Good Carbs vs Bad Carbs in Hindi: Jane Inka Swasth Par Asar

Carbohydrates ko niyamit apne aahar mai shamil karna aavshyak hota hai. Kyoki carbohydrates sharir ko urja dene ka kaam karte hai. Ham jis bhi tarah ka khana khate hai usse sharir ko carbohydrate milta hai. Carbon, hydrogen aur oxygen ke yogik ko hi carbohydrate kehte hai.

Lekin yeh jaruri nahi hai ki sare carbohydrate sharir ke liye faydemand ho. Carbohydrate acche aur bure dono tarah ke ho sakte hai. Acche carbohydrate aapke sharir ke liye faydemand tatha bure carbohydrate sharir ko nuksan pahuchate hai.

Jo log swasth ko lekar kafi sajag rehte hai wo iss baat se pareshan rehte hai, ki jis aahar ka we sevan kar rahe hai usse unhe accha carbohydrate milega ya nahi! Iske bare mai pata hona aavshyak hai, kyuki galat carbohydrate ki adhikta janleva rogo ka karan bhi ban sakti hai.

Aaiye jante hai acche aur bure carbohydrate ke bare mai taaki aap keval swasth aahar ka sevan kar sake. Padhiye Good Carbs vs Bad Carbs in Hindi.
 

Good Carbs vs Bad Carbs in Hindi: Acche aur Bure Carbohydrates

 

Good Carbs:-

 
Jo carbohydrate jatil hote hai unhe good carbs mana jata hai. Inme aese khadya padarth aate hai jinke andar sharkara aur fibers ke anuo ki sanrachna jatil matra mai ho aur sharir ko unhe pachane mai jyada mehnat na karna pade. Isi karan inn carbs se milne wali urja lambe samay tak bani rehti hai.

Healthy carbohydrate mai sabut anaaj, sabjiya, phal aadi shamil hote hai.  Shodh ke dwara pata chala hai ki ek vyasak vyakti ko jitni urja ki jarurat hoti hai uska 40 se 60 % use carbohydrates se mil jata hai. Isme complex carbs aur prakratik carbs mahtavpuran bhumika nibhate hai.

Jab bhi aap carbohydrate ka sevan kare dhyan rakhe ki kam glycemic index tatha acchi shrakara ka chunav kare. Ham prakrati ki di hui jin bhi chijo ko khate hai unse hamare sharir ko paryapt sharkara mil jati hai ki. Isliye aapko katrim roop se bani hui mithi chizo ko nahi khana chahiye. Lekin kai log mithi chijo ko dekhkar khud ko rok nahi pate aur kha lete hai. Inko kabhi kabhi khane se to koi fark nahi padega kintu iski lat nuksandayak ho sakti hai.
 

You may also like:– Daily Essential Nutrients, Jaruri Poshak Tatvo Ke Laabh

 

Jane Acche Carbohydrate mai Shamil Chije

  • Sabut anaaj
  • Choker anaaj
  • Daliya
  • Bhure chawal
  • Taje phal

 

Goods Carbs Benefits – Jane Iske Fayde

  1. Yeh metabolism ko sudharne mai sahayak hota hai
  2. Yeh fiber aur poshak tatvo se bharpur hone ke sath inme glycemic index kam hota hai.
  3. Jab inka sevan kiya jata hai to yeh kam calorie mai bhi trapti ka ehsas karvate hai jisse sharir par atirikat charbi nahi jamati hai.
  4. Inko apne rojana ke aahar mai shamil karne par dil se judi bimariyo se bacha ja sakta hai.
  5. Jab aap vyayam ya koi bhi sharirik gatividhi kar rahe to usme carbohydrate ka sahi santulan manspeshiyo ke liye accha hota hai.
  6. Complex carbohydrate ka sevan karne se kaafi samay tak bhukh nahi lagti, jisse vyakti khana nahi khata aur uska motapa nahi badta.
  7. Yeh cholesterol ko sucharu rup se banaye rakhta hai tatha bure cholesterol ko kam kar acche cholesterol ko badata hai.

 

Bad Carbs:-

Bhartiya kichan mai sabse jyada tali bhuni chije, chawal , bread, maida aadi khane ki chije banati hai. Jaisa ki aap jante hai Carbohydrates Foods bahut jaruri hote hai, bina inke aapke sharir ko poshan nahi mil sakta. Lekin kuch aese carbohydrate bhi hote hai jinse aapke sharir ko nuksaan pahuchta hai, yeh nuksaan doguna ho jata hai jab aap sote hai. Bure carbohydrate we hote hai jinme sugar ki matra adhik hoti hai aur inse pet bhara hua mesus nahi hota.

Darahsal bure carbohydrate ko sharir jaldi se pacha kar urja prapt kar leta hai aur aesi urja glycogen ke rup mai hamari koshikao mai jama rehti hai. Yadi iss urja ka upyog na kiya jaye to charbi ke rup mai sharir mai jam kar motapa badane lagti hai.
 

List of Bad Carbs: Jane Bure Carbohydrate mai Shamil Chije

  • Mithai
  • Chocolate
  • Ice cream
  • Soda
  • Cold drinks
  • Bread
  • Biscuit
  • Safed Chawal
  • Aloo
  • Pastry

 

You may also like:– Balanced Diet in Hindi: Swasth Rehne Ke Liye Le Santulit Aahar

 

Jane Bad Carbs Ke Nuksan

  1. Inhe khane se anidra ki samsaya hone lag jati hai.
  2. Inme fiber aur poshak tatvo ki bahut kami hoti hai. Tatha adhik matra mai glycemic index hota hai.
  3. Yeh rakt mai sharkara ko bada dete hai jisse vyakti bahut kam mai hi bahut jaldi thakne lagta hai.
  4. Bad carbohydrate vyakti ko aalsi aur sust banate hai. Isse mili urja tabhi faydemand hoti hai jab inke dwara mili urja ko vyayam kar khrach kiya jaye.
  5. Sadharan carbs urja ke star ko banaye rakhte hai lekin bure carbohydrate jaise sharir se bahar niklte hai urja khatam ho jati hai.
  6. Aese carbohydrate mai adhik calorie hoti hai jo charbi aur motapa bada deti hai. Iss tarah ke carbohydrates vajan badane ke alawa kuch nahi karte. Jab isme mojud fat ka istemal nahi hota to yeh sharir ke hisse jam jata hai.
  7. Bure carbohydrate ko na ke barabar khane se sharir mai fat kam hota hai, lekin ek bar inhe diet se bahar karne ke bad fir se inka sevan kiya jaye to vajan fir se teij se badne lagta hai.

 
Upar aapne jana Good Carbs vs Bad Carbs in Hindi. Ab aap bhi inn dono ke bich ka antar jaan gaye hai, to apne aahar mai acche carbs ka chayan kare aur rahe swasth.

Loading...

This website uses cookies.