Home Remedies for Migraine: Adhkapari Ka Gharelu Upchar

 

Adhkapari ek jatil bimari hai. Ise angreji mai Migraine kaha jata hai. Wahi kuch log ise aadhi shishi ka dard bhi kehte hai. Iss bimari se pidit vyakti ke sar mai asahaniya dard hota hai tatha dard hone ke karan vyakti puri tarah se baichain aur pareshan ho jata hai.

Kai bar to dawaiyo ke sevan se bhi dard nahi jata hai. Jab bhi migraine ka dard subah se shuru ho jata hai aur dheere dheere badta jata jata hai.

Migraine ke dard hone ke kai karan hote hai. Jaise chinta, der raat tak jagkar kaam karna, mansik kamjoori, kabj, malaria aadi inn sab ki wajah  se sar mai dard hone lagta hai. Waise bhi aajkal ki jivan sheli itni bhagdour bhari ho gai hai ki vyakti swayam ka bhi khyal acche se nahi rakh pata. Jisse bimariya lag jati hai.

Iss dard ko kam karne ke liye gharelu upchar bahut sahayak hote hai. Jo dard se rahat dilane mai madad karte hai.  Migraine ke dard se nijat pane ke liye padhe Home Remedies for Migraine.

Home Remedies for Migraine: Paye Sar Dard Se Mukti

Migraine

Khaye Deshi Gud

Jab bhi aapko migraine ka dard ho desi gud khana bahut accha hota hai. Yadi dard subah se hone lage to dudh jalebi ya rabdi ko kha sakte hai. Iska sevan karne se sar ka dard kam ho jata hai.

Shahad Ka Sevan

Agar aapko migraine ka dard bahut jyada ho raha hai tatha ulti ho gai hai to shahad ka sevan kare. Isko khane se ulti tatha sar dard band ho jayega. Shahad migraine ke dard mai bahut faydemand hai.

Aadha chammach Shahad mai thoda namak dalkar chatne se bhi aadhe sar ka dard kam ho jata hai.

Iske atirikat sar ke dard se nijat pane ke liye 25 gm kheel mai shahad ke sath sevan karne ke bad karib aadhe ghante so jaye. Aisa lagatar 1 hafte tak karne se migraine ki samasya se chutkara mil jayega.

Gunkari Tulsi

Migraine ke dard mai tulsi ke patto ka sevan kare. Iske liye tulsi ke patto ko sukhkar uska powder bana le aur usme shahad milakar din mai kam se kam 3 se 4 bar khaye. Isse migraine ke dard ka prabhav kam ho jayega.

You May Also Like:- Janiye Migraine Symptoms in Hindi aur Iske Karan

 

Hing Dilaye Dard Se Rahat

Hing migraine ke dard se rahat dilane mai karagar illaj hai. Hing ko pani mai acche se ghol le tatha uske pani ko sunghe ya fir hing ke lep ko mathe par lagane se bhi dard se chutkara mil jayega.

Angur Ka Ras Faydemand

Subah subah migraine ke dard ke shuru hote hi angur ka ras bana kar piye. 150 gm angur ke ras ke pani mai 50 gm  shakkar ko dale iske sevan se aapko sar ke dard mai bahut jaldi rahat milegi. Yeh bhi Migraine Headache se nijat dilane ka prabhavai tarika hai.

Lahsun Ka Lep Asarkari

Lahsun migraine ke dard mai bahut asardari hai. Lahsun ko acche se pees kar uska lep bana le aur mathe par lagane par dard mai jald hi rahat milegi. Iske alawa lahsun ke ras ki 2 chhoti chhoti bunde naak ke chidra mai bhi dal sakte hai.

Aroma Tel Se Sar Ki Malish

Kisi bhi dard ko dur karne ke liye aroma tel bahut faydemand hota hai sath hi ise kafi pasand bhi kiya ja raha hai. Aroma tel mai kai herbal telo ka mishran hota hai jisse malish karne par sar dard chhumantar ho jata hai.

Iske atirikt aromatherapy bhi iss dard se rahat dilane mai achuk hatiyaar hai. Aromatherapy mai ek taknik ke madhyam se herbal telo ko hawa mai faial diya jata hai aur bhap ke dwara chehre par dala jata hai. Iske sath halka sa sangeet bhi chalaya jata hai hai jisse dimag ko aaram aur sukun milta hai.

You May Also Like:- Yoga for Migraine in Hindi: Sar Dard Se Chutkara Paye

 

Barf Ka Kare Istemal

Migraine ke dard ko dur karne ke liye sabse sasta aur accha illaj hai barf ke tukado ko kapde mai lapet kar sar par rakhe.  Yeh ghar par aasani se milne wali Migraine Home Remedy hai. Isse sar mai rakt ka pravaah dhima hoga aur dard kam hone lagega. Jis bhi jagah aapko sar mai dard ho raha hai waha barf ke tukdo ko ragad le. Kuch hi der mai dard dur bhag jayega.

Nimbu Se Dur Kare Sar Dard Ko

Nimbu ke chilko ko acche se pees le aur iska lep bana le. Iss lep ko dard se prabhavit jagah par lagaye kuch hi der mai aapko sar dard se chhutkara mil jayega aur migraine thik ho jayega.

Garam aur Thande Toliye Ka Istemal

Toliye ko garam pani mai dubakar nikal le aur use sar par rakhe ya fir thande pani mai bhi toliya bhiga sakte hai aur use sar par rakhne se sar dard mai kafi aaram milta hai.

Jane Kuch Anya Upay

  1. Butter ke sath mishri milakar khane se bhi adhkapari ka dard dur bhag jata hai.
  2. Kapur ko ghee mai milakar sar par lagakar malish karne se dard kam ho jata hai.
  3. Jab bhi aapka sar dard ho raha to sanso ko aahista aahista le, lekin  ha jyada lambi aur gehari saanse na le. Aaram aaram se breathing karne par aapko sar dard se raahat milegi.

Upar aapne jana Home Remedies for Migraine. Yadi aap bhi iske dard se pareshan hai to upar diye gharelu upcharo ko jarur apnaye.

Loading...

You may also like...