Hair Straightening Tips – Gharelu Nuskhe jo Badhaye Aapke Balo ki Sundarta

Smooth aur shiny hair har kisi ki khwahish hoti hai. Kai bar curly ya semi curly hairs ko manage kar pana bahut mushkil ho jata hai, kyuki ese balo ke sath aap koi hair style bhi nahi kar pate aur ye aapko untidy look deta hai.

Agar aap soch rahe hai ki ghar baithe perfect Hair Straightening kar pana bahut hi mushkil hai to aap galat soch rahe hai. Hum aapko batayenge kuch ese natural tarike jo bina parlour jaye aapke balo ko dega straight look.

You may also like:- Tresemme Keratin Smooth Shampoo – Ab Aapke Baal bhi Muskurayenge

Janiye Kuch Important Hair Straightening Tips

Ab bhul jaiye un chemicals ko apne balo me lagana, jinse wo damage hokar tutne lag jate hai aur apaniye natural tarike. Yaha aap payenge kuch ese Hair Straightening Tips jo aapke balo ko dega natural straight look wo bhi bina damage kiye.

Dudh (Milk)
  • ½ cup milk me ½ cup water add kare
  • Isko kisi spray bottle me bhar de
  • Apne balo me acchi tarah se kangha (comb) kar le
  • Ab is mixture ko balo ki length aur root pe acche se spray kare
  • Ise 30 minutes ke liye laga kar rakhe, uske bad gently sade pani se hairs wash kar le
  • Isko week me 2-3 bar kare, ye naturally apke balo ko straight kar dega.
Ajvain ke Patte (Celery Leaves)
  • Ajvain ke patto ko barik cut kar le aur mixer ki help se uska juice nikal le
  • Is juice ko acchi tarah se chhankar ek bottle me bhar le
  • Ise puri rat dry place par store karke rakhe
  • Agale din apne hatho ki ungaliyo se is juice ko balo ki length aur roots pe apply kare.
  • Ab kisi broad tooth wale comb se balo ko acchi tarah kangha kare
  • 1 hour tak ise balo me laga kar rakhe aur fir sade pani se acchi tarah wash kar le
  • Pehli hi bar me aap apne balo me ek natural shine or straightening dekhenge.
Anda (Egg)
  • 2 ande ka white portion ek bowl me nikal le
  • Isme 2 bade chammach dahi (curd) milaye
  • Agar aapko ande ki smell pareshan karti hai to isme aap thoda sa heena powder bhi mila sakte hai

Heena powder ande ki smell ko khatam karta hai aur scalp ko cool rakhta hai.

  • Is paste ko brush ki help se apne pure balo me acche se lagaye aur 1 hour ke liye chod de
  • Ab sade pani se achi tarah hair wash kar le, aap chahe to shampoo bhi use kar sakte hai.
Nariyal ka Dudh (Coconut Milk)
  • Gila nariyal le aur isko barik tukado me cut kar le
  • Mixer me acchi tarah blend karke iska milk nikal le
  • Isme 1 nimboo (lemon) ka juice milaye
  • Achi tarah mix karke ise ek din ke liye refrigerator me rakh de
  • Next day aap dekhenge ke iske upar ek creamy layer aa gayi hai, is layer ko apane scalp pe aur root pe acchi tarah lagaye
  • Ab apane balo ko 1 hour ke liye hot towel se cover kar le
  • Bad me water se hair ko wash kar le aur broad toothed comb se khangha kar le, chahe to blowdry bhi kar sakte hai
  • Is nuskhe ko week me 2-3 bar use kare.

Hair Straightening ke liye aap in gharelu nuskho ka istemal kare aur dekhe apne balo me new change.

Get more details about Hair Straightening from Beauty

Loading...

This website uses cookies.