Hand Care Tips in Hindi: Hatho Ki Dekhbhal Ke Upay

Har kisi ko komal aur khubsurat hath pasand hote hai. Yadi aap ke hath swachh aur sundar honge to wo aapki khubusrati ko aur badha denge. Lekin hawa, pani, sabun aur rasayan aadi chijo ke sampark mai aane se hamare hath rukhe aur kharab ho jate hai.

Jisse unki ronak kho jati hai aur wo kathor aur khurdure dikhne lagte hai. Aur sabse jyada iss samasya ka samna aapko sardiyo mai karna padta hai. Jis tarah hum Face Care karte hai usi prakar hatho ki dekhbhal karna bhi bahut jaruri hai.

Kyonki komal sundar hath na sirf aapko accha dikhne mai madad karte hai balki aapke sambandho ko sthapit karne mai bhi mahatvapurn bhumika nibhate hai. Aaj hum aapko hatho ki dekhbhal karne ke tarike bata rahe hai. Aaiye jante hai Hand Care Tips.
 

Hand Care Tips – Janiye aasan aur Prabhavi Upay

 
Hand Care Tips in Hindi
 

Hatho Par Scrub Kare

  • Scrub karne se aapke hatho par jami gandgai puri tarah saaf ho jayegi.
  • Chhote se pyale mai shakkar mai thoda sa nimbu ka ras milaye aur hatho par usse scurb kar le.
  • Nimbu aapke hatho se kalapan hata deta hai aur shakkar hatho ki mrit koshikao ko hata deti hai.
  • Iske atirikt aur bhi kai ghar par banaye gaye scrub aap try kar sakte hai.

 

Moisturizer Lagaye

  • Din mai karib 3 se 4 bar hatho par moisturizer lagaye.
  • Agar aapko din mai 3-4 bar se adhik hatho ko dhona padta hai to acchi hatho ki cream ka istemal kare.
  • Thand ke dino mai hath bahut jaldi rukhe ho jate hai isliye jab bhi hatho ko dhoye moisturizer jarur lagaye. Isse Dry Hands se nijat milti hai.
  • Hatho ko nami dene ke liye ek acche moisturizer ka istemal kare jo jaldi se aapki twacha mai samakar nami paradan kare.

 

Hatho Ki Malish Kare

  • Hand Beauty Tips ke liye malish kare. Malish ki shuruwat hatho ki ungliyo se kare.
  • Aap chahe to badam ya nariyal ke tel se bhi hatho ki acche se malish kar sakte hai.
  • Hatho ki malish karne par rakt sanchar badta hai jisse hatho mai chamak bani rehti hai.
  • Jab bhi aap hatho par lotion ya moisturizer lagate hai usse thodi der tak hatho par malish kare.

 

Dhup Se Bachne Ke Liye Sunscreen Lagaye

Jab aap bahar dhup mai nikalte hai to dhup ke sampark mai aane par aapke hatho ki twacha kali ho jati hai tatha hatho par kale dhabbe dikhne lagte hai jisse aapke hath aapki umra se bade dikhne lagte hai.

  • Aapke hatho ki skin care ke liye jab bhi aap dhup se nikalte hai to sunscreen lagakar nikle.
  • Bahar jate samay aapke purse mai sunscreen jarur rakhe. Aap chahe to moisturizer yukt SPF 15 ya isse jyada SPF wala sunscreen istemal kar sakti hai

 

Nakhuno Ke liye Vitamin Ka Sevan Kare

Aapke hatho ko khubsurat dikhane ke liye na sirf upar se dekhbhal balki andar se bhi dekhbhal ki jarurat hoti hai. Isliye vitamin ka sevan karna aapke liye faydemand hota hai.

  • Vitamin ki kami se nakhun kamjoor hokar tutne lagte hai.
  • Vitamins ka sevan karna aapke swasth ke liye bhi bahut accha hota hai.
  • Sath hi jab aap vitamin B aur vitamin C ka sevan karenge to aapke nakhun majboot banenge.

 

Hatho Par Lep Lagaye

Lep banane ke liye chandan powder aur usme dudh tatha gulabjal ko acche se milaye tatha iss mishran ko hatho par acche se laga le.

  • Is lep ko karib aadhe ghante tak rakhe aur thande pani se aapke hatho ko dho le.
  • Chandan se bana lep aapke hatho ka kalapan dur karne mai sahayak hota hai.
  • Iske alawa yeh hatho ko mulayam aur sundar banane mai bhi madad karta hai.

 

Nakhuno Ki Dekhbhal Kare

Yadi aapke nakhun acche nahi honge aur unhe sahi aakar nahi diya hoga to aapke hath adhure adhure lagenge isliye Nail Care bhi bahut jaruri hai.

  • Nahane jane se pehle nakhuno par tel se malish karle aur cotton ki sahayta se nakhuno ko saaf kare.
  • Nakhuno ko sahi aakar mai nail cutter ki madad se kaate.
  • Aap chahe to nakhuno par nail polish laga sakti hai isse aapke nakhun aur hath jyada sundar dikhenge.

 
Uppar aapne jana Hand Care Tips: Uprokt bataye gaye upayo se aap sundar hath pa sakte hai. Aur inn sare upay ko aap ghar par hi kar sakte hai, yeh kaafi aasan hai.

Loading...

You may also like...