareshan hai aur apne hemoglobin level ko badhana chahte hai to inn khadya padarth ki madad se aap badha sakti hai.

Get more details from Food.

Loading...

This website uses cookies.