Foot Care Tips in Hindi: Pairo ki Sundarta ko Badhane ke Liye

Kitna kuch sahate hai humare pair aur jab baat unki dekhbhaal ki aati hai to hum unhe nazarandaaz kar dete hai. Pedicure na sirf humare pair ko naram aur najuk banana mai madad karta hai, balki unki sehat ka bhi khayal rakhta hai. Foot Care Tips in Hindi ki sahayata se aap apne pairo ki sundarta ko aasani se bada sakte hai.

Pedicure vibhinn prakar ke hote hai jinke jariye aap apne pairo ki khubsoorti ko sawaar sakte hai. Iske jariye aapke pairo mai rakt sanchar badhta hai aur iss mai istemaal hone wale tel se aapka sampurnn mood fresh ho jata hai.

Har vyakti apne aap sundar aur swasth rehna chahta hai. Phir chahe wah mahila ya baccha ya phir purush. Aisa tabhi sambhav hai tab aap apne pure sharir ki sahi dekhbhaal karege. Lekin baat jab khubsoorati ki aati hai, to hum apne chehre aur twacha par hi adhik dhyan dete hai. Aur iss puri prakriya mai humare pair andekhe reh jate hai.

Foot Care Tips in Hindi: Fate Pairo ke Upchar ke Liye Beauty Tips Aazmaye

Sone aur nahane se kuch samay pehle aap acchi tarah se apne pair mai olive oil ya sarson ka tel laga le, yadi chahe to saath hi vaseline, Vitamin E bhi prayog mai liya ja sakta hai. Iss baat ka dhayan rakhe ki hamesha apne pairo ko jyada samay tak gila na rakhe. Pairo ko acchi tarah saaf rakhe, adhik garam pani  ka upyog na kare.

You may also like:- Lips Care Tips in Hindi: Sukhe Aur Fate Hontho ki Dekhbhal

Sundar Pair ke Liye Paryapt Aahar

Khoob Sara Pani Piye:- Pairo ki khubsoorti ko badhane ke liye rozana 8 glass pani pina shuru kar dijiye, jisse ki aapka sharir tarr ho jayaga aur aapke pairo mai chamak aa jayegi.

Sundar Pair ke Liye Aahar:- Paryapt matra ke liye aap apne aahar mai sitrus fruit jese santra, kiwi, strawberry aadi apne diet mai shamil kar dijiye. Iske saath hi omega three fatty acid jo ki akhrot, avocado, machhli mai milta hai jisse aapke pairo ka blood circulation bhi bana rahega.

Sundar Pair ke Liye Kuch Khaas Tips

  • Namak ke Pani se Dhoye:- Apne pair ko nahane ke aadhe ghante tak halke garam pani mai namak daalkar rakhe. Namak ka pani sharir ko shushk banata hai aur pasina aane se rokta hai jisse pairo mai badbu nahi aati hai.
  • Pani aur Chai ki Patti:- Pairo ki badbu ki samasya se bachne ke liye ek tub mai garm pani le aur chai ki patti ya tea bag dale. Lagbhag aadhe dhante tak apne pairo ko iss chai patti yukt pani mai rehne de. Iss prakriya ke niyamit istemaal se jaldi hi aapko iss samasya se nijaat mil sakti hai.
  • Fruit Scrub:- Pairo ki badbu se bachne ke liye aap scrub ki madad se sakte hai. Adrak, muli aur nimbu ko milakar banaye gaye fruit scrub ko pairo par acche se lagaye aur halke haato se massage kare. Iss scrub ko hafte mai 2 baar lagaye.
  • Talcum Powder ka Istemaal Kare:- Agar aapke pairo mai jyada badbu aa rahi hai to aap turant ke liye talcum powder ka prayog kar sakte hai. Isse pairo mai aane wali badbu kam ho jayegi aur aapke pair lambe samay tak mahakege.

Barsat ke Mausam Mai Apne Pairo ki Kare Sahi Dhang se Dekhbhal

Barsat mai apne pairo ki khaas dekhbhal rakhe, pairo ko acche quality ke sabun se dhoye, pani mai savlon ya dettol jarur milaye. Pairo ko dhone ke bad toliye se acche se sukha kar unn par powder chidke uske baad jute ya chappal pehne. Aise mausam mai khule jute ya chappal pehne jo aasani se sukh jaye.

Pairo se Judi Kuch Aam Samasyaye
  • Barsat mai bhigne ke karan aapke pair ki ungliyo mai fungus infection bhi ho sakta hai.
  • Barish mai jagah-jagah pani jama ho jata hai aur kai baar chahe-unchahe aapko usme paidal chalna padta hai. Aise mai aapke pairo mai pathar ya anya kisi nukili chiz se chot lagne ki bhi sambhavna rehti hai.
  • Barish ke dino mai kide bhi bahar nikal aate hai, jinki wajah se aapke pairo mai sankraman ho sakta hai.

Upar aapne jane Foot Care Tips in Hindi. To agar aap bhi apne pairo ki khubsoorati ko badhana chahte hai to inn upay ki madad se aap apne pair ko sundar bana sakte hai. Isse aap apne pair ko sundar bana sakege.

Pairo se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Beauty Tips in Hindi.

Loading...

This website uses cookies.