Home Remedies for Indigestion: Apach Se Nijat Kaise Paye?

Ham aksar inn baato par jankari hasil karte rehta hai ki kounse aahar ko khane se hame takat milegi. Ya fir kaunse aahar hamari twacha ke liye acche hai. Kya khane se hamare baalo ki growth acchi hogi.

Ham iss tarah ki jankari hasil karke un khadya padartho ko khana pina bhi shuru kar dete hai. Iske bawjud bhi yadi hame utna parinaam nahi dikh raha hai jinte ki ham aasha kar rahe the to samajh jaiye ki jitna bhi ham kuch le rahe hai hamara pet use nahi pacha pa raha hai.

Jab pachan tantra mai gadbadi ke karan hamara pet liye gaye aahar ko pacha nahi paata hai to use apach ki samasya kehte hai. Kai bar to yeh pachan ki kriya bilkul hi ruk jati hai. Jiske chalte kai gambheer rog ho sakte hai.

Isse vyakti bahut kamjor ho jata hai. Iss samasya se bachne ke liye aaiye jante hai Home Remedies for Indigestion. Ham jo gharelu upay aapko bata rahe hai wo kafi prabhavshali hai.
 

Home Remedies for Indigestion: Apach Ka Gharelu Upchar

 
Home Remedies for Indigestion
 
Iske gharelu upcharo ki jankari dene se pehle ham aapko batana chahte hai ki apach ki samasya aakhir kaise hoti hai aur aap isko kaise pehchan sakte hai.

Asamay bhojan karna, Khana khate hi so jana, Ulta sidha khana khana aadi iske hone ke mukhya karan hai. Kai bar pet ka sankraman, thyroid rog, pet ka cancer aadi bhi iske hone ke piche ki wajah ho sakti hai.

  1. Yadi aapko kuch na khane par bhi bhukh nahi lag rahi hai
  2. Khana khante hi pet mai dard ho raha hai ya jee ghab raha hai
  3. Pet phul raha hai aur khatti dakare aa rahi hai aadi.

 
Yadi aapko uprokt lakshan dikhai de rahe hai, to iska matlab aapko apach ho gaya. Yeh sabhi Indigestion Symptoms hai. Aap confirmation ke liye apne chikitsak se bhi sampark kar sakte hai.
 

Citric Acids Wale Phal

Santre aur mausambi mai citric acid ki acchi matra hoti hai. Inn phalo ka sevan karne se aapke pet mai acid ki matra santulit rehti hai sath hi aapka pachan tantra bhi sudharta hai. Aap chahe to inn phalo ka ras bhi banakar pee sakte hai. Yeh bahut hi aasan kintu faydemand Indigestion Remedies mai se ek hai.
 

Herbal Chai Ki Chuski

Jin logo ko chai peene ki bahut jyada habit ho jati hai. We log apach jaisi samasya hone par bhi chai peena nahi chodte, jisse ki yeh samasya aur bhi jyada badh jati hai. Isliye yadi aapko chai peena hai to herbal chai peena shuru kare.

  • Isse jin logo ko apach ki samasya hai wo theek ho jayegi, aur jin logo ko yeh samasya nahi hai wo agar ise peete hai to unhe samasya hogi hi nahi.
  • Herbal chai mai jaruri nahi hai ki aap keval green tea hi piye. Aapke paas aur bhi kai options moujud hai. Jaise raspberry tea, blackberry tea aadi.

 

Faydemand Ajwain

Ajwain ka sevan na keval apach balki dast lagna aur pet ka phulna aadi pareshaniyo mai bhi fayda pahuchata hai. Iski madad se upchar karne ke liye ajwain aur sukhi adrak ko mixer mai peeskar powder bana le.

  • Ek cup mai garm pani le aur usme ek chammach ajwain aur adrak ka peesa hua mishran aur ek chammach pisi hui kali mirch dale.
  • Iss pani ko din mai ek ya do bar le. Aap working hai aur aapke pas wakt ki kami hai to aese hi roj aadha chammach ajwain khaya kare, isse bhi aapko apach ki samasya se nijat milega.
  • Ajwain ko ek bar mai chabakar na khaye, iska swad kaadi tej hota hai.
  • Thodi si ajwain aur kala namak milakar muh mai rakh le aur dhire dhire uska ras pet ke andar jane de.

 

Saunf Ki Chai ya Powder

Aapne hamesga saunf ka istemal khana khane ke bad mouth freshener ki tarah kiya hoga. Ham aapko yeh bhi batade ki yadi thika ya bahut jyada fatty food khane se aapko apach ki samasya ho rahi ho to saunf se wo bhi thik ho jayegi.

  • Saunf ko acche se sukhakar bhun le aur fir pees le. Iske bad iske powder ko chalni se chaan le.
  • Iss powder ko roj aadha chammach pani ke sath le. Aapko din mai do bar ise lena hai.
  • Aap chahe to saunf ki chai bhi pee sakte hai. Aapko pani ke sath do chammach saunf dalkar ubalna hai. Iss chai ko garmagaram piye.
  • Niyamit khana khane ke bad ek chammach saunf khana bhi aapke liye faydemand hai.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Indigestion in Hindi. Yadi aapko bhi apach ki samasya ho rahi hai to aap bhi upar bataye gaye gharelu upchar ko apna kar iss pareshani se nijat pa sakte hai. Lekin yadi yeh samasya aapko kai dino se bani hui hai to aapko bina der kiye apne chikitsak se sampark karna chahiye.

Loading...

You may also like...