Aapki khubsoorati anmol hai. Jiski dekhabhl ke liye aapko prakritik cheezo ka istemaal karna bahut jaruri hota . Par shayad aapko nahi ptaa hoga ki swasthvardhak green aapki twacha ke swasth liye bhi laabhkari hoti hai
To fir aaiye aaj iss article mai hum aapko batate, Green Tea Benefits for Skin in Hindi. Jisse aap apni skin ki Sahi care aasani se karke, swasth twacha pa sakte hai. Aur Saath hi hamesha sundar bhi dikh sakte hai.
Green tea logo mai bahut popular ho chuki hai. Iska karna hai ki isme bahut sara antioxidant, vitamin aur minerals paya jata hai. Jo sharir ko swasth aur chehre ko sundar banane mai bahut madad karta hai.
Green tea pine se chehre ki jhuriya , daag dhabbe, muhase, sun tanning yaha tak ki skin cancer se bhi chutkara milta hai. Green tea bag ka aap direct hi twacha par laga sakte hai. Iske use se aapki twacha mai ek naya glow aata hai.
Green tea mai tannic acid hota hai, jo chehre par nikhar lane ke saath- saath hi yeh sharir ke andar se gandgi ko bhi bahar nikalta hai aur chehre ko chamkdar aur oil free bananta hai.
Aagar aap green tea ka fayda uthana chahte hai. To bas aaj se hi iska sevan kare aur iss tea ko chehre par face pack ki tarah bhi lagaiye.
Green Tea Benefits for Skin Ke Dwara Paiye Khubsoorat Twacha
Green tea mai moujud antioxidant free radical se skin ki raksha karte hai. Kyoki free radical hi skin mai wrinkle aur skin aging hone ka bahut badha karan hota hai. Saath hi isse fack pack ko lagane se twacha ki sari gandgi hamesha ke liye khatam ho jati hai. Jisse aapki har prakaar ki skin problem dur ho jati hai.
You may also like:- Health Benefits of Green Tea Which you Should Know!!
Natural hone ke karan iske koi side effect bhi nahi hote hai. Isliye aap iska istemaal aaram se kart sakte hai. To accha hoga ki mahnge-mahnge product ko chhod ke aaj se hi inn face packs ko apniye aur healthy skin paiye.
Green Tea Face Pack, Janiye Natural Tarike se Sundarta Nikharne ke Bemisaal Upaye
Vese to aapne bahut se aise bazaru pack ke baare mai suna hoga jo ki, aapko laabh pradaan karne ka vada karte hai. Par istemaal karne par aapko fayda milne ki jagah nuksaan hota hai. To chaliye ab hum aapko Green Tea Face Pack, jo aap ko prakritik tarike se laabh dega.
Turant Glow
Green Tea Benefits for Skin ki baat kare to yeh iska bahut badha laabh hai ki, yeh aapki skin ko instant glow deta hai. 3 chammach green tea aur coco powder le kar usme ek chammach badam tel ke saath mil kar lagaiye. Isse 20 minutes tak chehre par rahne dijiye. Fir sade pani se apne chehre ko dho lijiye. Isse aapka chehra turant glow karne lagega.
Sun Tanning Hataye
Pake papita ka guda nikaliye aur usme green tea ka pani milaiye. Iss pack ko chehre par 15 minutes tak laga rahne de aur thodi der baad ise saaf kar lijiye. Isse aapki skin tanning bilkul khatam ho jaayegi. Saath hi aapki skin bahut saaf najar aayegi.
Gori Twacha
Green tea ke 2 bag ko ek chammach chawal ke aate ke saath milaiye aur usme nimbu daal kar paste taiyar kijiye. Iss paste ko chehre par 15 minutes tak laga rahne ke baad ise scrub kar ke nikal lijiye. Isse skin bright dikhane lagegi.
Yo may also like :- Beauty Tips in Hindi: 5 Minutes Me Paiye Damakti Twacha
Jhuriyo ko Khatam Kare
Teen strawberry ko pis kar ke usme aadha chammcah shahad aur 1 chammach green tea milaiye aur iss paste ko chehre par haatho se laga kar massage kijiye. Aadhe ghante ke baad chehre ko dho lijiye. Isse aapki twacha par mojud sari jhuriya khatam ho jayegi. Saath hi skin mai tightness bhi aayegi.
Green Tea for Face Ke Dwara Janiye Twacha ki Asli Sundarta Ke Raaz
Muhase ko Dur Kare
Green tea ke sevan se sharir mai jitni bhi gandgi hoti hai vo sab saaf ho jati hai. Saath hi agar aapke chehre par bahut jyada muhase nikal rahe hai. To aap green tea ke sevan ke saath iske face pack bana kar bhi laga sakti hai. Iske liye aap pani ubale aur usme 3 bag green tea ki daliye saath hi isme pisi huye adrak bhi daaliye. Jab ubal kar pani aadha ho jaye to use chhan lijiye. Ab iss pani ko us jagah par lagaiye jaha aapko pimple ho rahe hai. Isse aapke chehre par moujud muhase aur iss muhase ke nishan bhi khatam ho jaayenge. Aache result ke liye rozaana isse apne chehre par lagaiye.
You may also like:- Home Remedies for Acne: Ab Acne (Muhase) ka Ilaj Ghar Par hi
Twacha mai Nikhar
Green Tea for Face ki baat kare to yeh bahut accha face pack hota hai aapki twacha ke liye. Ek chammach shahad, olive oil aur 1 chammach green tea powder ko acche se milaiye. Ab iss paste ko halke sa gram kare aur thanda hone par isse apne chehre ki massage kijiye. Ab 30 minutes tak isse apne chehre par laga chhod de. Fir sade pani se apne chehre ko dho lijiye.
Vese aapne Green Tea Benefits for Skin in Hindi ke baare mai puri jankari to hasil karli hai. To bas aaj se hi upar bataye gaye tariko ke dwara face pack ko lagana shuru kar dijiye aur hamesha sundar dikhiye.
Green Tea Face Pack se sambhandhit jankari ke liye Beauty Tips in Hindi ko dekhe.