Giloy Benefits in Hindi: Vibhinn Rogo ka Ek Ilaaj

Giloy (Tinospora Cordifolia) ki ek bahuvarshiya lata hoti hai. Iske patte paan ke patte ki tarah hi hote hai. Ye itni gunkari hai ki iska naam amruta rakha gaya hai. Iski pattiyo me Calcium, Protein, Phosphorus aur Starch paya jata hai. Ayurveda jagat me yeh bukhar ki mahan aushadhi ke roop me mani jati hai. Aaiye jante hai Giloy Benefits in Hindi.

Yeh pattiya neem aur aam ke paido ke aas paas payi jati hai. Jiss tree ko yeh apna aadhar banti hai, uske gun bhi isme samahit rehte hai. Giloy ek dawai ke roop me jaani jati hai, jiska ras pine se sharir ke aneko kasth aur bimariya dur ho jati hai. Ab to bazaar me giloy ki golitya, syrup, powder aadi bhi milna shuru ho chuke hai.

Other Name of Giloy

Ayurveda me Isko kai namo se jana jata hai. Aaiye jante hai aise kuch naam.

1) Punjab: Gllow
2) Telgu: Tippa-tegga
3) Tamil: Shindilakodi
4) Malayalam: Amruthu, Chittamruthu
5) Kannada: Amrutha balli
6) Hindi: Giloy, Guruc
7) Gujarati: Galac, Garo
8) Sanskrit: Amritavalli
9) Marathi: Gulvel, Guduchi
10) Nepal: Gurjo

Giloy sharir ke dosho (Cough, Cold) ko santulit karti hai aur sharir ka kayakalp karne ki kshamta rakhti hai. Giloy ka ulti, behoshi, cough, piliya, allergy sahit anya twacha vikaar, charm rog, jhaiya, kamjori, gale ke sankraman, khansi, maleria, dengue, pet ke rog, sine me jakdan, jodo me dard, rakt vikaar, TB, liver, kidney, madhumeha, gas, budapa rokne wali, bhuk badane wali prakritik aushadhi ke roop me khoob prayog hota hai. Aaiye aise kai bimari ko dur bhagane ke liye jante hai Giloy Benefits in Hindi.

You may also like: Ashwagandha Benefits in Hindi: Ek Poudha Fayde Anek

Giloy Benefits in Hindi: Ayurvedic Aushadhi ke Dhero Laabh

1) Heart Disease me Faydemand

Giloy ek rasayan hai, yeh rakt shodhak, shodh nashak aur liver tonic bhi hai. Yeh piliya aur low fever ka naash karti hai aur heart disease me isko khana faydemand hota hai.

2) Khoon ki Kami Dur Kare

Tinospora Cordifolia sharir ki rog prati rodhak kshamta ko bata hai aur sharir me khoon ki kami ko dur karta hai. Iske liye pratidin subah-sham giloy ka ras ghee ya shahad milakar secan karne se sharir me khoon ki kami dur hoti hai.

3) Gas Dur Kare

Gas, jodo ka dard, sharir ka tutna, asamay budapa vaat asantulit hone ka lakshan hai. Iske ek spoon churna ko ghee ke saath lene se vaat santulit hota hai.

4) Gathiya

Iska churna shahad ke saath khane se cough aur saunth ke saath aamvaat se sambandhit bimariya (Gathiya) rog theek hota hai.

5) Banjhpan se Mukti

Isko aur ashwagandha ko dudh me paka kar niyamit khane se banjhpan se mukti milti hai.

6) Piliya Dur Kare

Giloy ka sevan piliya rog me bahut faydemand hota hai. Iske liye giloy ka ek spoon churna, kali mirch athwa triphla ka ek spoon churna shahad me milakar chatne me laabh hota hai. Ye giloy ke patto ko piskar uska ras nikal le. Roz subah-subah iss ras ko pine se piliya theek ho jata hai.

7) Motapa Kam Kare

Giloy Benefits ka sabse accha fayde yaha milta hai. Ye motapa kam karne me bhi madad karta hai. Motapa kam karne ke liye giloy aur triphla churna ko subah-sham shahad ke saath le. Iske nimyanmit sevan se motapa kam ho jata hai.

8) Kan Dard Dur Kare

Isko pani me ghiskar ar gunguna karke dono kaano dalne se kaan ka dard theek hota hai.

9) Pet Dard

Giloy Benefits in Hindi jankar aapko yeh to pata chal gaya hoga ki ye pet dard me sabse jyada faydemand hai. Iske ras me shahad ka sevan karne se pet se sambandhit sabhi rog theek ho jate hai. Iske saath hi aap giloy aur shatavari ko saath piskar ek gilaas pani me milakar pakaye.

10) Khujli Dur Kare

Khujli aksar rakt vikaar ke karan hoti hai. Giloy ke ras pine se rakt vikaar dur hokar khujli se chutkara milta hai. Iske liye giloy ke patte ko haldi ke saath piskar khujli wali jagah par lagaiye aur iss pareshani se chutkara paiye.

11) Aankho ke Liye Faydemand

Iske sevan se aankho ke rog dur hote hai aur roshani bhi badti hai. Iske liye giloy ke ras me triphla ko milakar kadha bana le.

Upar aapne jane Giloy Benefits. To aaj se hi iss ayurvedic aushadi ka niyamit roop se secan kare aur swasth rahe.

Get more update of Giloy from Food.

Loading...

This website uses cookies.