Dandruff Treatment in Hindi: Paiye Baalo ki Khoi Hui Khubsurti

Sardiyo mai dandruff ki samasya aur bad jati hai, kyuki winters mai hamari skin normal se aur bhi jyada dry ho jati hai aur itching ki problem ho jati hai, jisse baalo ka jhadna aur dandruff hona aam baat hai. Aapko dandruff ki samasya se nijat dilane ke liye hum yaha batane jaa rahe hai kuch Dandruff Treatment in Hindi.

Lagatar khujalne se stithiya aur kharab ho jati hai aur dane pad jate hai. Aaj sar mai dandruff ki samasya bahut aam ho gayi hai. Iski wajah se baal jhadna tatha khujali machne jesi samasya paida ho jati hai. Lekin isse pehle ki aap iss samasya ka ilaj dhunde, usse pehle rusi ke piche ke kuch ascharyajanak tathya dhunde.

Hum mai se kai log yeh mante hai ki sar mai rusi tabhi hoti hai, jab humare sar ki twacha rukhi ho jati hai. Lekin yeh karan bilkul hi galat hai kyuki iske piche chupi huyi ek yeast, jo sar ki mratya twacha ko kha kar jiti hai ya phir sar mai jame huye tel ko. Iss wajah se humare sar ki twacha koshika bahut jaldi-jaldi jhadne lagti hai aur hum samajhte hai ki humare sar mai dandruff ho gaye hai.

Dandruff Treatment in Hindi: Inn Steps ko Apnaiye Aur Dandruff ko Kare Dur

Onion aur Honey for Dandruff

Pyaj (onion) ka ras aur shahad (honey) ek bejod upay hai dandruff mitane ke liye.

You may also like: Gharelu Nushke: Black Pepper and Honey se Rokiye Aapki Khasi (Cough) Ko

Olive Oil

Olive oil (Jaitun ka Tel) ko halka garam karke usse malish kare. Aisa karne se aapki Dandruff ki samasya dur hogi aur saath hi aapke baalo ki conditioning bhi ho jayegi.

Neem Leaf

Neem ki pattiyo ko boil karke use chhaan le. Iss pani se baal dho le. Yeh ek bahut hi accha antiseptic hai. Kyuki dandruff bhi ek tarah ka fungus hi hai, to neem ki pattiya ise dur karne ke liye bahut laabhkari hai.

Nariyal Tel

1 chammach nimbu k eras ke saath 5 chammach nariyal tel ka mishran banaye au rise apne sar par lagaye. Iss mishran ko lagane se 20 se 30 minutes baad acche shampoo se dho le.

Gharelu Nuskhe for Dandruff

Honey Pack

Baalo ko acche se brush karne ke baad unn par Honey Pack lagaye. Iske liye 2 chammach shahad mai 1 chammach garam pani milakar use thoda patla kar le. Phir ise brush ki sahayata se jado se lekar ant tak laga le. 20 minute tak rakhne ke baad halke garam pani se hair wash karle. Aisa karne se dandruff ki samasya se permanent mukti mil jayegi.

Banana Pack

Aadha kela, 1 chammach jaitun ka tel (olive oil) aur aadha cup dahi (curd) lijiye. Inn sabko blender mai mix kar lijiye. Ab iss pack ko aadhe ghante ke liye baalo mai laga lijiye. Phir halke garam pani se sar dho lijiye.

To yeh the kuch packs aur gharelu nuskhe for dandruff sirf aapke baalo ki khubsurti ke liye. Inn sabhi steps ko follow kijiye aur paiye natural glow apne baalo mai.

Inn Dandruff Treatment in Hindi ki steps ko follow karne se nisandeh hi aapke baalo ki natural glow aur thickness badh jayegi saath hi dandruff ki problem hamesha ke liye khatam ho jayegi.

Get more details about Dandruff from Home Remedies.

Loading...

You may also like...