Jin logo ka pet phula hua rehta hai, unhe fitting wali dresses dekhkar lagata hai ki kas wo unhe pehan pate. Aur aesa ho bhi kyu na har koi chahta hai ki wo modern aur trendy dikhe. Lekin pet ke nikle rehne ke karan wo ise nahi pehan pate hai.
Kai log aesi bhi shikayat karte hai ki unka pura sharir shape mai aur keval pet phula hua hai. Jabki we fast food jaisi chizo se dur rehte hai aur health living ke liye phalo ka sevan karte hai. Sath hi kuch logo ko pet mai dard ki samasya bhi hai.
Darahsal pet ka phulna, gas banna aur usme dard hona inn sab ko stomach bloating kaha jata hai. Yadi aapka vyayam ki kami ke chalte pet nikala hua hai to wo alag baat hai. Lekin yadi vyayam karne ke bawjud bhi aapka pet phula hua hai to aur phal aadi ke khane ke baad aapke pet mai dard rehta hai to yeh bloating ki samasya hai.
Ham aapko bata de ki kuch phalo ke sevan se bhi aapko yeh samasya hoti hai. Jinhe khane ke baad aapke pet mai sujan aa jati hai aur wo phul jata hai. Lagbhag 16 se 30 % log iss samasya se pareshan rehte hai. Aaiye aaj ke lekh mai ham jante hai Fruits that Cause Bloating.
Phalo Ke Sevan Se Bhi Ho Sakti Hai Stomach Bloating Ki Samasya
Kyo Hoti Hai Phalo Se Bloating Ki Samasya?
Bhaut sare phalo ke sevan se gas ki samasya hoti hai, kyoki unme carbohydrate hota hai, aur unme se kuch acche se pach nahi pate hai. Jab yeh carbohydrate aanto tak pahuchta hai to bacteria ek prakriya ke jariye unhe todti hai, jiska parinaam gas ke roop mai hota hai.
Kuch phal dusro ki tulna mai aur bhi adhik gas banata hai kyoki unme aur bhi jyada carbohydrate hota hai, arthat unn phalo mai fructose aur fiber shamil hota hai.
Fructose Se Bharpur Phal
Jin phalo mai glucose se bhi jyada matra mai fructose paya jata hai, aese phal hamare pachan tantra ko bahut prabhavit karte hai. Jin logo ka pachan tantra kharab rehta hai unn logo ko to iske karan bahut hi jyada samasya hoti hai. Inn phalo mai shamil hai:-
- Sevphal
- Tarbooj
- Nashpati
- Aam
- Papita
Sevphal: Kaha jata hai ki jo log rojana ek apple khate hai unhe doctor ke pass nahi jana padhta hai. Lekin jaruri nahi hai ki yeh condition sabke sath ek jaisi hi ho. Sevphal mai bahut matra mai fructose aur sugar hoti hai to ho sakta hai ki aapka pet ise pacha na paye. Isliye aap ek ki bajaye aadha hi seb khaiye aur anya fructose wale phal sath mai lene se bache.
Nashpati: Nashpati ko aapki healthy diet ka ek hissa mana jata hai. Isme moujud soluble fiber, cholesterol ki samasya ko dur karta hai. Lekin kuch logo ko thode se nashpati ke sevan se bhi bloating ki samasya ho jati hai kyoki nashpati mai kuch matra sorbitol ki bhi payi jati hai. Sorbitol, dusri sharkara ke mukabale mai bahut dhire dhire aapki aanto mai absorb hota hai.
Iske bad yeh aapke pet mai jata hai aur waha jakar uttejit hota hai. Isliye yadi aap nashpati ka sevan karte hai to body se gas ko pass karne ke liye aapko acche khase vyayam ki jarurat hoti hai.
Yadi aapko bhi inn phalo ke sevan ke bad gas jaisa mehsus hua hai to aapko inn phalo ke sevan se bachna chahiye.
Aese Phal Jinme Bahut Adhik Sharkara Ho
Aese phal jinme sharkara ki matra bahut adhik ho, wo aapko 3 gram se adhik fructose de sakte hai. Bhale hi aese phalo mai fructose ki matra glucose se kam ho tab bhi inn phalo ka sevan karne se aapko Stomach Bloating after Eating hoti hai. Aese phal hai:-
- Lichi
- Angur
- Cheri
- Nashpati
- Kela
- Kuch sukhe meve bhi iss list mai shamil hai, jaise ki
- Anjeer
- Kishmish
- Seb
Fiber Se Bharpur Phal
Kuch fiber yukt phalo ke karan bhi Bloated Belly ki samasya ho sakti hai, jisse pet phul jata hai. Aur aesa khaskar tab hota hai jab aapke sharir ko fiber lene ki aadat na ho. Kuch log fiber ko pacha nahi paate hai, lekin pachan tantra mai moujud bacteria iska vikhandan karti hai. Aur iss prakriya ke chalte pet mai gas banne ki samasya aati hai.
Aese mai yadi aap fiber yukt phalo ko dhire dhire apne aahar mai shamil karte hai to aapko itni dikkat nahi aati hai. Kuch phal jinme bahut adhik fiber moujud hota hai wo hai:-
- Seb
- Jamnu
- Anar
- Amrud
- Kivi
- Nashpati
- Aadu
- Papita
Upar aapne jana Fruits that Cause Bloating ke bare mai. Yadi upar bataye gaye phalo ko khane ke bad aapko bhi pet mai bharipan, pet ka dukhna aadi samasya hoti hai to behtar hoga ki aap inn phalo ka sevan karna chod de. Yeh thoda sa badlav aapki samasya ko dur kar sakta hai.