Gastritis ek aisi problem hai, jisse me mucosa aur pet me sujan aa jati hai. To aaiye aaj is article ke jariye hum aapko batate hai, Gastritis Treatment.
Gastritis Ek avastha hai jisme, pet ke mucosa me sujan aaja jati hai. Mucosa me shamil cell acids and enzymes ka utpadan karte hai. Jo ki bhojan ko pachane ke liye bhojy padarth ke bade-bade tukade ko chhote-chhote tukade me todata hai.Yeh mucus ka utpadan bhi karta hai, jo acid ki problem se bachata hai. Gastritis acid, enzymes aur mucus ko kam utapadan ki aur le jate hai.
Causes of Gastritis
• Bacteria
• Kuch Dawao Ke sevan Se
• Age
• Alcohol
• Stress
• Bile Reflux Disease
Symptoms of Gastritis
• Nausea
• Vomiting
• Indigestion
• Pet Ful jana
• Pet me dard
You may also like:- Piles Treatment in Hindi: Bavasir ka Gharelu Upchar
Gastritis Treatment Ke Liye Padiye Yeh Tips
Khadya Padarth se Allergies
• Gastritis Problem hone par pet me gass banati hai. Aise me pet ful jata hai aur pet me dard hone lagta hai.
• To sabse pahle ye dhyan rakhana chahiye ki, kis Khadya Padarth ke sevan se ye ho raha hai. Matlab agar kisi bhi khadhya padrath ke sevan Gastritis problem ho rahi hai to use turant khana band karde.
Chaliye niche hum aapko kuch food ke bare me batate hai. Jis se aapko yeh pata chal jayga ki, is problem se bachne ke liye konse food ka sevan karna chahiye aur konse food ko avoid karna chahiye.
Diet for Gastritis
Food Jo ki Gastritis Problem Ke liye Faydemand Hai
• Green leafy vegetables.
• Fresh fruits and vegetables
• Wheat bran
• Low fat or fat free dairy products
• Carrot juice
• Coconut water
Foods jo ki Gastritis Samasya ke Liye Khatarnak Hai
• Alcohol
• Coffee
• Red meat
• Beans
• Orange juice
• Cocoa
• Spicy foods
Gass Banane Vale Bhojan Na Kare
• Gastritis problem ka sabse bada karan hai, gass banane vale bhojan ka sevan karna. Jese beans, peas, cake, carbonate-containing materials, sour fruits, cauliflower, cabbage and betel nut aadi.
• Agar aap gass banane ke liye jimmedar bhojan ka sevan jyada karte hai to iska sevan band kar de. Kuch logo me to gass banane ka karan jyada der tak bhukha rahna hota hai.
Samay Par Bhojan
• Niyamit roop se bhojan na karne par gastritis problem ho sakti hai. Aksar log subah ke samay me nashta nahi karte hai aur din ke time me jyada bhojan kar lete hai. Yeh bahut galat aadat hai.
• Is problem se bachne ke liye aapko niyamit roop se bhojan karana chahiye.
Kum Masaledar Khana
• Jayad tala hua aur mirch masale vale bhojan bhi gastritis problem ka mukhy karan hai. To dhyan rahe ki, is type ke khadaye padartho ko apne bhojan me shamil na kare.
• Apne aahar me hari sabjiyo ko shamil kare. Bhuk se hamesha thoda kum hi khaye taki bhojan aasani se pach jaye. Saath hi yeh bhi dhyan rakhe ki, bhojan ke aadhe ghante baad hi pani piye.
Sharab Ke sevan Se Bache
• Jayad sharab pine ki aadat gastritis problem ko badati hai.
• Halki sharab gastritis hone ka ek matra karan nahi hai, balki agar aap iska sevan simit roop se karenge to future me bhi is problem se bach sakte hai.
Kuch Dawao Ka Sevan
• Antacid dawa se Gastritis ka ilaaj sambhav hai. Yah bahut hi effective medicine hai.
• Lekin is problem ke douran aspirin aur Anti-inflammatory non-drug-Steroidal medicine se bache.
Upar aapne jane Gastritis Treatment, Causes, Symptoms . To agar aap is problem se pareshan hai to iske upchar ko apnaiye aur swasth rahiye.
Get more details about Gastritis from Diet and Fitness.