Frozen Food: Janiye Isse Jude 6 Samanya Myths

Bahut se log apni dincharya mai kaafi vyast rehte hai. Aese mai unke paas khana banane jaisi chizo ke liye bhi wakt nikalna kaafi mushkil hota hai. Aese mai ya to wo bar bar restaurant ki taraf rukh lete hai ya to jaldi se banne wale khane ke tarike talashte hai.

Iss tarah ki families ke liye jinki daily schedule bahut hi hectic hota hai unke liye frozen food bahut hi kaam aata hai. Yeh bahut hi aasani se to ban janta hai, lekin kai bar frozen food ka sevan karne se aapke sharir ko jaruri nutrients nahi mil pate hai.

Frozen food ke bare mai kai log kai bate kehte hai. Yeh aapki bhukh ko chutki mai mita dete hai. Lekin aapko iske bare mai sahi jankari to hona chahiye. Aaiye jane Frozen Food Myths in Hindi.
 

Frozen Food Myths in Hindi: Kya Hai Iss Aahar Ki Sahi Jankari

 
Frozen Food Myths in Hindi
 

Myth1: Nutritious Ki Matra Bahut Kam Hoti Hai

  • Aesa kaha jata hai ki frozen food mai nutrients ki matra bahut kam hoti hai. Lekin ham aapko bata de ki kai bar yeh fresh food se bhi jyada nutritious ho jata hai.
  • Kyoki jab aap fresh food lete hai to, darahsal ise pakne se pehle hi tod liya jata hai aur fir milo dur kai jagaho par bheja jata hai. Tak tak aapke plate tak pahuchne se pehle iske kai nutrition value kam ho jati hai.
  • Wahi yadi ham frozen food ki baat kare to pehle ise acche se pakaya jata hai. Fir iss food ko acche se jama diya jata hai.

 

Myth2: Cooking Ke Bad Isme Koi Nutrition Nahi Bachte

  • Ham aapko bata de ki food chahe fresh ho ya frozen pakane par uske kuch poshak tatva nasht ho jate hai.
  • Yadi aap chahte hai ki frozen food ko pakane se uske pure nutrients khatam na ho, to unhe ubalne ke bajay microwave mai steam de.
  • Steamed vegetable mai boiled vegetable ke tulna mai jyada poshak tatva hote hai.

 

Myth3: Frozen Food Bahut Jyada Expensive Hote Hai

  • Aesa kaha jata hai ki Frozen Products, fresh food ki tulna mai bahut mehnge hote hai. lekin aesa kuch nahi hai. Kai bar kuch fresh khadya padarth, frozen se bhi jyada mehnge aate hai.
  • Aur aesa yadi nahi bhi ho to bhi aapko yeh restaurant ke bill se to kam mai hi padhega.
  • Off season hone par to frozen food aur bhi jyada saste hote hai. Aese mai yadi aapke freezer mai jagah jyada ho to aap jyada quantity mai ise kharidkar rakh le to aap saal bhar ke beel mai kaafi paise bacha sakte hai.

 

Myth 4: Aahar Ko Freeze Karne Se Bacteria Mar Jate Hai

  • Jab bhi aap kisi fresh food ko freeze karne ka sochte hai to isme aapko kuch safety tips dhyan mai rakhni hoti hai.
  • Freezing karne se bacteria inactive ho jate hai, par iska matlab yeh bilkul bhi nahi hai isse bacteria ki risk khatam ho jati hai.
  • Jaise hi khadya padarth ko wapis se defrost karte hai, us par harmful bacteria bane rehte hai. Yadi aap chahte hai aahar khan eke liye safe ho to use sahi temperature par banaye rakhna chahiye.
  • Yadi aap khud se freezing kar rahe hai to ek baat ka khayal rakhe ki. Pehle acche se apne hatho ko dhoye, fir jis bhi food ko freeze karne wale hai use dhokar acche se sukha le.

 

Myth5: Frozen Food Lambe Samay Tak Chalte Hai

Yeh such hai ki frozen food, fresh food se jyada lambe samay tak chalte hai. Lekin ham aapko yeh bhi batade ki jyada samay tak rakhne ke karan wo poshak tatva aur swad kho dete hai. Ham aapko kuch frozen food ki samay avadhi ke bare mai bata rahe hai.

  • Sabjiya aur phal: 8-12 mahine
  • Soup 2-3: mahine
  • Kaccha meat: 4-12 mahine
  • Cooked meat: 2-4 mahine

 

Myth6: Kisi Bhi Food Ko Aap Preserve Kar Sakte Hai

  • Aese bahut sare aahar hai jinhe aap preserve karke rakh sakte hai aur isse unke swad aur aakar mai badlav nahi aata hai.
  • Kuch aahar ko aap freeze nahi kar sakte, kyoki we apna swad kho dete hai. Jaise ki aesi sabjiya jine coffee bahut jyada hoti hai jaise tarbooj aur salad.
  • Iske alwa coffee aur ice-cream based sauces ko bhi aap store karke nahi rakh sakte.

 
Upar aapne jana Frozen Food Myths in Hindi. Aapko isse judi sari jankari mil chuki hai to jab bhi aap frozen food stock karne ka soche. Sari chizo ko dhyan mai rakhe. Koi bhi packet ko kharidne se pehle uske nutrition facts padh le.

Loading...

You may also like...