Kya garbhavastha ke baad aapke baal bahut jhad rahe hai? Ham aapko batana chahte hai ki aesa kai mahilao ke sath hota hai. Pregnancy ke baad jin mahilao ke baal jhadte hai unka pratishat 50 hai ya usse jyada bhi kahe to galat nahi hoga. Isliye aap bahut jyada chinta karne se bache.
Aap mai se adhiktar mahilao ka sochna hoga ki yeh garbhavastha ke douran li gayi dawaiyo ka side effect hai. Lekin ham aapko bata de ki baal jhadne ke sirf yeh hi karan nahi hai. Sharir mai kuch tatvo ki kami ho jane ke karan bhi baal jhadte hai. Aaj ke lekh mai ham aapko Hair Loss after Pregnancy se judi har baato ki jankari jaise inke jhadne ka karan aur upchar ke bare mai batayenge.
Hair Loss after Pregnancy: Garbhavstha mai Baalo Ka Jhadna
Garbhavastha Ke Baad Baal Jhadne Ke Karan
Prasav hone ke 5-6 mahino tak mahilao ke baal jhadte hai. Iske chalte unke baal bahut kam ho jate hai, aur mahilaye ganji najar aane lagti hai. Chaliye ek bar iske karano par najar dalte hai:-
- Garbhavastha ke douran li gayi kuch dawao ke side effects ke chalte baal jhadne lagte hai.
- Yadi aapke sharir mai vitamins aur minerals ki kami ho gayi hai to iske chalte bhi baal girna shuru ho jate hai.
- Bahut si mahilao ko navjat shishu ki dekhbhal ko lekar bahut tanav ho jata hai. Khaskar tab jab uske pas koi madad karne wala na ho. Tanav bhi baal jhadne ki samasya ko badhane ka mukhya karan hai.
- Garbhavastha ke douran kuch hormones achanak se badh jate hai. Jo baalo ko jhadne se rokte hai. Lekin jaise hi lady bacche ko janm de deti hai, yeh hormones pehle ke roop mai aa jate hai. Iske karan achanak se hi baal jhadna shuru ho jate hai.
Garbhavastha Ke Baad Baal Jhadne Ka Upchar:-
Swasth Diet Plan Apnaye
Garbhavstha ke douran mahilao ko jald se jald apna vajan kam karne ki chahat hoti hai. Iss karan se bahut si mahilaye apna khana pina kam kar deti hai. Ham aapko batana chahte hai ki iss wakt aapke sharir ko vajan ghatane se jyada dekhbhal ki jarurat hoti hai.
- Isliye garbhavastha ke baad flavonoids aur antioxidant se bharpur phal aur sabjiya khana shuru kar de.
- Hair Loss Cure aur anya samasyao se bachne ke liye nariyal pani aur phalo ka ras le.
- Salad ko bhi apne aahar mai shamil kare. Salad mai kakdi, tamatar, gajar aadi dale.
- Agar doctor se koi supplements di hai to uska bhi sevan kare.
Upari Tour Se Bhi Rakhe Baalo Ka Khayal
Aesa nahi hai ki keval khanpan, aapko upari tour se bhi apne baalo ka khayal rakhna jaruri hai. Jaise shampoo ka prayog, kanghi ka prayog aapko kai chizo par dhyan dena hota hai.
- Kathor shampoo ka istemal karne se bache. Hamesha somya shampoo ka istemal kare. Iske alawa aapke shampoo mai biotin aur silica moujud hona jaruri hai.
- Choudhe kanghi ka prayog kare. Isse aapke baal tutne se bachenge. Chote daant wali kanghi se aapke baalo ko suljhate wakt unn par tabav padhta hai.
- Iss douran baalo ko style dene wale utpado ke istemal se bache. Jaise ki hair coloring, blow dryer aadi ka istemal na kare. Isse baalo ke jhadne mai vraddhi hoti hai.
- Yadi aapke baal domuhe hai to isse bhi baalo ka swasth kharab hota hai. Do muhe baalo se nijat pane ke liye haircut lena accha option hai.
Nariyal Tel Ki Champi
Nariyal tel ke baalo ke liye fayde se koi bhi anjan nahi hai. Baalo ki dekhbal ke liye iska istemal sadiyo se kiya jar aha hai. Hafte mai kam se kam do bar nariyal tel se baalo ki champi karni chahiye. Yeh na keval baalo ko jhadne se bachata hai balki unhe mulayam aur majboot bhi banata hai.
Amla aur Dahi
Amla aur Dahi dono aapke baalo ke liye faydemand hai. Inn dono mai aapke baalo ko poshan dene ki kshmta hai. Aapko inn dono ko apne bhojan ki suchi mai shamil jarur karna chahiye. Sath hi sath aap inhe iss tarah bhi istemal kar sakte hai.
- Dahi ko apne baalo mai lagaye aur 10 minute ke liye aese hi chod de. Baad mai baal dhole. Dahi aapke baalo se rusi ki samasya ko dur kara hai sath hi unhe conditioning karne ka kaam bhi karta hai.
- Amla ko istemal karne ke liye ise tel ke sath ubale taki tel ka extract aapke baalo mai aa jaye. Iss tel ko baalo mai lagale. Amla aapke baalo ko jhadne se rokta hai.
Upar aapne jana Hair Loss after Pregnancy in Hindi. Upar bataye gaye sare upay aapke baal jhadne se rokne mai madad karenge. Aap chahe to doctor se bhi iss bare mai raay le sakte hai.