Gharelu Nuskhe for Blisters in Mouth (Muh Ke Chale)

Muh me agar chale ho to khana, pina aur jeena teeno mushkil ho jata hai. Lekin iska ilaj aapke aas-pass hi moujud hai. Mouth Blisters gaalo ke andar aur tongue par hote hai.

Asantulit aahar, pet mai dikkat, pan-masalo ka sevan mouth blisting ka pramukh karan hai. Blisting in mouth hone par bahut dard hota hai. Aaiye hum aapko Muh ke Chale se bachne ke gharelu nuskhe batate hai.

Darasal muh mai chale hone ek aam samasya hai. Kai baar bhojan mai gadbadi ya tikha bhojan karne se jibh par, honto par aur anadr chale ho jate hai jo aamtour par 5-7 din mai thik bhi ho jate hai. Kbahi-kabhi chale lambe samay tak thik nahi hote jo bhojan karte samay taklif dete hai.

Kai baar gambhir ho jane par inse khoon bhi nikalta hai. Aise mai doctor se inki janch avashya karani chahiye, kyuki yeh ghatak bhi ho sakte hai.

Mouth Blisters (Muh ke Chale) ka Mukhya Karan

  • Adhik masaledar bhojan karne se.
  • Jyada garam khadya padarth ka sevan karne se.
  • Daanto ki thik prakar se safai na karne se.
  • Adhik acidic khadya padartho ka sevan karne se.
  • Sharir mai Vitamin C aur Iron ki matra samanya na hona.
  • Allergy wale khadya padartho ka sevan karna.

Blisters in Mouth ke Gharelu Upchar: Dur Kijiye Muh ke Chale

Ghee aur Kapur Dwara Mouth Blisting ka Ilaj

50 gm desi ghee ko garam kare aur usme 6 gm kapur daal de. Ab iss mishran ko muh par lagaye jaha aapko chale hai. Aisa karne se aapke muh ke chale bahut jaldi thik ho jayenge.

Simple Bhojan Khaye

Muh me chale (Mouth Ulcer) ho to khane par dhyan dena chahiye. Iss time par aapko simple bhojan khana chahiye.

Asli Ghee Lagaye

Raat ko sote samay muh ke andar asli ghee lagakar sona chahiye, isse muh ke chale thik ho jate hai. Yeh ek laabhdayak desi nuskha hai.

You may also like:- Home Remedies for Cold Sores- Heal Cold Sores Gently

Haldi Dwara Mouth Blisting ka Upchar

50 gm haldi ko ek kilo pani me ubalkar thanda hone par din mein 2 baar garare kare.

Baking Soda (Sodium Bicarbonate)

Muh me chale ho to pani mai khane ka soda dal kar paste bana le, phir us paste ko muh ke chalo par lagaye. Isse aapko kafi fayda hoga.

Salt Water

Garam pani mai namak dal kar ghol bana le. Phir us ghol se muh dhoye aisa karne se muh ke chale thik ho jayenge.

Orange aur Lemon Juice

Muh mai chale Vitamin C ki kami ke wajah se bhi ho sakte hain, aise mai orange juice aur lemon juice pina chahiye.

Milk and Curd Khaye

Muh ke chale kasth de toh doodh, cheese aur dahi khane se aaram milta hai.

Hydrogen Peroxide

Hydrogen peroxideaur water ko saman matra mai le aur muh ke chalo par lagaye, dhayan rakhe hydrogen peroxide muh mein na chala jaye, isse lagane se muh ke chale thik ho jate hai.

Gur

Khana khane ke baad gur ko chusne se bhi muh ke chale thik ho jate hai.

Agar aapko bar-bar blisting in mouth ho rhe hai to aapko muh ki safai par vishesh dhyan dena chahiye. Jyada masaledar bhojan nahi karna chahiye. Upar diye gaye gharelu nuskhe ko ajmaye aur muh ke chale ko dur kare.

Get more details about Mouth Blisters from Home Remedies.

Loading...

This website uses cookies.