जानिए प्राकृतिक रूप से बालों की देखभाल के नुस्खे और कारगर उपाय

Hair style aapke chehre ke hisab se ho to aapki khubsurti mai char chand lag jate hai. Ghane aur mulayam hone ke saath aapke baalo ko trendy bhi hona chahiye. To aaiye jante hai Hair Care Tips in Hindi aur banate hai baalo ko ghana aur mulayam.

Sundar aur ghane hair pane ki iccha sabki hoti hai, kyoki yeh hamare vyaktitva ki pehchan hote hai. Lekin lifestyle ke karan hair ki samasya se koi bhi achhuta nahi hai. Baalo ka jhadna ya safed hona aajkal bahut aam ho gayi hai. Isse bachne ke liye aapko apne baalo ki sahi dhang se care karni chahiye.

Sirf fashion ka diwana hokar hair style chunana thik nahi hai. Ap yeh bhi sunischit kar le ki wo baal aap par suit kar rahe hai ya nahi. Yadi aap chahte hai ki aapke baal swasth, ghane aur majboot bane rahe to unki uchit dhang se care kare.

Kya aap chahti hai ki aapke baal lambe aur chamakdar ho. To aaiye aapki samasya ka hal janiye aur follow kijiye Long Hair Tips in Hindi.

Hair Care Tips in Hindi: Kamjor Baalo ke Liye Behatrin Upay

Amla

Hair Care Tips mai prakritik amla bahut hi faydemand hota hai. Amla khane aur lagane, dono mai gunkari hota hai. Amla ke juice ko saptah mai lagane se hair chamakdar, kaale aur majboot bante hai.

Mehandi

Mehandi hair ke liye natural conditioner ki tarah hai. Hair care mai mehandi ka pack lagane se hair majboot, long aur ghane bante hai. Ek cup mehandi powder mai aadha cup dahi ko acche se milakar, ise karib 2 ghante ke liye chhod de. Iske baad iss pack ko apne hair ke jado mai lagaye. Jab yeh puri tarah sukh jaye to ise dho lewe.

Aloe Vera aur Shahad

Twacha ke saath-saath hair care mai aloe vera aur shahad bahut hi faydemand hai. Aloe vera aur shahad  hair ke dandruff se chutkara dilate hai. Hair ke jado par aloe vera aur shahad ko barabar matra mai lagaye. Isse lagakar 30 minute ke liye chhod de aur fir thande pani se dho lewe.

You may also like: Hair Spa at Home – Adore Your Velvety Soft Hair

Egg

Hair tips mai egg ka bhi aham role hota hai. Egg hair ko jhadne se bachata hai aur hair ko ghana, majboot banata hai. Egg mai aap thoda sa jaitun ka tel milakar egg ki safedi aur shahad ko apas mai acche se mila le. Ab ise saman roop se sar par lagakar ek ghante ke liye chhod de. Iske baad isse thande pani aur shampoo se dho lewe.

Aaloo ka Ras

Hair tip mai aaloo ke jariye bhi hair ko long, majbut aur ghana bana sakte hai, halaki iski jankari logo ko bahut kam hoti hai. Nahane se pahle hair ke jado mai aaloo ka ras lagaye aur 15 minute baad dho lewe. Aaloo mai paya jane wala vitamin aapke hair ko long banane mai madad karta hai.

Hair-Care-Tips-in-Hindi

Khilte Muskurate Baal Pane ke Liye Aasan Hair Care Tips in Hindi

You may also like:- Hair Growth Tips in Hindi: Ab Sundar Baal Pana Hua Aasan

  1. Shampoo Rakhe Baalo ko Saaf:- Shampoo baalo se mitti aur chipchipapan nikalne ka sabse accha tarika hai. Lekin shampoo chunte huye iss baat ka khayal rakhna chahiye ki wah bahut jyada sakht na ho. Adhiktar shampoo mai sulphur hota hai, jo baalo ko nuksaan pahucha sakta hai. Isliye puri jankari ke baad hi iska istemaal kare.
  2. Baalo ko Hawa Mai Sukhaye:- Jiss tarah aap pasandida silk dress ko sukhati hai usi tarah apne baalo ko bhi sukhaye. Shampoo karne ke baad baalo ko mulayam toliye se poche. Iske baad baalo ko khula rehne se aur hawa mai sukhne de. Aisa karne se baalo ki shape kahrab nahi hogi. Brush ki jagah chode daanto wali kanghi ka istemaal kare. Baalo ko hair dryer se sukhne se wah kamjor ho jate hai aur unke tutane ki ashanka adhik hoti hai.
  3. Swasth Aahar Le:- Swasth aahar ke sevan ka asar aapke sharir ke saath baalo par bhi padta hai. Yadi aap jyada matra mai junk food aur soda ka sevan karti hai to aapke baal bejaan ban sakte hai. Isliye jaruri hai ki aisa aahar le jisme poshak tatva paryapt matra mai ho. Vitamin ke sevan se bhi baal swasth bane rehte hai.
  4. Malish Kare:- Baalo ko naram, mulayam aur reshami banana ke liye sar ki twacha par oil se malish kare. Isse aapke baal majboot banege aur aap sundar dikhege.

Apne Baalo ko Ghane, Mulayam aur Chamakdar banane ke liye aapko kisi mahenge shampoo ya saloon ki jarurat nahi balki aap prakritik roop se apne baalo ko majboot banaye. Hair Care Tips in Hindi aapki isme bahut madad karega.

Get more details about Hair Tips from Beauty Tips in Hindi.

Loading...

You may also like...